Top 10 Useful popular Software Aapke Computer Ke Liye
Dear readers , aaj ki post me ham baat karenge un top 10
software ke bare me jo ki har computer me install kiye jate hain.ye kafi useful
top computer software hain.or kafi most popular software hain jise sbhi use
karna like karte hain.
Window install karne ke baad hame un tools yani software ki
jarurat padti hai jo hmere computer me liye aham ho or jaruri bhi hon.in tools
ko me khud bhi use karta hun.is post me me aapko inke download links bhi sath
hi de rha hun taki aap jab bhi inhe download karna chahen isi post se kar sakte
hain.
1.
Google Chorme
Ye Google ka ek Browser hai jo ki world me
sabse jyada use kiya jata hai.or kafi most popular software hai.ye kafi safe
hai isliye jyadatar log ise use karna pasand karte hain.is browser ki speed
dusre browsers ke mukable me kafi best hai.ye lgatar update hota rahta hai.mere
khayal me internet browsing me iska koi mukabla nhi hai.
2.
Adobe Reader
PDF vgaira jaisi files ko open karne ke
liye iska use kiya jata hai.ye sabse best pdf reader software hai jise sabse
jyada use kiya jata hai.vaise to iske alawa bhi bahut se pdf reader hain but ye
sabse safe and user friendly hai.
3.
Adobe Flash Player
Ye tool jyadatar computer me use nhi hota
lekin fir bhi useful isliye hai ki iske bgair aap YouTube or dusre online videos
ko nhi dekh sakte.iski size behad kam hoti hai.or ye online videos ko watch
karne me help karta hai.isliye iska bhi har ek computer me use kiya jata hai.
4.
VLC Media Player
VLC Media player sbhi videos players me
sabse best hai.or sabse popular bhi hai.ise sabse jyada use kiya jata hai.ye
computer me aapko videos files ko offline dekhne me help karta hai.ye ek free
tool hai.jo lgatar update hota rahta hai.isme aap sbhi tarah ki videos files ko
dekh sakte hain.
5.
Internet Download Manager
Ye sabse chota lekin sabse useful tool hai
jisme sabse easy tarike se kisi bhi video file ko download kiya ja sakta hai. specially
videos download ke liye ise sabse jyada
use kiya jata hai.vaise to ye free nhi hota.ye ek paid tool hai but fir bhi log
internet se iska full version hasil kar hi lete hain.
6.
Share it
Ye vo tool hai jiski help se aap bina kisi
cable ke apne computer se mobile par or mobile se computer par data transfer
kar sakte hain.mobile par iski app install hona jaruri hai or computer me iska
software install hona.fir aap pictures se lekar videos tak har tarah ki files
ko ek dusre me transfer kar sakte hain.
7.
C Cleaner
Ye ek chota sa tool hai but iska work bahut
hi best hai.is tool se aap apne computer ko re fresh kar sakte hain.yani sbhi temporary
files ko delete kar sakte hain.or ye karna jaruri bhi hai.isse aapka computer
refresh ho jata hai.internet use karte time kai temporary files jma ho jati
hain jinhe remove karna jaruri hai.isse computer ki speed slow nhi hoti.
8.
WinRar
Jab bhi internet se ham koi file ko
download karte hain to jyadatar vo zip ya rar file me hoti hai jise open karne
ke liye aapko winrar tool ki jarurat padti hai.isliye ise bhi ek useful
software mana jata hai.isme aap kisi bhi tarah ki zip or rar file ko open kar
sakte hain.
9.
Microsoft Office
Ms office ka use kisi se chupa hua nhi hai.
window install karne ke baad sabse pahle hme isi ki jarurat padti hai.ye vo
software hai jisme ham word excel power points jaise popular programs ko use
karte hain.aap apne computer me iska koi bhi version install kar sakte hain.jo
bhi aapko easy lge. internet par aapko ms office 2003 se lekar 2016 tak sbhi
software mil jayenge.
10. Antivirus
Ye vo tool hai jo aapke computer ki hifazat
karta hai.yani internet use karte hue kai baar hmare computer me virus aa jate
hain antivirus un virus ka khatma karta hai.ab aapki marzi hai ki aap paid
antivirus use karte hain ya free.meri nazar me free antivirus use karna safe
nhi hai.koshish yahi Karen ki aap paid antivirus hi use kren.ye itna mahanga
bhi nhi hota.
Agar aap mujhse kisi best antivirus ke bare
me puchenge to me aapko recommend karunga ki aap kaspersky hi use kren.ye meri nazar me sabse best
antivirus tool hai.baki aapki marzi hai aap koi bhi antivirus use kar sakte
hain.but computer me antivirus hona jaruri hai.
Vaise to computer me use kiye jane wale
tools or software ki list kafi lambi hai lekin yahan mene top 10 best or useful
tools ke bare me btaya hai.jo ki har computer me install karne chahiye.inke
alawa bhi bahut se software hain jinki bhi jarurat hme padti hi rahti hai jinke
bare me bhi me aapko aainda posts me btaunga.
I Hope ki ye jankari aapke liye useful
sabit hogi.in tools or software ko aap filehippo.com se bhi download kar sakte
hain.vahan aapko ye sbhi mil jayenge.jyadatar log yahin se download karna
pasand karte hain.iski vajah ye hai ki ye ek trust site hai.jahan kisi kism ka
koi virus ya risk nhi hota.
Aapko ye post Top 10 Useful popular Software Aapke Computer Ke Liye kaisi lgi , ise apne friends
ke sath jarur share kren.taki unke ilm me bhi izafa ho.or mere sath social
media par judne ke liye
Aamir Ali
Info Tech Hindi
top 10 software for pc top software programs top 10 software for pc best software
pc programs popular software the best software top 10 software best pc programs
top computer software most popular software best pc software
कोई टिप्पणी नहीं
Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.
Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.