Blog Posts Ko Super-Fast Search Engines Par Kaise Index Kren ?

Get Index Your Blog Posts Super-Fast
How to Get index your blog posts Super-Fast on Search Engines
Many peoples ask about why my new post is not appearing on Google, and how to index my all new blog posts to Google faster.so today we will learn all ways for blog posts index on search engines super-fast.

Dear readers ,jab ham blogging start karte hain ,to uske baad sabse bdi jo problems aati hai unme se ek hai hmari posts ka search engines par index na hona.iski kai vajah ho sakti hai.hmeshan apni blog par About us , Contact us ,and term and conditions ke pages jarur bnayen.iske alawa or bhi dusri kai vajah hain,

jinme se kuch main vajah and iske solutions ke bare me me aapko btaunga.in best ways par work karke aap apni all blog posts ko Google and dusre search engines par super fast index karwane me kamiyab honge.

Submit Your Blog Sitemap to Google and Bing Webmasters

Blog start karte hi sase pahle aapko usme 10 posts karni hai ,or uske baad aapko apni blog ko Google webmaster and Bing webmaster me jakar sitemap submit karna hoga.taki aapki har nayi posts Google and Bing search engines tak apne aap updates ho jaye. sitemap submit kiye bgair aap chahe jitni posts likh len vo search engines tak nhi pahunchegi.

Write a Long tail Title of Blog Posts for fast indexing

Jab bhi aap koi nayi post likhen to sabse pahle us post ke subject ke about sochen.jo aapka subject hai vahi aapka main keyword hai.jaisa meri aaj ki post ka main keyword or subject hai blog post fast index.

Isi tarah aapko ek subject ko choose karna hai ,or us subject se related specific keywords aapko search karne hain.sath hi aap Google Adword ke tool keyword planner par jakar us subject ya main keyword ke bare me search kren.or dekhen ki aap ne post ka jo subject choose kiya hai uski monthly search kitni hai.or advertisers ne us keyword par kitna bid lgaya hai.or us keyword par kitna competitions hai.


Title choose karne ke liye aapko in khas baton ka khayal rakhna hai ,pahla ki jo subject aapne choose kiya hai ,jo ki aapka main keyword hai ,uski monthly search agr jyada hai ,or advertisers ne uska bid bhi achha lgaya hai ,or uska competition bhi low ya medium hai to aap us keyword ko target karke post create kar sakte hain.or agr aisa nhi hai to aapko subject change kar lena chahiye.

Kbhi bhi post ka title kisi or title ke jaisa nhi rakhna chahiye.balki aap 3,4 keywords ko milakar ek naya title create kren ,jis par koi or post pahle se na ho,tabhi aapko first page par rank milegi.kuch na kuch aage ya piche changes kar dene chahiye.post ka title na jyada long ho or na hi jyada short ho.hmeshan aise keyword ko hi apna main keyword bnaye jiski monthly searching jyada se jyada ho.

Always Write Search Description on Blog Posts

Blog posts ke search description vo bla hai jisse aap search engines robot ko ye btate hain ki ye post kis cheez ke bare me hai.ye 50 words ka hota hai.jise hmeshan English me hi likhna chahiye.chahe aapki blog Hindi me hai. search description search engines me post ke title ke niche nazar aane wala 50 words ka ek introduction hota hai.
jise likhna behad jaruri hota hai.iske bgair bhi blog posts search engines par nhi aa sakti.isse ek fayda ye bhi hota hai ki jab koi search engines par koi specific keyword likh kar search karta hai ,to agr vo keyword post ke title ya search description me hai ,to vo post search engines par nazar aana shuru ho jati hai.


Blogger or wordpress dono tarah ke blogs me search descriptions jarur likhna chahiye.

Always Create Custom Permalinks not Automatic Permalinks 

Jab bhi aap post likhne lagte hain to job hi post ka aap title likhte hain to vo automatic permalink ban jata hai.jo ki kai baar sahi nhi hota.ise aap ek example se samajh sakte hain.jaise ki post ka title hai : why my new post are not appearing on google.

Example Automatic permalink:
2016/06/why-my-new-post-are-not-appearing-on.html

Example custom permalink:
/2016/06/why-my-new-post-are-not-appearing-on-Google.html


Isse aapko andaza ho gya hoga ki kaun sa permalink best hai.isliye hmeshan custom permalink hi create karna chahiye.isme aap apni post ke title ko kafi had tak cover kar lete hain.jo ki search engines ke liye bahut useful hota hai.or bahut hi kam aisa hota hai ki automatic permalink bilkul sahi ho.agr aisa ho to vo bhi best hai.

Always Write Best and Quality Content 500+ words (Long post is useful to all)

Jab bhi aap post likhen to hmeshan 500 se jyada words ki hi likhen.short posts ke mukable me long posts ko search engines jyada ahmiyat dete hain.or unka search engines par jaldi rank hone ke chance rahte hain. Or long posts har kisi ke kaam ki hoti hai.jabki short posts se visitors aapki site par jyada der tak nhi rahte.

Sabse best to ye hai ki aap hmeshan posts ko 2,000 + words ki likhen.jo ki search engines par rank karne me sabse best hoti hai.or ye fast index bhi ho jati hai.
Jaise ki aap Microsoft word me apni post likhte hain to usme words ki counting chalti rahti hai.jisse aapko pta chal jata hai ki post kitne words ki hui hai.is tarah aap long posts bhi aasani se create kar sakte hain.


Meri aadat ye hai ,ki me sabse pahle post ka title create karta hun.uske baad search description likhta hun.jab ye 50 words ka ho jata hai uske baad post likhna shuru karta hun.mujhe post likhne me jitna time nhi lagta use jyada time post ka title select karne me lag jata hai.uske baad search description me me jyada se jyada keywords ko use karte hue 50 words likhta hun.or post ke title ke liye kai baar 1 se 2 hours tak keyword research karta hun.fir ek aisa title bnata hun jis par pahle se koi post na ho.


Ek quality content likhne ke liye jyada se jyada research kiya hua hona behad jaruri hai.usse aapko apni post ke liye kai related keywords bhi mil jate hain ,jinke bare me mene upar btaya.ab in sbhi keywords ko cover karte hue aap ek quality content article likh sakte hain.har ek post me aapko apne main keyword or use related dusre keywords ko cover karna hai.long post me aap jyada se jyada keywords ko cover kar sakte hain.isse fayda ye hota hai ki unme se kisi bhi keywords ke bare me koi search kre tab bhi hmari post Google ke search engine par first page par hi show hoti hai.lekin aisa tbhi hoga tab aap ek Seo friendly quality content likhne me kamiyab honge.

Start Building Quality Backlinks in the post

Jab bhi aap post create kren to apni dusri posts ke links ko usme add karna na bhulen.isse aapki dusri posts ko bhi quality backlinks milenge.or vo bhi jaldi rank kregi.or search engines par jyada aayegi.ek tarah se aapki har post aapki dusri posts ko backlinks building me support karti hai.

Isse ek fayda ye bhi hota hai ki aapke readers ke samne aapki dusri posts bhi baar baar aayengi ,jisse vo eke k karke unhe pdhenge.or dusra ye ki agr koi reader aapki post se bor ho rha hai ,to vo dusre links par jarur click krega.isse aapki dusri posts bhi pdhi jayegi.


Tisra ye ki post padhne ke baad jyadatar readers chale jate hain.lekin agr aapne post ke andar kai dusre posts ke links diye hue hain ,to aapke readers aasani se aapki site se nhi jayenge.unki dilchaspi badhti rahegi,or vo dusre posts ko bhi visit karte rahenge.
Lekin ye yaad rhe ki aap apni post me unhi posts ke links ko backlinks de jo ki us subject se related ho.kyu ki aapki post ko jo padh rhe hain vo us subject me hi interest rakhte hain.unhe usi tarah ki posts or milengi to vo unhe bhi padhenge.

Har post me kam se kam 5 dusre posts ke links dekar unhe backlinks de.or jyada se jyada 10 ,12 jitne aapke pass use related posts hain unke link de sakte hain.

Get Quality Backlinks by Social media websites

Social media websites like Facebook, Google Plus, Twitter vgaira aapki posts ke liye backlinks bnane me kafi helpful sabit hote hain.isliye apni posts ko social media par jarur share kiya kren.isse ek to aapki blog par visitors increase honge,or dusra aapki posts ko quality backlinks milenge.


Jyadatar social media sites ko blog and website promotions ke liye hi use kiya jata hai.iske liye aapka social media sites par active hona behad jaruri hota hai.yaad rakhiye sirf post par post karne se unhe koi bhi padhne nhi aata,unka sahi promotions bhi kafi jaruri hota hai.beshak aap 2 din me ek post likhen,lekin apni posts ke promotions ke liye jyada se jyada social media ko use kren.or jab tak aapki post ko kai hazar log na padh len tab tak aap uska promotion karte rhen.

Social media par blog posts ke promotions ke liye sabse best time hai morning 7 se 10 and evening 7 to 10.ye do hi time aise hain jab jyadatar users online rahte hain.is time kiya gya blog posts promotions behad faydemand sabit hota hai.

Write Blog Comments and Get High Quality Backlinks

Is subject par me ek poori post bhi likh chukka hun.us post me mene kai ways btaye the ki aap kis tarah apne blog ke liye quality backlinks bna sakte hain.aap us post ko jarur pdhen.


Dusre blogs par comments karne se bhi aapki site ko high quality backlinks milte hain.isliye blog commenting is best for backlinks.aap aise blogs par comments kren jinki rank good ho,or jo daily updates hote hain.aap chahe to aise blogs or websites ki list bhi bna sakte hain ,or unhe aap rojana visit kren ,or unki posts ke niche comments bhi kren.isse unki haunsla afzai hogi or aapke blog ko quality backlinks bhi milenge.

Advertise Your Blog to Other Good rank Blogs and Get visitors 

Aap apne blog ka promotion dusre blogs par bhi kar sakte hain.internet par aise kai good rank blogs hain jo ki monthly kuch charge lete hain ,or aapki site ka banner ya fir link apni site par de dete hain.isse bhi aapko high quality backlinks milte hain.
Ye tarika bhi behad powerful hai.isme chahe aapko kuch pay karna pde lekin agr aap one month ke liye bhi apni blog and site ka advertise kisi dusri good rank site par lagwa dete hain ,to isse ek hi month me aapki site ke visitors kafi jyada badh jate hain.or aapki site ko bhi jabardast backlinks milte hain.


Aise kai Hindi blogs bhi hain jo ki monthly 500 se 1000 rupay tak lete hain or aapki site ka ek link apni site par one month ke liye lga dete hain.mere hisab se itni kam rate me quality backlinks lena koi mahanga sauda bhi nhi hai.jabki aapko iska best result bhi mil rha hai.

Daily Update Your Blog and Get fast indexing
Search engines par fast indexing ke liye most powerful way ye hai ki aap apni site ko daily updates rkhen.yani aap kam se kame k post daily likhen.isse Google ki aapki Blog and website ko serious lene lgega.Google ki nazar me daily updates site ki jyada ahmiyat hai.

Isse ek fayda aapko ye milta hai ki aapki site par aane wale daily visitors ko daily koi nayi cheez milti hai ,jisse vo aapki site se jude rahte hain,or daily visit karte hain.agr aap daily nhi likhte to visitors dubara nhi aate.log rojana kuch na kuch new seekhna chahte hain.or vo usi site ko daily visit karte hain jahan unke unki khurak daily milti rhe.


Ek successful Blogger vo hai jo har haal me apni blog ko updates rkhe.chahe kuch bhi ho jaye lekin vo likhe bina na rah ske.tabhi usko jald kamiyabi milti hai. daily updates ek aisa wazifa ya mantr hai ,jisse aapki har post khud ba khud search engines par index ho jati hai.or latest results me aapki post sabse upar rahti hai.

Log jab kisi topic par search karte hain to post ko visit karne se pahle ye bhi dekhte hain ki ye post kab likhi gyi thi.old posts ke mukable me new posts jyada visit ki jati hai.isliye daily likhen ,or good likhen.or research karne ke baad jyada se jyada keyword use karte hue likhen.insha Allah aapki hare k post search engines par index bhi hogi or first rank par bhi hogi.


I hope ki aapko How to Get index your blog posts Super-Fast on Search Engines ke bare me kafi kuch idea hua hoga.jate jate ek or tips bhi aapko de deta hunk i aap apni post ke title ko title ke alawa search description me or apni post me bhi kahin na kahin likhen.hmeshan post ka title 3 jagah par likhna jaruri hota hai.isse fast indexing me help milti hai.or post ka rank karna bhi easy hota hai.


Agr aapko ye post pasand aayi to ise apne friends ke sath share karna na bhulen.or agr aapko meri koshishen pasand aa rhi hain to mere sath social media par judna bhi na bhulen.



Aamir Ali
Info Tech Hindi 

कोई टिप्पणी नहीं

Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.

Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.