Online Business Sponsored Ad Se Paise Kaise Kmayen ?

Online Business Sponsored Ad Se Paise Kaise Kmayen ?
How to make money by sponsored paid Ad’s on blog.
अपने ब्लॉग पर पेड विज्ञापन लगा कर रूपए कैसे कमायें

Online Business Sponsored Ad Se Paise Kaise Kmayen ?
Online Business Sponsored Ad Se Paise Kaise Kmayen ?

Dear Readers, Aaj ki post  me ham baat karenge Sponsored yani paid Ad’s ke bare me.bahut sare log aise hain jo websites and blogs par apne advertisements lagwana pasand karte hain.inse bhi inka bda fayda hota hai.in sites ke visitors in ads ko dekhte hain.or isse inko new customers milte hain. 

Sponsored Paid Ads Kya Hain or Isse Online Earnings Kaise Hoti Hai ?

Sponsored paid ads vo hote hain jinhe aap apni marzi se apni blog par lgate hain.in ads par clicks karne se aapko rupay nhi milte balki inhe apni sites par lgane ke liye aapko rupay diye jate hain.
Jaise ki koi Blogger service provider hai or vo website development ka work karta hai,or aapki site ka daily traffic kafi jyada hai ,to ye aapko ek contract deta hai ki aap mera service ke about ek advertisement bnakar apni site par lgayen taki aapki site ke visitors ise dekhen or mujhe orders milen.iske badle me ye aapko 2000 rupay monthly pay karta hai.to is tarah uski service ka promotion hota hai or aapko rupay milte hain.is tarah sponsored ads lgakar earnings ki ja sakti hai.

Sponsored or Paid Ad’s Kaun Lagwa Sakta Hai ?

Sponsored order dene wale client ko kahte hain.kai companies or factories ,websites ,blogs aise hain jinhe promotions ki kafi jarurat hoti hai.isliye vo is tarah high traffic wali sites par apne ad’s lagwana pasand karte hain.

Isse unhe do tarah ke fayde hote hain.ek to unka promotion hota hai ,jisse unhe customers ya visitors milte hain.or dusra agr ad dene wala koi blogger ya website owner hai to uski site ko jabardast backlinks milte hain.isse use new visitors milte hain.or uski blog ya site jaldi rank kar jati hai.
Koi bhi apne jaisi topics wali sites par apne ad’s lagwa sakte hain.vaise to aapko koi promote karega nhi kyu ki is duniya me kuch bhi free me nhi milta.har cheez ki keemat chukani padti hai.agr aap kisi ko apne liye ek post likhne ko kahenge ya apne ad’s unki site par lgane ke liye kahenge to free me koi bhi agree nhi hoga.

Isse accha ye hai ki aap use kuch na kuch rupay dekar apni blog ya site ka paid promotion karwa sakte hain.lekin apne sponsored ads aisi site par hi lagwane jiski rank achhi ho or vo site aapke blog subject ke about hi ho.isse unki site ke visitors aapki site par bhi aayenge or aapki site ko backlinks milenge.

Sponsored paid Ad’s Kaun Apni Site par Lga Sakta Hai ?

Har vo blogger ya website owner jinki sites par daily ke kafi jyada visitors aate hon ,or uski site rank best ho ,vo apni site par aise sponsored ad’s lga sakte hain.kyu ki paid ads lagwane wala aapki site ki best traffic ki vajah se hi ads lagwana pasand karega.

Sponsored Paid Advertise aap Photoshop ya coral draw me khud create kar sakte hain.jaise aap Google AdSense ke ads dekhte hain vaise hi aap bhi apne clients ke liye Banner Ad’s create karke apni site par lga sakte hain.
Uski size aap apne blog space ke hisaab se rakhen.aap chahen to banner ads jaisi chahe size ke lga sakte hain.is ad ke sath aap chahen to uski webstite ka link bhi de sakte hain.

Me aise kais are bloggers ko jaanta hun jinki blogs ki traffic bahut hi jyada hai.or log ek ke baad ek unki blogs par apne sponsored ads lagwana chahte hain.paid ads lagwane walo me jyadatar bloggers hi hote hain jo apni site par good traffic pane ke liye paid ads lagwate hain.or ye koi buri baat bhi nhi hai.


Paid ad’s lagane wale bloggers ne banners and links ads ki alg alg price rakhi hoti hai ,jinme links ads yani aapki site ya blog ka sirf ek link unki site par lgaya jata hai jiske liye bhi vo monthly 200 se 500 rupay le lete hain.
Jahan tak mujhe lagta hai ki agr aap kisi high traffic site par apni site ka link ad bhi lagwa dete hain tab bhi aapki site ko backlinks milenge or traffic increase hoga.

Google AdSense and Sponsored Ad’s

Yani agr kisi ke blog par Google AdSense ke ads lgaye hue hon to vo paid ads lga sakta hai ya nhi ? AdSense ki policy ke hisaab se to nhi lga sakta.kyu ki adsense policy me saaf likha hai ki aap Google AdSense ke sath koi bhi dusre Ad’s nhi lga sakte.yani aapko AdSense ya Sponsored Ad’s dono me se kisi ek ko chunna hoga.

Or zamini hakikat ye hai ki fir bhi log sponsored ads ko apni sites par lgate hain.or kai blogs par to AdSense ke sath hi unke apne sponsored paid Ad’s lgaye hue mil jayenge.
Links Ad’s me to AdSense ko koi problems nhi hai.aap apni blog ya site par jitni marzi dusri sites ke links do ye allow hai.but banner ads ki AdSense izajat nhi deta.lekin jaisa mene kaha hai ki fir bhi log lgaate hain.or unke adsense account fir bhi active hain.isse unhe koi problems nhi ho rhi.
aapki apni marzi hai ki aap AdSense ke sath sath paid ads lgana chahen to lgayen ya na lgayen , isme risk to rahega hi.but aapki earning ka ek or zariya bhi ban jayega.me is bare me aapko koi bhi raay nhi de sakta.

AdSense ki policy and jo ho rha hai uski zamini hakikat mene dono aapko bta di hai ab aapko tay karna hai ki sponsored ads ko apni site par lgayen ya na lgayen.
Jo log Google AdSense ko use nhi kar rhe vo to is maamle me aazad hain.jb chahe sponsored ads lga sakte hain.unke liye koi rok tok nhi hai.

Sponsored Advertisements Ke Fayde or Nuksan

Sponsored ads ke fayde to aapko pta chal hi gye honge ki aap jinke bhi ads apni site par lgayenge unse aapko monthly payments milega.or nuksan to nhi lekin risk unke liye hai jo AdSense ke Ad’s ko apni site par lga chuke hain.

Jis tarah log news papers me apne business key a dusre advertisements dete hain or uske liye pay karte hain theek vaise hi aaj digital daur me log websites and blogs par bhi apne ad’s lagwana pasand karte hain.


Kyu ki sbhi jaante hain ki aaj kal newspapers se jyada log online hi sab kuch padh lena pasand karte hain.isliye dhire dhire online ad’s ka bhi trend badh rha hai.log eke k ad ke liye monthly 5 se 10 hazaar bhi pay karne ke liye taiyar hain.bas unko ad’s lgane se fayda bhi hona chahiye.
News Sites owners ke liye sponsored Ad’s bahut bda business hain.ye log agr chahen to offline bhi sponsored ads ke liye orders la sakte hain or apni site par paid ads lga sakte hain.iske liye aapko kahin jane ki jarurat nhi hai aap apne hi shahar ka newspaper uthakar dekh len usme aapke shahar se kitne logon ne Advertise diye hain aap unhe call karke meetings kar len or unhe apni online news site ke about sab kuch bta den or iska daily traffic bhi unko dikha den I Hope ki ye log aapko jarur orders larenge.

Newspapers wale daily ke ad’s charges lete hain jabki online sites par jo ads lgaye jate hain aap unka monthly charge lenge to shayad ye jaldi agree ho jayenge kyu ki inka kaam kam se kam invest me ho jayega.

Is tarah koi bhi kar sakta hai.agr aapki site ki rank achhi hai or daily ke kafi visitors aate hain to aap apne hi shahar ke advertisers ke numbers par call Karen or unse milen unhe apni site dikhayen or unhe is par sponsored ads dene ke liye raazi kar len.inke permanent advertisements aapko mil jayenge.or agr inko fayda hua to ye log aapko poore year ke liye bhi ad de denge.
Is tarah aap sponsored paid ad’s ko apni hi blog and websites par lga kar monthly good and best earnings kar sakte hain.

Sponsored Advertisements Orders Kaise Hasil Kren ?

Sponsored paid ad’s dene wale advertisers se contract kaise len.iske do tarike hain.pahla to ye ki aap apni website par ek page create kar le jiska name rakhen Contact for Advertisements is page me aap complete details me likh den ki is size ke ads ki ye rate hai or aapki site ka daily traffic itna itna hai.

Isi se related ek or tarika ye bhi hai ki aap apni blog and site par apna hi ek banner Ad bnakar lga den jisme aap likh den ki is site par ad dene ke liye call kren ya email kren.
Dusra tarika jaisa mene aapko upar btaya ki aap apne hi shahar me newspapers me aane wale daily ke ads ko check kren or un advertisers se contact kren.iske liye aapka aapki site ka visiting card hona chahiye.taki aap ise bilkul ek business ki tarah kar sken.
Orders milen ya na mile aap har jagah apni Website ya Blog ka visiting Card jarur chhodkar aayen isse bhi aapki site ko log visit karenge or aapki sit aka traffic increase hoga.or dusra fayda ye hoga ki ho sakta hai ki ye log aapko future me kbhi apna Ad’s dena chahen to aapka visiting card inke pass hoga to ye aapse easily contact kar lenge.
Ye dono tarike kafi powerful hain.me khud har time apni site ke visiting card ko apne pass rakhta hun.or jab bhi jahan bhi mauka milta hai apna visiting card logon ko de deta hun.

Us visiting card me website ka name and address , YouTube channel ,Google Plus ,Twitter ,WhatsApp ,Mobile numbers vgaira ki all details hoti hain.ab jab bhi kisi ko ye cards deta hun to vo kahin na kahin mujhe join kar hi leta hai.

Aap bhi Apni Blog Ya Site Ka Sponsored Ad Lagwa Sakte Hain

Agr aap blogger hain ya website owners hain or kisi best site se ache backlinks bnana chahte hain or jaldi or kam se kam time me apni site ko rank karwana chahte hain or apni site ka traffic increase karna chahte hain to aap bhi apne jaise topics wali sites par apna sponsored paid ad’s lagwa sakte hain.





Iske itne sare fayde hain jo mene aapko is post me samjhane ki koshish ki hai.ham agr chahen to ek do month ke liye bhi apne ad’s dusri sites par lagwa sakte hain.isse bhi yakinan hme fayde honge.

Ye bhi thoda bahut investment karke apni blog ya website ko rank karwane or us par jyada se jyada traffic hasil karne ka ek best tarika hai.yahi YouTube channels ke liye bhi hai.unhe bhi isse fayda hoga unko jyada se jyada views milenge or unke channels par subscribers bhi increase honge.
I Hope ki aapko Sponsored Paid Advertisements ko apni site par lgakar usse online earnings karne ke about kafi kuch andaza ho gya hoga.aap bhi paid Ad’s karke rupay kmana start kar sakte hain.or paid Ad’s lagwa kar apne business ko promote bhi kar sakte hain.

Ye post Online Business Idea Sponsored Post Se Paise Kaise Kmayen ?aapko kaisi lgi ? ise apne friends ke sath share karna na bhulen.
Mere sath social media par judne ke liye


Aamir Ali

Info Tech Hindi 

कोई टिप्पणी नहीं

Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.

Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.