Online Business Idea Videos Selling Se Paise Kaise Kmaye ?

Online Business Idea Videos Selling Se Paise Kaise Kmaye ?
Dear readers, Aaj me ek new business research ke sath post kar rha hun.ye ek new business idea hai jis par koi bhi online work kar sakta hai.ye aisa business hai jisse aap ghar baithe bhi rupay kma sakte hain.ye business hai Videos Selling Business.

Online Business Idea Videos Selling
Online Business Idea Videos Selling Se Paise Kaise Kmaye ?

Aaj ki is post me me aapko videos selling business ke bare me complete information dene ki koshish karunga.kya aap jaante hain ki aap internet par apne videos ko bhi sell kar sakte hain or uske badle me aap achhi earnings kar sakte hain.



Bahut sare log YouTube and Daily Motion par apne videos upload karte hain lekin unke videos rank nhi kar pate or vo long time tak isse earning nhi kar pate.inke alawa bhi ek or business hai jise videos selling business kahte hain.jahan aapko apne videos ke hatho hath rupay mil jate hain.

Videos Selling Business Kya Hai or Isse Kaise Earnings Hoti Hai ?

Kai aisi companies and websites hain or YouTube Channels hain jo ki logon se unke khud ke bnaye hue videos ko khareedte hain.taki in videos ko vo apni site par or apne Channels par upload karke unse rupay kma sken.aap bhi apne khud ke bnaye hue har tarah ke videos ko yahan sell kar sakte hain.iske badle me aapko ye sites or channels rupay pay karte hain.

Ye sites or channels sirf unhi videos ko buy karti hain jo ki YouTube ya Daily Motion ya Facebook par pahle se na ho.kyu ki inhe sirf new videos hi chahiye jo ki kisi bhi sites par na ho.taki ye un videos ko apni sites par or apne YouTube Channels par upload kar sken.



Jab ye apni sites or channels par new videos ko upload karte hain to inhe in videos se earning hoti hai.jo videos pahle se kisi or sites par hon unhe log dekhna pasand nhi karte.jaise ki koi content kisi site par log pahle se padh chuke hon use dubara aapki site par padhna pasand nhi karte.theek vaise hi videos ko views tabhi milte hain jab video new ho or full HD quality me ho.or video me koi logic bhi ho.

Kaun Se Videos Ko Online Sell Kiya Ja Sakta Hain ?

Agar aap teacher hain ya online trainer hain to aap apne education videos ko record karke sell kar sakte hain.isi tarah aap agar khana achha bnana jaante hain to aap apne khana bnane ke videos ko record kar sell kar sakte hain.



Isi tarah Funny Videos, Kids Videos ,Cooking Videos, Educational Videos, Course Tutorials Trainings Videos ,Motivational Videos, Sports Videos, Health Education Videos, Songs Videos , Short Films, Animals Videos, Dance Videos, Stunt Videos, Quotes Videos  yani kisi bhi topics se related videos jise aapne khud record kiya hai jo ki kisi bhi sites par nhi hain unhe aap sell kar sakte hain.


Videos agar Hindi Urdu language me hain to aapko unki rates kam milti hai or agar videos ki language English hai to aapko uski rate jyada milti hai.baki sab video ki quality and logic par depend karta hai ki unki kya rates milti hain.

Videos Kaise Record Kren Ya Videos Kahan Se Laye ?

Videos ko sell karne tak ke bare me aapko ideas ho gye honge.ab videos record karne ke bare me btata hun. Videos ko aap Smartphone ya camera ya fir apne computer par records kar sakte hain. Videos ko record karna koi mushkil work nhi hain.jo log tutorials vgaira bnate hain vo sbhi computer par hi record karte hain.



Or aajkal Smartphone sabhi ke pass hain unse bhi best quality videos record kiye ja sakte hain.aapke pass kai option hain aap apne videos ko bhi record kar sakte hain or dusron ke videos ko bhi record kar sakte hain.or screen recorders se computer par bhi record kar sakte hain. 

Laptop Camera ya Tablet Camera se bhi record kar sakte hain.
TV programs ko bhi apne computer par record kar sakte hain.or Editing karke bhi videos bna sakte hain.jaise aapne ek video bnaya Kadar Khan best amazing movements usme aapne kadar khan ki alag alag movies ke clips ko ek sath jodkar ek naya video edit karke bna diya ,ab ye video is tarah kisi bhi site par nhi hoga.ise bhi aap sell kar sakte hain.

Isi tarah aap bahut sare videos ko is tarah editing karke bhi crate kar sakte hain.jinko aap sell karenge vo use online check karenge to unhe vo video milega lekin is tarah nhi milega.jisme alag alag clips ko ek sath jodkar ek video bna diya gya ho.
Buy karne walo ki sirf yahi shart hoti hai ki video kisi or site par na ho ,to aap editing karke jin videos ko bhi create krenge vo us tarah kisi bhi site par nhi honge.or easily aap unhe sell kar sakte hain.par ye tabhi hoga jab aapko proper video editing karna aata ho.

Apne videos ko records kren to bhi best hai varna aap dusron ke videos ko bhi editing karke sell to kar hi sakte hain.

Videos Selling Business Se Jyada Earnings Kaise Kren ?

Videos selling se jyada earning tabhi ho sakti hai jab aapko videos editing work karna aata hoga.jyada rates aapko English language ke videos ki hi milti hain.or agar aapke videos USA UK Canada vgaira ke hain to aapko or bhi best rate milegi.



In countries ke bahut sare videos YouTube par hain aap unhe download karke editing kar sakte hain.or unhe sell kar sakte hain.jaise mene ek video sell kiya tha jiska name tha Donald Trump Funny movements. Mene Donald trump ke funny videos ko YouTube se download kiya or un sbhi ko jodkar editing karke ek video bna liya.or uska music change kar diya.



Jab mene use ek channel ko sell ke liye send kiya to unhone check kiya to vo video YouTube par mila to sahi lekin alag alag part me mila.or mene jo send kiya tha vo ek sath ek hi video me tha.isliye use unhone buy kar liya.

Ye work mene sirf is post ke research ke liye hi kiya tha.me ise practical karna chahta tha or dekhna chahta tha ki me jis topic par post karne ja rha hun us topic me kitni reality hai.mera experience achha rha.or mene India me rahte hue bhi Donald trump ke video ko USA me sell kar diya.

Friends log mujhse aksar ye sawal karte hain ki aap itne business ke bare me posts karte hain aap inme se kaun kaun se business khud karte hain.yahan me aapko btana chahunga ki me inme se sirf AdSense and Affiliate Marketing or Service provide business hi karta hun.

Ye posts me apne Business management or research ke acceding hi likhta hun.mere pass itna time hi nhi hai ki me in business ko khud krun.but me jo bhi guide line aapko de rha hun ye mera apna research hai.all posts me apne mind se hi likhta hun.jisme sirf experience shamil hota hai.inme se kai business aise hain jinhe mene ek baar karke dekha jarur hai.lekin sbhi ko karke nhi dekha.

Videos selling bhi unhi me se ek hai jinhe mene ek baar kiya hai. or iska positive result bhi mila hai.ise shayad aap meri kismet bhi kah sakte hain. 

Videos Kahan Sell Kren or Kaise Earnings Kren ?

Internet par vaise to bahut si sites hain jo videos ko buy karti hain.lekin me aapko un sites ke bare me recommend nhi karunga kyu ki mene un sites ko videos sell nhi kiye hain isliye yahan mera apna koi experience nhi hai.

Lekin YouTube par aise bahut se channels hain jo ki new videos ko buy karte hain or uske liye pay karte hain.kyu ki me all topics ki baat kar rha hun isliye aap videos bnane ke baad us video topic se related channels se contact kar sakte hain.or unhe vo video sell kar sakte hain.

YouTube ke alawa Daily Motion par bhi channels hain jo ki videos ko buy karna pasand karte hain.vahan bhi aap topic se related channels ko apne videos sell kar sakte hain.



Start me mene aisa hi kiya tha mene USA ke ek YouTube Channel ko video sell kiya tha.iske liye mene apne video topic ke according search kiya or comment ke jariye unse contact kiya.fir email karke video send kiya. Payment unhone video receive karne or dekhne ke baad send ki thi.

YouTube par aap unhi videos ko sell kar sakte hain jo pahle se YouTube par nhi hain.iske alawa aap editing wale videos ko bhi sell kar sakte hain.all channels ko aise videos ki hmesha jarurat rahti hai vo new ho or quality video ho jiske viral hone ke chance jyada hon ye log unhe buy karke apne channel par upload kar dete hain.or unse rupay kmate hain.

Khair aapko videos selling me kisi tarah ki koi problems aaye to aap mujhe email kar sakte hain.me aapko aapke videos ko sell karwane me aapki help kar dunga.me khud aaj bhi agar videos selling business karna chahun to isme mere liye koi problems nhi hain. easily kar sakta hun. Or apne videos ko sell kar sakta hun.

Lekin time ki kami ke chalte me ye nhi kar sakta.haan agar aap me se koi videos selling business karna chahen to aapki help kar sakta hun. videos buyers sites ke bare me me aapko tabhi btaunga jab mera apna koi experience shamil hoga,kyu ki ho sakta hai ki me aapko koi site btaun or baad me aapko payments vgaira ka koi issue aa jaye or problems paida hon.isliye me koi site recommend  nhi kar sakta.



YouTube and Daily Motion dono hi trust sites hain.yahan aapko 100% payments mil jati hain.or yahan world ke sabse jyada channels bhi hain.to aap videos ko easy Sell kar sakte hain.kaam karne se kaam karna aa jata hai.jab tak aap kisi kaam ko karenge nhi vo aapse nhi ho skega.jis tarah me kisi bhi work ko karne me himmat kar leta hun.vaise hi aap bhi risk liya kren.kuch nhi hoga jyada se jyada aapka ek video free me chala jayega.isse jyada or kya ho sakta hai.

Videos Selling Business Se Kitni Earnings Ki Ja Sakti Hai ?

Videos selling business kyu ki new business hai.or is business me competition kafi kam hai.isliye scope bhi jyada hai.ye aap par depend karta hai ki aap kis tarah ke videos bnaate hain or unki quality or logic kya hai.

But aapko per video 1$ se lekar 50$ tak mil sakte hain.agar aap month me 30 videos bhi sell karte hain to aap andaza lga sakte hain ki aapki earnings kitni ho sakti hai.mujhe first time me ek hi video ke liye 20$ mile the.mere khayal se vo video kyu ki USA se related tha isliye uski itni rate mil gyi.



Or dusri vajah ye bhi hai ki Donald trump is time USA me hot topic hai isliye bhi uski ye rate mil gyi.but India me agar aap koi video sell karte hain to aapko kafi kam rate milegi.or agar video ki language bhi Hindi hai to usse bhi kam.



Haan agar aap koi females hain or apne khud ke videos record karti hain to aapko Hindi me bhi uski best rates mil sakti hain.but video me logic jarur hona chahiye. Female’s ke videos jaldi viral ho jate hain isliye inki sell bhi achhi hai.or channels khud inke ek do videos dekhne ke baad inke har ek video ko buy kar lete hain.

Jaise ki kisi female ne education ya fashion ya cooking, songs ya kisi bhi tarah ka apna khud ka video record kiya or us ek video ko hi sell kar diya or agar vo video viral ho gya to inko us channels ki taraf se permanent orders milte rahte hain.

Yani inke har ek video ko channels hatho hath buy kar lete hain.ek baar koi hit ho jata hai to market me uski demand kafi badh jati hai. ek female jinhone apna ek female sex education ka video record kiya or use sell kar diya.vo video kafi viral hua or aaj unke har ek video ko channel buy kar lete hain.

Isi tarah aap bhi himmat karenge or ek baar apni pahchan bna lenge to aapke har ek videos ko buy karne walon ki line lag jayegi.or aapko rates bhi jyada milenge.
I hope ki aapko videos selling business ke bare me kafi kuch idea ho gya hoga.aap be fikr hokar videos create kren aapko buy karne wale bhi mil hi jayenge. YouTube par is work ka kafi jyada scope hai.yahan log new videos ko buy karna pasand karte hain.or buy kar bhi rhe hain.

Iske baad bhi aapko agar koi confusion ho to aap mujhe email kar sakte hain.jitna ho skega me aapki help karne ki koshish karunga.ye ek new Business idea hai agar aap nhi karenge to ise karne wale bahut hain.kyu ki isme kafi scope hai or competition kam hai.isliye ye business bhi future business hai.

Aage chalkar isme bhi kafi competition ho sakti hai.kisi ke mind me ye sawal aayega ki kyu na ham apna hi YouTube Channel crate karke usme videos upload kar den.tab bhi hmari earnings to hogi hi.iska answer ye hai ki YouTube se Earnings sirf videos ko upload karne hi se nhi hoti.

Balki YouTube par videos upload karne ke baad usme keywords research and seo ka bhi aham role hota hai.fir YouTube se earning karne me time lagta hai jabki videos selling me aapko usi time payment mil jata hai.ab aapko faisla karna hai ki aap khud YouTube channel bnakar earning karna chahte hain ya fir videos selling business karna chahte hain.



Isliye Long time earnings ke liye YouTube best option hai.or jaldi earnings ke liye videos selling best hai.kyu ki jo channels videos ko buy karte hain vo hit channels hote hain jinke pass kafi jyada subscribers hote hain jo unki har video ko dekhte hain.jabki new channel me ek bhi subscriber nhi hota ,video ko viral hone me time lagta hai.or fir channel ko hit hone me or bhi time lag jata hai.



I Hope ki ye post aapke liye useful sabit hogi.is post ko apne friends ke sath social media par share karna na bhulen.agar aapke pass koi or bhi online business ideas hain to comments karke jarur batayen.

Mere sath Social Media par judne ke liye


Aamir Ali

Info Tech Hindi  

कोई टिप्पणी नहीं

Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.

Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.