Quality back-links Create Karke Blog traffic Boost Kren (Best 5 ways)

Get back-links and boost your Blog traffic
Get Quality back-links and boost your Blog traffic (Best 5 ways)
High quality back-links are the best factors of a blog and website seo. here you can read some ways of how to get high quality back-links and boost blog traffic and increase visitors and daily views and also increase AdSense earnings.

Dear readers , ek new blog and websites ke liye sabse jaruri hota hai uska SEO yani search engines optimization. Search engines par apni site ke results jyada se jyada hasil karne ke liye blog postings and social media sharing ke sath sath or bhi bahut si baton ka khayal rakhna padta hai.jinme se ek hai high quality backlinks bnana.iske kai tarike hain.

What is High Quality backlinks and how to build ?

High quality backlinks yani aapki site ke liye ek tarah se referrals ka works karte hain.yani internet par aisi jagah jahan par aapki sites se related kuch na kuch info and links vgaira ho ,jinki help se visitors aapki sites tak pahunch sken. Or ye bhi aisi sites par hon jo ki high rank sites hain.taki unki taraf se aapko bhi kuch na kuch fayda mile.
Vo is tarah ki jo high quality and good rank sites hoti hain,unka seo perfect hota hai ,yahan tak ki unki posts bhi seo friendly hoti hain.jinse vo search engines par first page par hoti hain.or aisi sites ke daily ke visitors bhi millions hote hain.

Hindi Bloggers Ke Liye Important Blogging Tips in Hindi

How to get high quality backlinks and boost blog traffic

Backlinks bnane ka sabse bada fayda ye hota hai ki aapki sites ke visitors increase hote hain.or vo bhi organic traffic jo ki seedha search engines se hote hue aata hai.or organic site traffic hmeshan Google ki nazar me sabse best hota hai.

Social media se aane wale daily ke 1000 visitors’ se search engines se aane wale 100 visitors bhi jyada best hote hain. Kyu ki social media se aane wala blog traffic by links aata hai,or search engines se aane wala blog traffic search karte hue aapki sites tak pahunchta hai.
Yahan me jo aapko ways bta rha hun vo khas kar search engines se aapki site par visitors increase karne me aapki help krega.social sharing traffic by links to aap vaise bhi apni sites par late hi hain.

1.Submit your site to search engines

Organic traffic increase karne or backlinks bnane ke liye sabse pahla work jo kiya jata hai vo hai search engines par apni site map ko submit karna.jab aap apni site ke site map ko Google Bing and Yahoo par submit kar dete hain ,to aapki hare k post in search engines tak pahunch jati hai.jisse ye search engines par search ke hisab se unka results show karte hain.isliye first SEO ke liye site map submissions sabse jaruri hota hai.varna search engines kop ta hi nhi chal pata ki aap apni sites par kya posts karte hain.inke alawa bhi bahut se search engines aise hain jahan par aap apni sites ke site map ko submit kar sakte hain.

How to check blog posts indexed on google

2. Submit your site to ping sites and Updates Ping Lists

Search engines par site map submit karne ke baad dusra seo factor jo sabse jaruri hota hai vo hai ping sites par apni site ko submit karna. Ping sites ke bare me aap Google par search kar sakte hain.jahan par aapko hazaron ping sites mil jayengi.jahan par apni blog and websites ko submit karna bilkul free hota hai.ping sites par submit karne se bhi aapko kai quality backlinks milte hain.jo ki search engines se site traffic lane me aapki help karte hain.

In my case meri hmeshan se se aadat rhi hai ki jab bhi mujhe kisi blog and website ko bnane ke orders milte hain.to sabse pahle me in dono works ko complete karta hun.uske baad hi aage ki SEO settings par works karta hun.jin clients ne mujhse apni sites ka setup karwaya hai vo is baat ko jaante hain.

3.Write Guest Posts and get high quality backlinks

High quality backlinks bnane ka sabse short raasta hai dusre blogs and websites par guest posts likhna.isse kai bde fayde milte hain.
Pahla ye ki jis site par aap guest post likh rhe hain us site ke visitors me aapka bhi introduction hoga.or unko bhi aapke bare me pta chalega.isse vo aapki sites ko visit karna start kar denge.

Dusra ye ki aapki guest post jab tak us blog and websites par rhegi ,tab tak vahan se aapki sites ko backlinks milte rahenge.jisse aapki site par aane wale kuch visitors us site se bhi aayenge jahan par aapne guest post likhi thi.

Tista ye ki jab bhi ham koi guest post likhte hain to last me apna introduction bhi likhte hi hain.or sath hi apni site ka link bhi dete hain.jab un sites ke visitors us posts ko padhte hain to unhe us guest writer ke bare me jaanne ki jigyasha interest hota hai ,jo unhe aapki sites par khinch kar lata hai.

Fourth ye ki jis site par aap guest post likh rhe hain ,unse aapke relations good bnenge.or jarurat padne par aapko unki help bhi mil sakti hai.ya vo apni kisi post me bhi aapki sites ke bare me kuch likh sakte hain ya fir links de sakte hain.

Guest post quality backlinks bnane me sabse jyada helpful sabit hoti hai.isse bloggers and writers ek dusre ki help kar sakte hain.and ek dusre ki sites par traffic bhi bhej sakte hain.isse do bloggers ke beech ache rishte kaayam hote hain.or help milti hai.
Isliye me hmeshan aapko recommend karunga ki aap dusre blogs and sites par guest posts jarur likhen.isse unhe bhi posts likhne se thoda aaram milega.or aapko unki sites se quality backlinks bhi milenge.lekin ye baat hmeshan zahan me rkhen ki guest posts hmeshan apne jaise subjects wale blogs and sites par hi likhen.kyu ki vahan aane wale visitors us subjects ko padhne wale hain.aapko guest post ka fayda bhi tbhi mil skega jab aapka blog and sites bhi usi se related subjects ki hon.  

Dusre subjects ki blogs wale writer bhi kisi alg subject ki blog par guest post likh to sakte hain.isse unhe fayda tab milega tab us blog ke visitors bhi writer ke blog subject me interest rakhte hon.lekin aisa bahut hi kam hota hai.

Example : agr aap technology par blog likhte hain ,to aap guest posts bhi technology blogs par hi likhen,tab aapko backlinks milenge.or unke visitors aapki sites ko bhi visit karenge.
Or agr aap health se related blog likhte hain to aap guest post bhi kisi dusre health blog ke liye likhen.
Or agr aap health blog likhte hain or guest post aapne tech blog ke liye likhi hai ,to aapko fayda to milega lekin kuch kam.kyu ki yahan aane wala traffic tech me interest rakhta hai. health me nhi ya fir kam.


Guest posts se hmeshan fayda hi hota hai.kisi ko bhi isse koi nuksan nhi hota.is works se aap ek dusre ke visitors ko exchange kar sakte hain.or ek dusre ki help kar sakte hain.
Agr aap Info tech Hindi website ke liye guest post likhna chahte hain ,to me aapko most welcome kahta hun.likhne se pahle aap mujhe email kar den.or apna subject bta den ,jis par aap likhna chahte hain.ho sakta hai ki aap jis subject par likhna chahte hon us par pahle se me kuch likh chukka hun.ya aap apni sites ke liye mujhse guest posts likhwana chahte hain to uske liye bhi email kar sakte hain.

4.Write Blog comments and get quality backlinks

Dusre blog par comments karne se bhi aapko quality backlinks milte hain.iske practical benefits me dekh chukka hun.vo is tarah ki aap jab bhi kisi blog posts ko padhte hain ,or comments karna chahte hain to hmeshan Do Follow comments kren.
Do follow comments is tarah kiye jate hain jisme sabse pahle aap apna naam likhte hain or uske baad aap apni site ka link dete hain or uske baad comments karte hain.ab aapki profiles par aapki site link ho chuki hai ,or aapka comment jab tak us sites par rhega aapki site ko backlinks milte rahenge.

Start your own blogger blog Tips in hindi

chahe to aap apni profiles ko search karke dekh lo ,jahan jahan par aap do follow comments karte hain vo sab search engines par aapki profiles ke sath links ho jata hai.jisse aapki sites ko jabardast backlinks milte hain.or log search engines se bhi aapki site par pahunchte hain.blogs and websites par comments karne ke fayde hi fayde hain,nuksan kuch bhi nhi hai.bas aap comments ko sahi tarike se kren.

How to Do Follow Comments settings on Blogger and WordPress ?

WordPress blogs ki default settings hi do follow comments ki hoti hai ,agr aap sahi template set karte hain.or blogger blogs ke liye aap do follow comments ki settings is tarah kren

sabse pahle blogger ke dashboard par jayen or vahan se settings par jayen Settings >Posts, comments and sharing>Comments> Registered User - includes OpenID set karke save kar den.ab job hi aapke blogger blog par comments krenge unki profiles par unki sites ke links set ho jayenge.or har comments karne walo ki site ko by comments backlinks milenge.

Blogger blog me do follow comments ki settings ko turn on karke ke liye aap Google Support par yahan click karke dekh sakte hain.

Aap High rankings Blogs and websites ki ek list taiyar karke apne pass save kar len.or jab bhi vo koi new post create kren to aap uske niche comments jarur kren.isse aapka apna fayda bhi hoga.or un bloggers ki bhi haunsla afzaai hogi.

Jab bhi aap kahin par kisi bhi blogs par comments kren to us posts se related comments hi kren.ya unse kuch questions karna chahen to vo kren.fizul ke comments ‘’like bahut achi post,,ati sundar,,Good keep writing,,vgaira se bachte hue aise comments kren jisse unka dhayn aapki taraf aakrshit ho.or kai log comments box me invitations bhi likh dete hain ki hmare blog ko bhi visit kren ,ya hmari nayi post ko jarur pdhen ,ya apni blog and website ke links ko likh dete hain.

ya aajkal champ cash or dusre mlm business bhi kafi ho gye hain log inke bare me likh likh kar ke comment box ke chipka dete hain.isse fayda kuch bhi nhi hota ,is tarah ke comments ko bloggers delete kar dete hain.isliye spam karne ke bajay ache and good comments kren ,taki jiski post ho use better feel ho.  

5.Share your Posts on Social media and get good backlinks

Social media se bhi backlinks milte hain.lekin ise har koi hasil nhi kar pate.iska bhi ek tarika hota hai.jyadatar social media platforms par no follow comments system set kiya hua hota hai.isliye jab bhi aap kisi post ko social share buttons se share karte hain to uske social media par backlinks nhi ban paate.

Isliye jab bhi aapko social media par apni posts ko share karna ho to hmeshan apni posts ke links ko copy karke or social media par share kren.isme aapki mehnat to thodi jyada lgegi lekin isse aapko good quality backlinks bhi milenge.kisi bhi social button se posts ko share karne ke aapko visitors to mil jayenge lekin backlinks nhi milenge,or backlinks vahan rhenge to aapko long time tak traffic milta rhega.
Isliye hare k social media ka use kren or apni posts ko share kren.or links ko copy karke hi share kren.agr aap English me blog likhte hain to aap apni posts ko raddit par share karna na bhulen.raddit ek aisa social media platform hai jiski har post rank kar jati hai.lekin raddit sirf English ko hi support karta hai.raddit ke baad Google Plus bhi post ko jald rank deta hai.aap chahe to post share karne ke 1 hour baad hi Google par search karke dekh len ,vahan aapki post ka sabse first result hi Google Plus ka hoga.meri nazar me Google Plus is better then Facebook.

How To Get Traffic From Reddit To Your Blog

I hope ki how to get high quality backlinks ke subject par aapko ye best 5 ways jarur pasand aayenge.agr ye post important hai to ise apne friends ke sath share karna na bhulen.or in sabhi 5 ways par amal karke aap bhi isse fayda haasil kren.or apni sites ke liye jyada se jyada quality backlinks create kren.

Filhal mene aapko backlinks ke sirf 5 ways btaye hain aainda time mila to or bhi jo ways hain unke bare me bhi likhunga.
Mere sath social media par judna na bhulen.

Aamir Ali
Info tech Hindi

कोई टिप्पणी नहीं

Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.

Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.