Small Business online at Home Kaise Start Kren (Best business ideas)

How to Start small Business online at Home
How to start small business online at Home (Best business ideas)
Here you can read about startup business ideas, and learn how we can start own small business online from home. Read starting a business and best home based small businesses tips and home business startup guide and business opportunities.

Dear readers, mujhse kai logon ne start own online business at home ke bare me question kiya.or pucha tha ki ham bhi online apna business kaise start kar sakte hain.iske liye business ideas kya hone chahiye.jo ki hmare liye good business ideas sabit ho.aise kaun se ways hain jinki help se ham apna business start kar sakte hain.or iske liye hme kitna investments karna padega.
Aaj ki post me aapko starting your own business ke bare me kai great business ideas dunga jo ki aapko business setup ke liye ek guideline dene ka work karenge.aaiye samajhne ki koshish karte hain ki ham apna business online kaise start kar sakte hain.

How to start a small business (starting business ideas)

Aaj ke digital marketing and online marketing ke daur me aise bahut se log hain jo ki online apna business setup kar chuke hain.or ye itna koi difficult works bhi nhi hai.aap bhi apna business online kar sakte hain.bas aapko kuch khas baton ka khayal rakhna hoga.

Almost business are 2 types in the world
1. Sales     2.Services
Duniyan me business 2 hi tarah ke hote hain.jinme se ek hai sales and dusra hai services.ya to log kisi cheez ko sell karte hain or ya fir apni services ko provide karte hain.jo log sales works karte hain unhe seller kaha jata hai or jo services ko provide karte hain unhe service providers kaha jata hai.

In mayno me ya to aap ek seller hain or ya fir ek service provider.jaise ki me online blog and website development works karta hun to me peoples ko apni services ko provide karta hun.or kisi ki apni shop hai or vo usme alg alg companies ke products ko sell karta hai to vo has a seller work karta hai.

Jo jaisa works karta hai use us work ke hisab se hi apna online business ka setup karna hota hai. Internet par aap apne ya kisi or ke products ko sell karne ka business bhi start kar sakte hain or apni ya kisi or ki services ko provide karne ka business bhi start kar sakte hain.
Jaise ki Affiliate marketing’s karne wale sbhi online seller hain.or jitney bhi Freelancers hain vo sbhi service providers hain.ab aapko ye tay karna hoga ki aap ek seller banker apna business start karna chahte hain ya fir aapke andar koi talent hai ,jise aap ek service provider ke roop me sell kar sakte hain.dono hi tarah ke business ke online setup ke liye aapko ek jaisa hi work karna hoga.ye tips un sbhi ke liye hain jo ki online apni services ko provide karna chahte hain ya fir online apne products ko sell karke earnings karna chahte hain.

Home based business ideas to start small business online

Aap apne home par rahte hue bhi kai works kar sakte hain.jiska aap online setup karke fayda utha sakte hain.maan lijiye ki aap apne ghar par achar bnate hain.or uska taste kafi best hai ,or aapko lagta hai ki agr is achar ko sell kiya jaye to kafi log ise kharid lenge.to isko aap apna business bhi bna sakte hain.or iska online setup karke ise apne ek small business ke roop me start kar sakte hain.uske baad aapko online job hi orders milenge to aapko unke address par apne products ki delivery karni hai. payments ko aap ya to cash on delivery bhi kar sakte hain or advance payments bhi mangwa sakte hain.
Ya aap koi aisa works jaante hain jiske bare me aapko lagta hai ki ise me best tarike se kar sakta hun ,or ye aapka talent bhi hai.to ab aapko apne is talent ko hi apna business bna lena chahiye.or apni services ko online provide karwana shuru kar dena chahiye.isse aap apni services se work at home karte hue bhi good online earnings kar sakenge.
Mene aapko ye do examples diye hain jinme ek sales ka hai or dusra services ka hai.ab aap apne aap se sawal kren ki aapke liye best way kaun sa hai.

Franchise business is a great business idea

Isse related aap apne business ke bare me ideas len ki hme kaun sa business karna chahiye.ek or business idea me aapko or bhi de deta hun vo ye hai ki maan lijiye ki aapki city me koi aisa product banta hai jiski supply all india me hai.or aapki city ke alawa ye product kahin par bhi nhi banta.or iski bahut si factories bhi aapki city me hi hain.to aap in products ko online sell kar sakte hain.aap isme jarur success honge iski vajah yahi hai ki is kaam ko aapke alawa online koi bhi nhi kar rha or isme aapko business competitions bhi kam hi milengi.or aapko online orders milna shuru ho jayenge to aap apni city ki un factories se products ko saste me kharid kar usme apna benefits include karke use sell kar sakte hain.

Is business me aap kisi bhi dusre ke products ko khareed kar use online sell kar sakte hain.chahe vo kisi ke bhi bnaye hue hon.bas aapko unki quality ke bare me ideas hona chahiye ki ye customers ko pasand aayegi ya nhi.agr in products ki quality best hai ,to aap 100% inme good earnings kar sakenge.
Is home based business me aapke liye scope isliye bhi hai ki hmare india me abhi tak hare k factories ne apne products ko online sell karna shuru nhi kiya hai.inke jitney bhi clients hain unme se jyadatar offline hi hain.or agr aap inke products ko online sell karte hain to poora market aapka hi hai.isse inko bhi fayda hoga ki inke products jyada sell honge or aapko bhi fayda milega ki online sabhi customers aapke jariye hi aayenge ,isme aapko khud hi apna commissions nikalna hoga.aapki marzi hai ki aap isme kitna kmana chahte hain. products aapko hole sell rates me mil hi jayenge.best ye hai ki aap inhe inki market price par hi sell kren.isse aapko orders bhi jyada milenge.chahe munafa kam ho.varna jyada fayde ke lalach me aapko orders kam milenge.   

Home making products business ideas (small businesses)

Home making business ke bare me mene abhi aapko ek example dekar samjhaya ki aap kis tarah apne home par hi products ko tayar karke unhe online sell kar sakte hain.aise bahut se products ho sakte hain jinhe aap apne ghar par tayar kar sakte hain.or ye products aapko advance me tayar karke rakhne ki bhi jarurat nhi hai ,bas jaise jaise aapko orders milte hain vaise vaise aap products ko tayar karke delivery kar sakte hain.

Ab aap dekh len ki aise kaun se products hain jinhe aap best bna sakte hain.chahe vo food products hon ya fir koi or tarah ke products.kai log apne ghar par children’s items bnate hain to kai food items ,to kai fashions items ,to kai females items to kai dresses ,jinke paas jaisa talents hota hai jaisa hunar hota hai vo vaise hi products ko apne ghar par hi bna lete hain.bas unko iska sahi benefits nhi mil pata.iski vajah yahi hoti hai ki vo ise apna small business nhi bnate.bas ise karte rahte hain,or jitna bhi kma sakte hain utna kamate rahte hain.halanki isme bhi aage badhne ke kai chance hote hain.
Is business me aap apne ya apnea as paas ke home makers ke products ko online sell karke apna small business develop kar sakte hain.kyu ki hare k home makers apne products ko online sell nhi kar sakte.aise me aapko iska fayda milega.

Home based business service providers (new business ideas)

Jaisa ki mene btaya tha ki agr aapke andar koi talents hai ya aapko koi work acha karna aata hai to aap use apna business bhi bna sakte hain.aaj ke digital daur me logon ko kisi service ki jarurat padti hai to vo use bhi internet par hi search karna pasand karte hain.or un services ko online bhi lena like karte hain.
Aap agr chahe to apni services ko bhi online provide karwa kar unse online earnings kar sakte hain.agr aap apne services ko without investments ke provide karwana chahte hain to aap kisi bhi freelancing site par apna account bna kar works start kar sakte hain.
Or agr aap apni services ko apna business bnana chahte hain to iske liye aapko kuch investments karna hoga.or inka online setup karwana hoga.isme aapko invest karne ke baad online direct orders milenge.jinhe aap apne ghar par rahte hue bhi complete kar sakte hain.or payments aap online ya fir bank accounts me bhi mangwa sakte hain.sabse best ways to yahi hain ki aap apni khud ki ya apne ghar me se kisi ki services ko online provide karwa kar unse earnings kren.
Or dusra tarika ye bhi hai ki aap dusron ki services ko bhi online provide karwa kar unse fayda utha sakte hain.jaise ki maan lijiye ki aapka ek friend females fashion designer hai ,to aap uski service ko apna online business bna sakte hain.vo is tarah ki aap iska online setup kren.or online orders lekar use works karwayen.or orders ko complete kren.jo bhi rupay aapko customer pay krega usme se kuch usko den or kuch aap rkhen.isme aapko kuch bhi na karna pda.bas aapko online orders lane hain.or usko dene hain.is tarah usko jyada se jyada works milega isse usko fayda hoga.or aapko isme apna commissions milega.yani bgair kuch kiye bhi aap earnings kar sakte hain.bas aapko smart works karna aata ho.


Isi tarah ek example or ye hai ki jaise ki me website developer hun.kam se kam rate me apni services provide karta hun.to aap agr jaise ki meri services se earnings karna chahte hain ,to aap inhe online promote karke orders le sakte hain.or maine jis rate me work karna hai me usi me karunga,aap clients se jo chahe rate le sakte hain.ye aap par depend karta hai,ki aap kam lete hain ya jyada.is tarah aap kisi or ki services se bhi good earnings kar sakte hain.

How to plan for startup small business online

Aapne agr apne business ko online setup karne ka irada kar liya hai to iske liye aapko kuch chizon ki jarurat pdegi.jo ki aapke business ko online set karne ke liye impotent hoti hain.

Business Website
Aapki apni ek website honi chahiye Jisme aap apne products and services ko sell kar sakte hain.or uski complete details ko apne visitors ko provide karwa sakte hain.log aapki website par aapke products and services ke bare me padhenge ,or uski information hasil krenge ,uske baad aapko apni site par hi orders karenge.

Social media profiles
Apni website ko social media par promote karne ke liye aapki social media ke sbhi platforms like Facebook, twitter, Google Plus, vgaira par profiles honi chahiye.or pages bnaye hue hone chahiye.taki aap jyada se jyada logon me apni website ko share kar saken.or website ke jariye apne products and services ko jyada se jyada logon tak pahuncha sken,taki aapko jyada se jyada orders receive hon.

How to Earn Money fast from Facebook Best ways

About your business
Aap job hi business online set karna chahte hain ,uske bare me aapko kam se kam 10 articles likhne hain ,jisme aap apne products and services ke bare me logon ko bta sken.or in sbhi articles ko aapko apni website par update karna hai.uske baad bhi aapko apni website ko articles ke jariye jyada se jyada updates rakhna hai ,taki users ko aapke business ke bare me jyada se jyada informations mil ske.
jitna achha aap apne business ke about likh kar posts krenge utne hi jyada orders aapko milenge.or agr aap clients ko satisfy karne me kamiyab ho gye to aapke paas orders ki line lag jayegi.har business ke success ka ek hi best way hota hai vo hai clients ka aapke products or services se satisfy hona.uske baad ek dusre ke reference se aapko orders milte hi chale jayenge.is tarah aap apne business ko best tarike se set kar sakenge.
I hope ki aapko start small business online at Home (Best business ideas) ke bare me samajh me aa gya hoga. these are the best ways of startup for own business.
Agr aap is post ke about kuch bhi questions karna chahte hain to comments karke puchh sakte hain.or aap apne business ke bare me koi bhi salaah lena chahen tab bhi aap mujhe email kar sakte hain.
Agr ye post aapko pasand aayi to ise apne friends ke sath share karna na bhulen.or social media par jyada se jyada share kren.
Or agr aap social media par mere sath judna chahte hain to
Follow on Twitter

Aamir Ali 
Info Tech Hindi


कोई टिप्पणी नहीं

Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.

Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.