Successful Kamiyab Blogger Kaise Bne Top 6 Blogging Tips

Successful Kamiyab Blogger Kaise Bne Top 6 Blogging Tips 
How to become a Successful Blogger Top 6 Blogging Tips for 
सफल ब्लोगर कैसे बनें टॉप 6 ब्लोगिंग टिप्स 

Dear readers, aaj ki post new be Bloggers ke liye hai jo ki Blogging me success hone ki tamanna rakhte hain.or isi me aage badhna chahte hain.aaj ki post mere 8 years blogging carrier ka nichod hai.ise me apne good and bad experience or tazarbe se likh rha hun.mujhe bhi blogging me kamiyab hone ke liye kafi jyada sanghash karna pda tha.or bahut jyada mehnat bhi karni pdi thi.


Aaj me is stage par hun ki mere all blogs daily good earnings karte hain.iske sath hi mujhe YouTube par bhi kafi best response mile.or mene blogging ke sath sath YouTube se bhi achhi earnings ki hai.abhi bhi me khud ko ek success blogger nhi manta.aaj bhi mujhe kafi mehnat ki jarurat hai.
Mera blogging carrier free blog se start hua tha,or mene kai saal free blogging ki lekin usme me kuch bhi nhi kma paya.uske baad mene ise professionally bnaya.or kuch month me hi mujhe result milne lge.kai aisi aadaten hain jo ki success ke liye behad jaruri hoti hain.khair me aapko jyada bor nhi karna chahta.aainda jab me my blogging journey ke bare me likhunga us post me ye sbhi baaten details me likhunga. aaiye tips ki taraf badhte hain.

1. Updates Your Blog Daily

Blogging me success hone ka sabse bda tips yahi hai ki aap daily apne blog ko update karte rhen.yani daily posts kren.kyu ki aapki blog par jo visitors aate hain vo daily kuch naya seekhne ke liye aate hain,aise me agr unhe daily new posts yani rozana taza khurak nhi milegi to vo aapki site ko visit karna bnd kar denge.jo ki ek blog ke liye zahar hai.

Jo log apni site ko daily update nhi karte unhe Google bhi ignore kar deta hai.Google ki nazar me sabse best sites vahi hain jo ki daily update ki jati rahti hain.or yahi aapke visitors ko aapke sath jode rakhti hai.
Daily posts updates na karne ke kai nuksan hain ,jinme ek aapki site par koi visitors ek do baar se jyada return nhi aana chahenge.kyu ki unko vahi basi posts milti hain.dusra Google aapki site ki posts ko daily index karna bnd kar dega.isse aapki rank kam hogi.or aapko organic traffic nhi milega.


Tisra aap blogging ko lekar kbhi bhi series nhi ho skenge.aap bhi sust pad jayenge.fourth aapki AdSense ki earnings kam se kam hogi.aap jab bhi apni earning ko check krenge aapko mayusi hi hogi.

2. Don’t Copy of Any Bloggers Post and Style  

Ye dusra sabse bda tips hai blogging me success hone ke liye ki aap kisi bhi dusre bloggers ki na posts ko copy paste kren or na hi uski style ko copy kren.or na hi uske topics ko copy kren.
Google hmeshan un blogs ko jaldi rank deta hai jo apni site par new quality content ko publish karte hain.jin topics par pahle se internet par posts maujud hain agr aap bhi vahi karte hain ,to aap kuch bhi new nhi kar skenge.

Hmare yahan bhed chal bahut jyada hai.kai new bloggers jinhe kuch bhi pta nhi hota vo bas dekha dekhi posts karte rahte hain.jaise ki kisi ki post padhi Android tips ke bare me ,to khud bhi usi par likhne baith gye.isi tarah bahut se aise topics hain jin par pahle hi se millions posts internet par ki ja chuki hain ,aap ab un par posts karenge to aapki post ko kaun padhne aayega.
Isliye kuch naya kuch hatkar kren.me kbhi bhi kisi ek topic ko lekar posts nhi karta.balki hmeshan kuch naya posts karne ki koshish karta hun.jaise kbhi business ,kbhi blogging ,kbhi jobs,kbhi AdSense to kabhi YouTube etc.

me ek technology blogger hun to meri nazar hmeshan new updates par hi rahti hai.isse pahle ki koi or us topic ya update par post kre me karna pasand karta hun.iske alawa mere pass kai topics hain ,jinhe me badal badal kar posts karna pasand karta hun taki competitors gumrah hote rhen.


Iski bhi kai vajah hai ki is vakt kai log mujhe aise bhi follow kar rhe hain jo meri post karne ke baad usi din same topic ya subject ko lekar post kar dete hain.inme kuch naya karne ka jazba nhi hota.ye log sirf style copy karne me hi khush rahte hain.
Isliye kuch new kren kuch better kren aisa kren jo kisi ne ab tak na kiya ho.
aapki post padhne ke liye aane walon ko kuch na kuch naya milna chahiye jo usne ab tak nhi padha ho.internet par millions subjects hain aap research kren or aise subjects ko follow kren jin par pahle se bahut hi kam posts hon.taki aapko competition ka samna na karna pde.jin topics par competition jyada hota hai unme kamiyabi ke chances na ke barabar hote hain.

3. Content Marketing and Promotions

Blogs par sirf posts karne hi se kamiyabi nhi mil jati.uske liye better promotions karna bhi behad jaruri hota hai.aap beshak daily ki ek hi post likhen lekin uska sahi tarike se promotion jarur kren.
Blog posts promotion ke liye aap social media jaise Facebook ,Google Plus ,Twitter ,Linkdin ,vgaira ka use kren.or apni posts ko jyada se jyada logon tak share karne ki koshish kren.

Posts Promotions ke liye aap Social Media par aise groups and communities ko join kren jo aapke blog and posts ke topics se related ho. Kyu ki yahan aapko sirf aise log hi milenge jo ki is topic me dilchaspi rakhte hain.aap jab aise logon me apni posts ko share krenge to aapko jarur fayda hoga.yahi log aapke blog visitors bnenge.
Iske sath sath aap Facebook Google Plus par apne Fan Pages bhi create kren or groups bhi bnayen.or isme dilchspi rakhne wale logon ko invite kren.or unhe join karwayen.fir yahan aap apni posts ko share karte rhen.ye log bhi aapke blog visitors bnenge.or aapki har ek post ko visit krenge.

Har ek bloggers ko apni posts ka promotion and marketing karna behad zaruri hai.kyu ki ek kahawat hai ki jo dikhta hai vahi bikta hai.jitna aap dikhayenge utna hi jyada bech skenge.yani apni site par visitors send kar skenge.

4. Create Quality Images for Blog Posts

Blog posts ka first impression images hi hota hai.post ki image aisi ho ki banda use dekhte hi click karna pasand kre.image ka blog ki success me bahut hi big role hota hai.isliye post ki image khud create kren kisi or ki images ko na lgayen.
Ek Image Hazaar Alfaz yani Shabdon se better hoti hai.isliye iska khas khayal rkhen.me apni blog posts ki images ko khud create karta hun.or is par me half hours isi liye lgata hun ki first Impression is last impression.
Yahi vajah hai ki mere posts ki images ko dekh kar bhi kafi sare visitors aa jate hain.ab ise create karne ka tarika bhi agr me share kar deta hun to log style copy karne me lag pdenge.me nhi chahta ki aap kisi or ki copy kren ,me chahta hunk i aap apni khud ki ek style bnayen.

Mujhse kai baar ye sawal kiya jata hai ki aap apne posts ke liye images kaise create karte hain.me unh eek hi jawab deta hun ki aap khud apne dimag se kren vo aapke liye jyada better rhega.kisi or ko copy karna chhod den.

5. Don’t Copy of Some One Styles and Topics

Sirf kisi or ki posts ko copy karna hi copy nhi hota balki kisi post ko padhkar usi topic par khud bhi post kar dena bhi copy hi hai.kisi or ke style ko follow karna yani uske likhne ke andaz ko copy karna bhi copy hi hai.

Jaisa ki mene upar btaya ki Google new content ko jyada focus karta hai.aap kuch aisa post kren jo ab tak kisi ne na kiya ho.mene aksar logon ko dekha hai ki vo dekhte hain ki kisi blogger ki earnings achhi ho rhi hai to ye samajhte hain ki shayad iski posts ke topics ki vajah se hi ho rhi hai.agr ham bhi isi topics par posts karna start kar denge to hmari bhi earnings achhi hogi.
Lekin ye unki galatfahmi hoti hai.Rizk ka malik Allah hai.koi agr achhi earnings karta hai to vo sirf topics se nhi karta.balki proper planning’s ke sath work karna padta hai.daily updates and promotions ka bhi isme ahm role hota hai.
Copy karne wale uske topics ko copy kar sakte hain lekin uski mehnat ko copy nhi kar sakte.iske proper work ko copy nhi kar sakte.isliye kuch new kren or apni ek alg pahchan bnayen.kisi or ke jaisa na kren.balki kuch aisa kren ki log bhi sochne ko majboor ho jayen ki har baar iski posts alg hi hoti hain.or har baar ye kuch naya posts karte hain.

Agr aapko blogging me jaldi success hona hai to aap kisi aise topic par blogging kren jis par aapki pakad mazboot ho.ya fir aise topics par work Karen jis par competition kam se kam ho.taki us khali jagah ko aap bhar sken.
Kuch naya kren kuch hatkar kren kuch aisa kren jaisa ab tak kisi ne na kiya ho.taki aap jald se jald apni jagah bna sken.ye na sochen ki kiski earning kis vajah se ho rhi hai me bhi vaise hi krun.
Internet par mujhe kai log itna jyada follow karte hain ki mere post karne ke baad usi din same usi cheez par post kar dete hain.lekin fir bhi mujhe pakad nhi pate.kyu ki me kab kis topics par posts kar dun iska mujhe bhi nhi pta hota.isse competitors me confusion bna rahta hai.

6 Create Quality Content

Sabse pahle me aapko ye btana chahta hun ki quality content kise kahte hain. quality content ka matlab hai ki aisi information jo ki logon ke kaam ki ho.jise padhkar ke unhe kuch na kuch hasil ho.vo jis topic par search karte hue aapki site tak pahunche hain unhe uske about kuch content bhi mile.sirf  hawai baaten hi na ho.
Me hmeshan dusron ki posts ko padhta hun ,sirf isi liye taki me unse kuch seekh skun.unhe jitna ilm hai mujhe bhi iska fayda mile.kbhi bhi koi shaksh mukammal nhi hota.or ilm kbhi bhi khatm nhi hota.


Mene 2 years tak blogging chhod di thi ,us time me Dubai me Internet Marketing ,Digital Marketing Campaign , YouTube ,Google AdSense and Ad word , Email Marketing , SEO vgaira ke courses kar rha tha.kyu ki start me blogging kai saal ki lekin kbhi bhi earning nhi kar paya.isliye pahle mene 2 years sirf education ko diye.sab kuch seekh kar mene dubara work karna start kiya.or natiza ye nikla ki mene start ke 6 month me hi earning start kar di.
Education hone ke bawajud bhi me khud ko itna bda nhi samajhta ki mujhe ab ilm ki jarurat nhi ho , Me Aaj bhi me dusron ki posts ko padhta hun unse seekhta hun.aise 100 se jyada bloggers hain jinki posts ko me padhna pasand karta hun.
Yahan me quality content ke bare me aapko bta rha tha ,kai sites aisi hoti hain jinka title kafi lubhawna hota hai lekin usme title ke about content nhi hota.isliye has a visitor use quality content nhi kaha ja sakta.

Kai posts aisi hoti hain jinka koi logic hi nhi hota.bas unme idhar udhar ki past future ki baaten hi hoti hain,iske alawa koi information nhi hoti.
Content ke maamle me me 2 bloggers ko kafi like karta hun jinme ek Mustafa Zaidi mybloggertricks Blog ke founder ,or dusre Harsh Agarwal ShotmeLoad ke founder.inhe me kafi time se follow kar rha hun.iski posts ko padhne ka apna mza hota hai.dono English Bloggers hain.

Inke content ki quality or inke posts ke logic ko dekh kar me bhi tamanna karta hun ki kash me bhi inki tarah likhna seekh skun.
Khair Aap Jo bhi posts likhen un posts me jo title hai uske according complete information den taki padhne wale dubara aapki site ko visit kren.


Posts ko jitna aap bda likhenge utna hi aapki site ke liye best hai.ek to bdi posts me aap jyada se jyada keywords use kar skenge.or dusra jab aapki post me jyada keywords honge to aapki post jaldi rank karegi.or jaldi search par aayegi. 
Quality Content likhna seekhne ke liye aap dusron ki posts ko padhen.khas kar un bloggers ki posts ko padhen jo aapke jaise hi subject par blog likhte hon.taki aap unse kuch na kuch seekh sken.or aap bhi best articles likhna seekh sken.
Dear readers , mujhe abhi bhi yahi lagta hai ki mujhe likhna nhi aata.me jo dil me aata hai vo likh deta hun. Quality content likhne ki koshish jarur karta hun.taki aap jo kuch post ke title ko padhkar aaye hain aapko wahi sab kuch posts me bhi mil ske.

 I Hope ki aapko Aaj ki ye post Successful Kamiyab Blogger Kaise Bne Top 6 Blogging Tips  jarur pasand aayegi.

Ye post Aapko kaisi lgi ,ise apne friends ke sath share karna na bhulen.
Mere sath Social Media par judne ke liye


Aamir Ali

Info Tech Hindi 

कोई टिप्पणी नहीं

Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.

Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.