Smart bloggers Ke Liye Top 10 Blogging Apps for improve Blogging

Top 10 android apps for every smart bloggers for improve Blogging
If you are a blogger and writing blogs you must need install these 10 android apps on your smartphone for smart blogging and blog posts and Google AdSense earnings, and analytics, and YouTube channel managements. Learn about the useful apps.

Dear readers , agr aap ek blogger hain or daily and weekly blog update karte hain ,or Google AdSense ke sath earnings bhi karte hain ,ya karna chahte hain,or agr aapka apna koi YouTube channel bhi hai ,or aap usme videos bhi uploads karte hain.to aapko apne blog posts and visitors and views and earnings and social media posts sharing’s and blog or YouTube comments and answers for comments and bloging management ke liye 10 android apps ki help se easy bna sakte hain.

Top 10 android apps for every smart bloggers for improve Blogging

In android apps ko aap apne mobile me download karke install kar sakte hain or iski help se aap apna bloging management ko better handle kar sakte hain. Yakin janiye in apps ki help se aapka half se bhi jyada work easy ho jayega.inhe har smart bloggers use karte hain.inko use karne se ek to aapke time ki kafi bachat hogi ,or iske sath hi aapka bloging work kafi easy ho jayega.

Personally me in sbhi apps ko apne mobile par use karta hun ,jisse mera work kafi jyada fast and easy ho jata hai.kyu ki ye apps kafi useful hain.or professional bloggers ke liye kafi jaruri bhi hain.or jo log YouTube par work karte hain unke liye bhi ye apps kafi useful hain.aaiye in par ek nazar daalte hain.ye sbhi apps aapko Google Play store par mil jayengi.

1. Blogger Android App
Jyadatar log blogger and wordpress do hi platforms par blogging karte hain.in dono ke android apps bhi aapko Google Play store par mil jayenge. Blogger ke is app me Compose a post that you can save to draft or immediately publish and existing posts ko edit bhi kar sakte hain.isme abhi itne jyada feathers to nhi hain bas just good. Not a very good.iski size 2.7MB hai.

Must Read :  Hindi Bloggers Ke Liye Important Blogging Tips in Hindi

2.WordPress Android App
Agr aap WordPress par blog likhte hain.to aap is app ko use karke apne blogging work ko easy bna sakte hain. Is android app me power of publishing aapke hath me rahta hai, ye app create and consume content. Write, edit, and publish posts, ki facility bhi aapko deta hai.or isme aap apne site stats ko check bhi kar sakte hain.  And you can get also inspired with great posts in the reader. meri nazar me ye app better then blogger app hai.isme abhi kuch new feathers bhi updates hue hain.

3.Google AdSense Android App
Jin logon ne apni sites par Google AdSense ke ads lagaye hue hain ya YouTube channels ko AdSense ke sath monetize kiya hua hai.unke liye ye AdSense android app kafi useful hai.isme kai feathers hain.
Isme aap apni site ka overview daily check kar sakte hain.isme aapko estimated earnings ,page views, impressions, clicks, page ctr, impression ctr, CPC, page prm, impression prm, vgaira ki jankari milti hai.

Iske alawa aap isme Products, Custom channels, Sites performing, Countries, Platforms, Ad units, Ad sizes, Ad types, Ad networks, Targeting types, Bid types vgaira bhi check kar sakte hain. This is the most important app for all Google AdSense users.

must read : What is google adsense information in hindi

               How to increase Google AdSense revenue easy smart ways 

4. Google Analytics Android App
Google Analytics app sbhi bloggers and webmasters ke liye useful hai.jisme aap apni blogs and websites ki performance ko daily check kar sakte hain.

Isme aapko Real time ,Overview ,Audience, Acquisition, Behavior, E commerce, vgaira ki information’s milti hai.sasbe best baat ye hai ki is app me aapko apne users and visitors ki complete information’s mil jati hai ki vo kaun se days and times me aapki sites ko visits karte hain.aap unke all records ko track kar sakte hain.or apni sites ko better bna sakte hain.iske alawa bhi isme aapko kai feathers milenge.jo ki aapko apni sites ki performance ko better bnane me aapki help krenge.

5. YouTube Creator Studio Android App
YouTube Creator Studio App is useful to all You Tubers. Jin logon ke YouTube par apne channels bne hue hain,unke liye ye app bahut useful hai.is app ki help se aap apne YouTube channels ke dashboard ko control kar sakte hain.or apne videos ,Playlists, Comments, Analytics, vgaira ko bhi check kar sakte hain.
Kai baar mere YouTube channel ke viewers mujhse question karte hain ki sir jab bhi ham aapke kisi bhi video ke niche comments karte hain ,to aap foran hi uska answers de dete hain.kyu aap any time YouTube par online hi rahte hain ?

Iska answer ye android app hai.jisse mujhe foran pta chal jata hai ki YouTube par mere kis video par kisne comment kiya hai ,or kisne channel ko subscribe kiya hai.iske just baad me foran action leta hun ,or unko jald hi unke comments ka reply kar deta hun.
YouTube Creator Studio Android App se aapko apne YouTube channels ki hare k activity ka pta chal jata hai.isliye me un sbhi ko recommend karunga ki is app ko aap bhi use kren,jinke YouTube par apne channels bne hue hain.

6.Google Plus Android App
Google Plus Android App sbhi bloggers and webmasters ke liye kitna useful hai ise vo khud bhi better hi jaante hain.sbhi social media me reddit and Google Plus hi vo networks hain jinki help se aapki post sabse jaldi rank kar jati hai.yani first page on Google par aa jati hai.

Har ek bloggers Google Plus ko to use karte hi hain.is social media platform par posts ko share karne se bhi kafi jyada blog traffic increase hota hai.agr aap ise mobile par use karenge to aapka kafi time save hoga.


Me jyadatar apni posts ko Google Plus Android App ke jariye hi share karta hun.so this is a very best app for blog posts promotions works. yahan aap apne networks create kar sakte hain.and Google Plus Blog subject related communities ko bhi join kar sakte hain then aap apni posts ko in sbhi me share kren ,yahan se aapko kafi jyada blog traffic mil jayega.

Must Read :  Increase Blog Traffic with Google plus

7.Facebook Android App
Facebook ki ahmiyat kisi bhi bloggers se chupi hui nhi hai. Blog posts promotions ke liye Facebook is a most important social media platform hai. yahan bhi aap apne networks create kar sakte hain.apne pages bna sakte hain,and khud bhi groups bna sakte hain or dusre groups ko join bhi kar sakte hain.
Uske baad aap in sbhi me apne latest posts ko share kren ,aapke blogs ko Facebook se bhi kafi jyada traffic milega.

Blog posts promotions works ke liye agr aap Facebook android app ko use karte hain to aapka work kafi jyada easy ho jata hai. yahan aap apne visitors ke time ke hisab se apni latest posts ko share kren.aapke blog par kafi traffic increase hoga.

8. Twitter Android App
Blog posts promotions ke liye Twitter ka use bhi kafi faydemand sabit hota hai.dusre social platforms ki tarah aap twitter par bhi apna networks create kar sakte hain.or twitter par by tweet apni posts ko share karke blog posts ke liye traffic hasil kar sakte hain.iske liye agr aap Twitter Android App ko use karte hain to isse aapka work kafi easy ho jayega.

What is Facebook marketing (Get traffic leads and sales learn in Hindi Urdu)

9.WhatsApp  Android App
WhatsApp is the most important and biggest social media app in the world,jise Facebook ke barabar use kiya jata hai.is app ki help se bhi aap apne blog and websites par kafi jyada traffic redirect kar sakte hain.

WhatsApp par aap apne groups bnaye ,usme jyada se jyada logon ko apne sath joden,or dusre groups bhi join kren ,in sbhi groups me aap apni hare k latest post ko share kren ,yahan se bhi aapke blog and websites ke liye kafi jyada traffic milega.is app ko bhi jyadatar log time pass ke liye hi use karte hain.ek baar ise aap apne blog promotions ke liye use karke dekhen ,aapko kafi fayda milega.or iski ahmiyat bhi aapko pta chal jayegi.
10.YouTube Android App
YouTube android app khas kar un logon ke liye jyada useful hai jinke YouTube par channels hain.is app ki help se aap apne videos ko direct social media par share kar sakte hain.or iske alawa aap apne videos ke reviews bhi check kar sakte hain.or iske sath sath is app par aap YouTube videos ko online and offline bhi dekh sakte hain.jyadatar log is app ko videos ko dekhne ke liye hi use karte hain.

But smart You Tubers is app ko apne videos ke promotions ke liye use karte hain.kyu ki jo business man hota hai ,vo har cheez me apna business or fayda nikaal hi leta hai.isliye aap in apps ko use karne ke andaz ko smart bnaiye .

Dear readers ,smart blogging ke liye mene aapko sirf 10 android apps ke bare me btaya hai.halanki inke alawa or bhi kai useful apps hain jo ki aapko Google Play store par mil jayenge. Agr time mila to or kai apps ke bare me aapko btaunga,jinki help se aap apne blogging works ko easy and smart bna sakte hain.

In 10 Android apps ko personally me bhi use karta hun.isliye ki isse mujhe apne works me kafi aasani ho jati hai. laptop par sirf posts likhne ka hi works karta hun,uske baad posts promoting and sharing vgaira ka complete works ke liye me in apps ko use karta hun.isi ke sath sath in apps ki help se me apne sbhi readers ke sath juda rahta hun.unki hare k activities ko check karta rahta hun.

Aapko article padh kar yahi lgega ki inme se jyadatar apps ke bare me hme pahle se hi pta hai.or inhe ham pahle hi se use karte aaye hain.lekin is post ke jariye me aapko motivate karne ki koshish kar rha hunk i in apps ko smart blogging ke liye use Karen or inse bhi aap apne blog posts ke liye visitors find kren.or apni site par traffic increase kren.
Mera manna hai ki agr ham sbhi in apps ko apne blog ke liye ya apne business ke liye ya site ko promote karne ke liye use kren ,to aisa ho hi nhi sakta ki aapki sites par traffic increase na ho.

Kyun ki jo Digital marketers hote hain vo Google Analytics ke jariye site traffic ki times and details ka idea kar lete hain.or uske hisab se promotions karte hain.
Or Google AdSense App ki help se unhe AdSense se related chizon ko samajhne me aasani hoti hai ,jisse vo high cpc keyword ko target karte hain.

And in sbhi Social media platforms ka use vo sirf  sites traffics ko increase karne ke liye hi karte hain.tab jakar Google AdSense se earnings bhi increase hoti hai ,or sites par vo targeting traffic ko redirect karne me bhi kamiyab hote hain.

How to Make money with Social media Marketing

Hmare or unke andar online works karne ke yahi sab fark hain.jinki vajah se ham traffic kam ka rona rote rahte hain.
I hope ki aapko ye post pasand aayi hogi.agr ye jankari aapko useful lge to ise apne friends ke sath share karna na bhulen.
Or agr aapko meri koshishen pasand aa rhi hain to mujhe social media par follow karna na bhulen.

Yahan click karke aap mere YouTube channel ko subscribe kar sakte hain.and yahan par click karke aap mujhe Google Plus par join kar sakte hain.and yahan click karke aap mujhe Twitter par follow kar sakte hain.

Aamir Ali
Info tech hindi

कोई टिप्पणी नहीं

Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.

Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.