Blog Seo Post Title Se Blog Name kaise Remove Kre

Best seo Blogs vo hain jo Google seo ko follow karte hain.blog seo ke liye jaruri hai ki aapki blog search engine optimization sahi ho.

seo blog tips

yani search me aapki post ke sath blog name show na ho.aaj ki post me me aapko seo tips dunga.or title se blog name ko remove karne ka tarika bhi btaunga.

Top seo blogs and Best seo blogs Kaise Hote Hain ?


Kai professional blogs aise hain jinka result Google me mene dekha hai unki posts ke title 60 se 70 words ke hote hain.and search engine optimization blog hote hain.unka article description bhi 50 words ka hi hota hai.and sabse best baat ye hai ki search engine me sirf unki post ka title hi show hota hai blog name sath me show nhi hota.unki posts me bhi right keywords use kiye hue hote hain.



Aaj ki post me ham baat karenge ki Search result me post title ke sath jo blog ka name bhi nazar aata hai use kaise remove kar sakte hain.aap is post ko dhyan se padhen or in settings ko samajhne ki koshish Karen.ye aapke blog ke liye kafi useful hai.





Jab bhi Google ya dusre kisi search engine me koi bhi kisi keyword ko likh kar search karta hai to jo result show hota hai usme bahut si aisi posts hoti hain jinme blog post ke sath blog ka name bhi nazar aata hai.jo ki blog ki Seo ke liye achha nhi hota.

Example : Facebook Par Friends Request Kaise Disable Kre-Info Tech Hindi

Ye info tech ki ek post ka title hai.jo ki Google search engine me is tarah se nazar aata tha.is tarah bahut si aisi posts hoti hain jinke title ke sath blog ka name bhi show hota hai halanki vo pura show nhi hota lekin hota to hai.ye setting all templates me hoti hai.ise change karna padta hai.

Seo for blogger and Blogging for seo (seo articles)


Post Title Ke Sath Blog Name Show Hona Blog Seo Ke Liye Best Nhi hota.
Post ka title kai baar kafi bda hota hai or kai baar kafi chota.post ka title hi vo cheez hai jo ki kisi visitors ko aapke blog tak lekar aata hai.agar aapke post ke title ke sath aapke blog ka name bhi har baar show hota hai to vo isliye best nhi hota ki blog name se koi bhi use search nhi karta.



Jyadatar visitors jo ki search engine se aate hain vo kisi na kisi keywords ko search karte hue hi aate hain.post ka title 60 se 70 words ka hona chahiye.agar 70 words ka title hai or fir uske sath 30 words ka blog name bhi show hota hai to total 100 words ho jate hain.jo ki aapki post ko search se pichhe dhakel dete hain.





Google me koi bhi post ke title ke sirf 60 se 65 words hi show hote hain isse jyada nhi hote.agar aapka post title 70 words ka bhi hai to chal jata hai lekin agar vo 100+ ho gya to search me kaise aayega.
Isliye post title ke sath blog name show nhi hona chahiye.

Post Title Se Blog Name Ko Remove Karne Ka Tarika


Ye lagbhag har ek blog ke sath hota hai.blog post ke title se blog name ko remove karne ka tarika behad aasan hai.jo log thoda bahut bhi HTML me changes karna jaante hain vo aasani se kar sakte hain.

Iske liye sabse pahle aap Blogger Dashboard ko open kren.fir Template par jayen.or yahan se Edit HTML par click kren.behtar ye hai ki pahle Template ka beckup le len.taki koi galti ho to template backup kaam aa jaye.

Blogger>Template>Edit HTML

Ab aapko niche diye gye code ko search karna hai.

<title><data:blog.pageTitle/></title>

Jahan kahin bhi aapko ye code nazar aaye ise select kar len or iski jagah par niche diye gye code daal den.or template save kar den.

Replace it with the following

<b:if cond='data:blog.pageType == &quot;item&quot;'>
<title><data:blog.pageName/> </title>
 <b:else/>
<title><data:blog.pageTitle/></title>
</b:if>


Ye yaad rhe ki aapko us code ki jagah par ye code replace karna hai.na ki uske niche ya upar.use remove karke uski jagah par ye code daalna hai or template save karna hai.

Agar Code Na Mile ?

Agar aapko vo code na mile to iski 2 hi vajah ho sakti hai.ya to aapke blog template par ye code lock kar diye gye hain kyu ki jyadatar log free blog template hi use karte hain.or free template me kai chizen lock ki hui hoti hain.





Or dusri vajah hai ki aapka blog template pahle se hi optimize hai.yani aapke blog template me pahle se hi code change kiye hue hain.kai template aise hain jinme pahle se hi change kiya hua hota hai.unhe dubara se changes karne ki jarurat nhi hoti.




Or agar aapki post title ke sath blog name bhi nazar aata hai or ye code bhi aapko mil nhi pa rhe to iska matlab ye hai ki aap ye code ko talash nhi kar pa rhe hain.lock code search karne par bhi nhi mila karte.behtar ye hai ki apne blog ke liye best template use kiya kren.



Agar template 2016 ka premium version hai to vo pahle hi se optimize hoga usme changes ki jarurat nhi pdegi.aajkal ye code template create karne wale pahle hi change kar dete hain.lekin jyadatar log new and latest template use nhi karte vo in code ko change kar sakte hain.







I hope ki Blog Seo ki ye setting aapke samajh me aa gyi hogi.ummid karta hun ki ye post aapke liye useful sabit hogi.and aap apne blog ka seo best kar skenge.or use Google search engine ke mutabik optimize kar sakenge.

Aapko ye post kaisi lgi , ise apne friends ke sath jarur share kren.taki unke ilm me bhi izafa ho.or mere sath social media par judne ke liye


Aamir Ali

Info Tech Hindi 

कोई टिप्पणी नहीं

Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.

Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.