High Quality Back-links Se Blog traffic Increase Kaise Kren ?
How to Increase Blog Traffic
-Get High Quality Backlinks and Boost traffic
Many ways for make high quality backlinks
for the blogs and site. Backlinks are very important factor of increase and
boost blog traffic.in this post you can read about how to we can get organic traffic
by Seo from search engines.
Dear readers,pichli post me mene
aapko high quality backlinks ke bare me kafi kuch btaya tha.jinme se mene
jyadatar free ways aapko btaye the.aaj ki is post me bhi me aapko quality backlinks
or unse hasil hone wale traffic ke bare me btaunga.lekin aaj me un ways ki baat
karunga jahan par aap thoda sa investments karke good backlinks hasil kar
sakenge or daily kafi visitors aapki site par aana shuru ho jayenge.
What is the High Quality back-links and how it important for blogs?
High quality backlinks unhe
kahte hain jahan apni site ke link dene se aapki site par by backlinks traffic
aana shuru ho jaye.jinme se khas vo sites hain jo ki search engines par rank
par hain.aisi sites par backlinks dene se organic traffic milta hai.or kuch
sites aisi bhi hain jinke daily ke visitors kai thousand hain.vahan bhi
backlinks dene se aapki site ko good traffic milta hai.
Mene is subject par bahut se
tazarbat kiye hain.free ways use karne ke baad mene kuch paid ways bhi apnaye
or unse bhi fayda hasil kiya.start me men eek hindi site par apna ad diya tha
jisse mujhe search engines se bhi jyada traffic milta tha.uske baad vo ad hta
diya gya or vahan se aane wala traffic kam ho gya.lekin ek fayda ye bhi hua ki
tab tak site kai logon ke beech pahunch bna chuki thi.or unme se kai log daily
ke visitors bhi ban chuke the.
Backlinks hmare blogs and sites
ke liye bahut hi jyada faydemand sabit hote hain.shuru me hi agr aap apni site
ke liye backlinks bna lete hain to aapko aage tak iske benefits milte rahte hain.backlinks
bnane ke jo tarike me pichli post me bta chukka hun unke alawa dusre aaj bta
rha hun.
Promote your site to other high traffic blogs
Internet par aisi bahut sari
websites or blogs hain jinke daily ke visitors kai thousand hain.jinme Hindi me
bhi kai sites hain.aisi sites ko log rojana visit karte hain.iski vajah hai ki
ya to unka content best hai.or ya fir unki marketing.or ya unka daily updates
karna.ye teen hi tarike hain jinse daily ke kai visitors aapki site par aate
rahte hain.
Aisi sites ki taraf se links ad
ya banner ad ke offers bhi hote hain.jahan par koi bhi monthly basis par apne
ad lagwa sakte hain.ad lagwane se bhi aapki site ko High quality backlinks
milte hain,or iske sath hi us site ke visitors ki nazar bhi un ads par padti
hai ,jise vo visit karte hain.is tarah bhi aap apni site ke ads lagwakar
traffic ko increase kar sakte hain.jab aapki site par good traffic ho jaye to
vo ads hatwa bhi sakte hain.mene ye bhi karke dekha hai.isse meri site par aane
wala traffic dabble hua hai.
Iski vajah ye hai ki yahan daily
kafi log aate hain,or vo is site ke sath sath yahan par lge hue ads bhi dekhte
hain.or unhe visit karte hain.agr hmari sites ka content achha hua to vo aane
wale visitors hmare banker rah jate hain.or agr hmare content me hi jaan nhi
hai ,to vo log dubara nhi aate.
Aaj me aapko ek aisi hi site ke
bare me bta rha hun jo ki Hindi me hi hai.or ek online news site hai.is site
par aane wala daily ka traffic 10,000+ hai.or yahan par apne blog or site ke
ads lgana bhi bahut sasta hai.agr aap yahan par apni site ke banner lagwate
hain to iska monthly charge sirf 1500 rupay hai.or agr aap sirf apni site ka
link lagwana chahte hain to iska charge sirf 500 rupay monthly hai.
Aap ek month ad lagwakar dekh
sakte hain agr aapko isse fayda na ho to dusre month aap un ads ko hatwa sakte
hain.par jahan tak mujhe pta hai ki aapko 100% fayda hoga.kyu ki mene bhi apni
dono sites ke ads yahan par already lagwaye hue hain.or ye ads lagwane ke baad
meri sites par aane wala traffic kafi badha hai.
Aap bhi jaante hain ki news
sites ko vaise bhi log jyada visit karte hain.aise me agr unhe hamari sites ke
ads show honge to lazimi vo unhe visit karenge.aap chahe to us site ko visit
karke mere ads bhi dekh sakte hain.agr itni kam rate me hmari site par aane
wale visitors increase hote hain ,to hme iska kitna benefits milta hai .
News sites ki ek khas baat ye
bhi hai ki ye daily kai kai baar updates hoti hain.or social media par inke
campaign chalet rahte hain.or inka promotion hota hi rahta hai.jisse inki sites
par aane wale visitors kbhi bhi nhi rukte.yahan tak ki night me bhi log in
sites ko visit karte rahte hain.
Ye to mene aapko blog and
websites ke traffic increase karne ke bare me btaya.ab aapko btata hunk i inke
alawa or kaun kaun se ways hain ,jahan par daily traffic bhi jarurat padti
rahti hai.vahan jitna jyada traffic aaye utni hi jyada unki earnings hoti hai.
How to get more views and subscribers on YouTube Channels
Agr aapka apna YouTube par koi
channel bnaya hua hai ,to aapko 2 hi baton ki sabse jyada fikr rahti hogi ,ek
more views and dusra more subscribers.agr aap apne YouTube channel ke liye ads
lagwate hain to aapko ye dono chizen mil jayengi.kisi high traffic sites par
apne channel ke ads lagwane se bhi aapke channels ke visitors increase hote
hain,or agr aapke channel ka subject better hai,jise log like karte ho to aapke
subscribers bhi increase honge.jis Hindi news site ka me zikr kar rha hun vahan
par aap apne YouTube channel ka ad lagwakar dekh len ,agr aapke views and
subscribers one month me hi increase na ho jaye to dekhna.
Is site se aapko fayda tabhi mil
skega jab aapka channel Hindi ya Urdu language me ho.kyu ki Hindi news ko
padhne wale jyadatar log Hindi Urdu language hi jaante hain.aise me aap inhi
language me works kar rhe hain to aapko india se kafi jyada log follow karenge.
How to promote your MLM business create your network
Aajkal mlm business kafi jyada
charcha me hai.agr aap mlm ka apna ek network bnana chahte hain apne sath logon
ko jodna chahte hain ,or apni mlm site unko join karwana chahte hain to aapke
liye bhi banner ads ek best vikalp hai.
Aap apne mlm business ke ads
lagwa sakte hain.isse apne aap log aapke sath judte hi chale jayenge.ye un
logon ke liye kafi faydemand hai jo log Chamcash ya 10ka dam jaise apps me apna
networks bnana chahte hain.
Or un brothers se bhi me kahunga
jo rojana meri sites par aakar apne mlm business ko promote karke spam karte
rahte hain.aap log yahan spam karne ke bajay aisi sites par apne ads lagwao
,aapko jagah jagah jakar comments karke apne business ko promote bhi nhi karna
padega.or log bhi aapke jariye kiye jane wale spam comments se kuch aaram pa
skenge.
How to promote your online
business
Agr aap online koi business
karte hain,ya fir affiliate marketing karte hain,to bhi aap apne ads in sites
par lagwakar apne business ko increase kar sakte hain.isse log aapke business
ke bare me janenge.or aapki business sites ko visit krenge.or aapke product and
services ko bhi buy krenge.yani aap itne saste me bhi apne business ka ad
lagwakar uska promotion kar sakte hain.
Ye news site hai Hindi News Club
Hindi news club ek new news site
hai.jiska daily ka traffic 10,000+ hai.or yahan par aapko sabse sasta ads space
milega.iski vajah bhi yahi hai ki ye new site hai.baad me iski rates badhai bhi
ja sakti hain.isliye aap abhi se apne promotions ads de sakte hain.or yahan par
apne liye articles bhi likhwa sakte hain. articles apne aap me ek bahut hi bda
promotion hai.log articles ko padhte hain ,agr articles me dam hai to log aapke
sath judne me zra bhi der nhi karte.
Or banner ads jo ki poore month
lge rahte hain.aap khud andaza lga sakte hain ki das hazar daily ke visitors me
se agr do hazar bhi daily aapki site ko visit karte hain to aapko kitna fayda
milta hai.or agr monthly average lgaya jaye to kitna jyada fayda hota hai.
Ye bhi apni sites and blogs and
YouTube channels ke liye backlinks bnane ke tarike hain.isse aap shortcut me
kafi jyada aage badh jate hain.or ek baar popular ho gye to log apne aap hi
aapke sath connect ho jate hain.or aapki sites ko daily visit karne lagte hain.
I hope ki aapko ye tarika bhi
pasand aaya hoga.ye khas un logon ke liye hai jo mujhse aksar shortcut tarike
puchte rahte hain ki sir hme koi aisa tarika bta den ki bas ek hi baar me hmari
sites ke visitors increase ho jayen.
Agr aap is subject se reated
kuch bhi question puchna chahen to comments kar sakte hain.or agr aapko meri
koshishen pasand aa rhi hain to mere sath social media par judna na bhulen.is
post ko apne friends ke sath jarur share kren.
Aamir ali
Info Tech Hindi
कोई टिप्पणी नहीं
Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.
Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.