Spam Comments and links Ko Blog Par Kaise Avoid Kren ?

Avoid Spam Comments from Blogs
How to Avoid spam comments and links from blogs  
Many peoples are comments on blog comments box as spam links and spam comments or posts. You can avoid these spam links use Comment Moderation Always then save settings on blogger blogs. after anyone can’t send you spam comments and links.

Dear readers , aajkal spam comments and spam links send karne ka business kafi jyada badh gya hai.meri sites par bhi rojana is tarah ke spam links and comments kuch log send karte rahte hain.aaj me in sbhi ko avoid karne ka tarika aapko btaunga.jiski help se aap in sbhi spam comments ko remove kar sakte hain.

Who are send these spam links and comments and posts

Aajkal champ cash jaise hzaron business internet par chal rhe hain.or inko promote karne wale itne diwane ho jate hain ki internet par spamming karna shuru kar dete hain.jahan jagah mili ye pagal log vahan par spammings karna shuru kar dete hain.
Koi blogs koi websites or koi social media inse nhi bach sakti har jagah par is tarah ke spammers mil jate hain.


mene Facebook, Google Plus , Twitter, vgaira par bhi posts ke niche wale comment box me or Groups and communities me ,pages me,chat me ,blog comments box me ,har jagah par inke spamming comments ko paya hai.yahan tak ki har banda in spammers se pareshan hai.or log iska hal talash karte fir rhe hain.

How to avoid links spam comments and posts from blogs

Agr aap blogger par apna blog likhte hain to me aapko ek setting bta rha hun ,use karke aap save kar den ,koi bhi aapke blogs par spamming nhi kar skega.
Go to Blogger Settings Posts, comments and sharing
Then select on who can comment?  Registered User - includes OpenID
Then Comment Moderation Always
Then save settings.


Ye karne ke baad har ek comments moderation me chala jayega ,or aapko email par iski information mil jayegi.aapko jab bhi time mile to aap blogger ke dashboard par moderation comments par jakar in sbhi ko ek sath delete kar sakte hain.chahe koi kitni bhi koshish kar le aapke blogs par spamming comments nhi kar skega.

How to avoid spam comments on social media  

Google plus par agr koi aapke profile or pages or communities me spam links and comments karta hai to aap seedhe Google me unki complain kar sakte hain.ya fir use remove kar sakte hain.


Or Facebook par agr koi aapke pages groups and profiles par links and comments spamming kre to aap uski profiles ko block kar sakte hain.or unke comments ko delete bhi kar sakte hain.or uski reports bhi kar sakte hain.sbhi raaste aapke liye khule hain.

Why peoples are doing spam comments and send links spam

Jaisa ki mene aapko btaya hai ki in dino internet par MLM type ke kai business chal pde hain ,jinka real se hakikat se door door tak koi wasta nhi hai.ye log apne networks bnane ke liye paglon ki tarah din bhar spamming karne me mehnat karte rahte hain.or isi tarah spammings karte karte ye block hokar jaleel hote rahte hain.fir bhi inme sharm haya naam ki chiz nhi hoti ye log begairat ki tarah fir bhi spamming karte rahte hain.is tarah ke jillat bhare kaam karne se lakh guna achha hai ki ye real ways par works kren ,jahan inko online earnings bhi hogi or ijjat bhi milegi.

Spamming links and comments are dangers for the sites

Spam links and comments and posts blogs and sites ke liye bahut dangers sabit hoti hai.ek to isse AdSense ko khatra bna rahta hai.aapko Google ki tarah se kbhi bhi spammer karar dekar aapka AdSense block kiya ja sakta hai.

Dusra is tarah ke spam se sites ki loading speed bhi kam ho jati hai.tisra ye ki aap kahin par bhi apni un posts ko share karte hain ,jahan posts ke comments me spam hai to search engines aapki site ko hi ignore kar dete hain.aapki site search engines se bhi spams ki vajah se hat jati hai.


Mere ek blog par AdSense account sirf  isliye disapprove kar diya gya ki us blog me hazaron spam comments kiye hue the ,jinme sabse jyada links spamming thi.aakhir mujhe blog ke sbhi comments ko delete karna pda.

Agr aapki sites par jyadatar comments aise hain jinme links spamming ki gyi hai ,ya fir dusri spamming’s hai to aapko chahiye ki un sbhi ko time rahte hi delete kar den,varna aapki blog or site search engines par spam site samajh kar hta di jayegi.
I hope ki aapko spam links and spam comments and posts ke bare me kafi kuch jaankari mil gyi hogi.agr aapke zahan me isse related koi questions hai to aap comments karke puchh sakte hain.



Or agr aapko meri koshishen pasand aa rhi hain to mere sath social media par judna na bhulen.

Subscribe my YouTube channel
Join on Google Plus
Follow on Twitter


कोई टिप्पणी नहीं

Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.

Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.