VLC Media Player Ke Features Jinhe Aap Nhi Jante Honge
VLC Media Player Ke Features Jinhe Aap Nhi Jante Honge
VLC MEDIA PLAYER ek
popular aur famous media player software
hai.iska popular aur famous hone ka karan iska feature hai.bahut hi kam aise media player software honge jo VLC
ke size me VLC jaisa feature provide karte ho.
VLC me itne jyada
feature hone ke karan .
maximum log apnio audio aur video playing ke liye .VLC
MEDIA PLAYER hi istemal karte hai.kya
aap bhi VLC ka hi istemal karte hai.agar .yes to aaj mainaapko VLC ka hi kuchh
aisi tips & tricks bataunga jo aapke kaam aa sakti hai.aaj ki is post me hum
jo tips & tricks batane wala hun wo ye hai.
1 movie ke kuch hisse ko nikalna
2 chalti hui movie ka photo nikalna
3 movie ka languege
change karna
4 video convert karna
5 chalte huye movie
par name likhna
6 VLC ko camera ki tarah use karna
hum in sabhi ko step by step ek-ek karke janenge .
Cut the Movie Clips
kabhi - kabhi aisa hota hai.ki jab hum koi video dekh rahe
hote hai.to us movie ka koi scene
jaise--> movie me boli gai dilog,songs,action.etc.hume
achhi lag jati hai.to hum ye sochte hai.ki kaise is dialog,songs action,etc. ko movie se nikala jaye wo bhi. chote size me.is
step me hum aapko yahi bataunga ki kaise.movie ke songs,dialog,action ko bahar
nikala jaye.
1 step sabse pehle video ko VLC me play kare.
2 step= ab jis video ke jis scene ko bahar nikalna chahte hai.wo scene jaise hi
aaye.shift+r press kare.ab apka recording suru ho gayi hai. jaha
tka scene ko nikalna chahte hai jaise hi wo scene end ho . shift+r dabaye ab aapka video aapke video ke folder me chala jayega
Take Video screenshot
video ke jis scene ka photo nikalna chate hai.jaise hi wo
scene aaye.shift+s dabaye.us scene ka photo nikal kar aape picture ke folder me
pahuch jayega.
Change the Movies Language
kuch movie aisi bhi hoti hai.jo 2 ya 2 se adhik bhasha me bani hoti hai.jaise--> south
indian film,hollywood,etc.ek to ye apne mul languege me hoti hai.dusra ye other
languege me hoti hai.jaise hindi,gujrati,bhojpuri etc.
is step me hum inhi languege ko change karna sikhenge.
1 step= sabse pehle movie ko VLC me play kare
2 step ab audio par
click kare.fir audio track par mouse le jaye jaise hi aodio track mouse
jayegi.bagal me wo sabhi languege dikhayi dene lagegi jin-jin languge me movie
bani hai.yah se us languge ko chune jis
languege me aapko movie dekhni hai.
Convert The Videos to Other Format
VLC media player me ek featur ye bhi hai.ki aap VLC ki help
se kisi bhi video ka format convert kar sakteh hai.video convert karne ke liye
in step ko follow kare.
1 step= VLC ke media menu par clik kare.ab neeche se
converte/save par click kare.
2 step= ab ek new window open hogi.yaha par add par click
karke us video ko slect kare jise aap
convert karan chahte hai. fir convert/save par click kare.
3 step=ab yah par
browse par click karke. us folder ko chune jis folder me video convert
karne ke baad video rakhna chate hai.
3step=last me start par click kare.aapka video convert hona
shru ho jayega.kuch der me aapke dwra chune huye folder me convert hokar pahuch jayega.
Use VLC camera
agar aapke laptop me photo khichne ka koi software na ho
.aur aapko laptop se photo khichne ki jaroorat pad jaye to.aisi situation me
VLC aapki madad kar sakta hai.wo kaise main aapko baatata hun aap VLC ke dwara
photo bhi khich sakte hai.
1step= sabse pehle VLC software ko open kare
aur menu me se media par click kare.
2 step= ab open
capture device par click kare
ab drop down se direct show ko select kare
aur play par cick kare.
3 step = aapke laptop ka camera on ho jayega .aur VLC me
aapka photo bhi aa jaye ga.ab jaise aapko photo achhe lagi vaise hi shift +s
dabaye aapka photo khich jayega
Write Text on Videos
aap is software me chal rahi
video me .apna name ya kuch aur likh sakte hai.har video par apna name
dikhane ke liye aap is simple se step ko follow kare.
1 step= pehle VLC ko open kare
aur tools menu par click kare.fir effect & filter par
click kare.
2step=ab ek chota sa
new window open hogi.isme video effect par click kare.fir.overlay par click
kare
3 step=ab neeche right side par .add text likh hoga.iske
samne check box ko check kare.aur jaha
par likh hai.VLC use hata kar apna name likhe.aur close par click kare ab jis
bhi video ko play karnge aapka name har video par likh huwa aayega.
Ye post aapko kaisi lgi ,ise apne friends ke sath share
karna na bhulen.and mere sath social media par judne ke liye
Aamir ali
कोई टिप्पणी नहीं
Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.
Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.