Computer Speed Increase Karne Ke Liye Top 10 Computer Tips

Top 10 Tips for Increase Your Computer Speed Again
Computer Speed Increase Karne Ke Liye Top 10 Tips
अपने कंप्यूटर की स्पीड बढाने के लिए टॉप १० कंप्यूटर टिप्स एंड ट्रिक्स

Computer Speed Increase Karne Ke Liye Top 10 Computer Tips
Computer Speed Increase Karne Ke Liye Top 10 Computer Tips 

Dear Readers , Aaj ki Post daily ke subjects and topic se hatkar hai magar bahut hi kaam ki hai.ham me se lagbhag sbhi computer or laptop vgaira use karte hi rahte hain aise me kai baar work karte karte computer or laptop ki speed kam ho jati hai or ham ye samajh bhi nhi pate ki ye speed kyu kam hui hai.

Aaj ki post me me aapko top 10 aise computer tips dunga jo ki shortcut hain lekin bde hi kaam ke hain.in tips ki help se aap apne computer and laptop ki khoi hui speed ko dubara se increase kar sakte hain.
Computer ki speed slow hone ki koi bhi ek vajah nhi hoti balki kai aisi vajah hain jinse work karte karte or antivirus hone ke bawjud bhi computer speed slow ho jati hai. computer ek system hai jise updates kiya jana behad zaruri hota hai.me khud jab bhi kaam nhi kar rha hota us time computer ko update par lga deta hun.or updates hone ke baad computer refresh ho jata hai.or kaam me kafi sahulat mil jati hai.
Aaiye computer speed ke liye tips and tricks ko dekh lete hain.inke sath hi mene inka tarika bhi btaya hai.aap in settings ki help se apne computer ko updates kar sakte hain.

Empty Recycle Bin

1. Sabse Pehla Aapne Recycle Bin ko Check kare.Recycle Bin Bhara Hua Ho to Use Empty Kar do. Kyu ki Bhara hua Recycle Bin Computer ki Speed kam kar daita hai.daily Recycle Bin ko empty yani khali karte rhen.

Install Only One Antivirus

2. Friends maine kai bar apne doston ko daikha hai ke wo Virus se Bachane ke liye 1 nahi to 2-3 Anti-Virus Aapne computer me install kar lete hain.Jis Se Unki Computer Speed Slow ho jati hai.Wo Samzate hai ki Virus ke vajah se Computer Slow ho Gaya hai lekin aisa nahi hota.Asal main aap jitne ziyada software apne computer main install karte hain utna hi aapke computer par zyada load parta hai.



 Ek hi antivirus se kaam chal jata hai.Lekin jab aap 2,3 Antivirus install kar lete hain to aap ke computer ki speed utni kam ho jati hai.Aap samjte hain ke computer main virus hai.jitna ho ske apne computer me ek hi antivirus use kren or koshish ye kren ki vo free version na ho balki full version ho.

Uninstall unwanted Software’s

3. Apne computer main aise softwares na rakhe jo aap ke kisi kam ke nahi hai.Kyu ke bina kam ke aap apne computer me software rakhte hain toh us ka koi faida toh nahi ho ga apko lekin use ap ke coputer ki speed zaroor kam ho jay gi.Is liye apne computer se bina matlab ke softwares uninstall kar dain. Agar aapko nahi pata ke Uninstall kaise karte hain to hap is step ko follow kar sakte hain.
Ø  Software Uninstall karne ke liye > Control panel >Add and Remove programs
Koshish ye kren ki apne system me kam se kam software’s hi rkhen.aapke computer ka C Drive jitna khali hoga us par load bhi utna hi kam padega.

Visual Effect

4. Computer ki Speed Badhane ke liye Computer ya Laptop se Visual Effects kam se kam rakho
Visual Effect kam kaise kare ?
Ø  My Computer Right Click >Properties >Advanced system Setting >Open New box>in
Select Advanced>performance setting >Select Adjust for Best Performance>Apply

Computer Ram

5. Friends apne Computer RAM ke Bare me  Suna hi hoga. Computer ki Speed Badhane me Ram sab se  Important  part hoti hai agar Aap ke Computer Me RAM kam hai to Aap Ram ki Size Badhakar Computer ke Speed ko Increase kar sakte hain.
Jaruratan aap new ram bhi khareed kar lga sakte hain.pahle jyadatar 512MB ya 1GB Ram aati thi ,aaj kal aapko market me 2 se 3GB tak ki ram bhi mil jayegi.aap chahen to apne computer ki ram ko change kar sakte hain.isse bhi computer speed me kafi fark padega.

Defragment Computer Drive

6. Defragment ka Istimal kar ke Aapne Hard-disk ko Proper Banaye. yane Aapke HDD me  Yaha-vaha Padi Sare Files ko rakh ne ka kam De -fragment karta hai. Uske liye MY Computer me DRIVE _ Select karo .
§ Properties >Tool > De-fragment Now
par Click kar de.is me aapko 10 se 15 min lag Sakte hain is liye wait kare.

Important shortcut keys in computer

Functions of keyboard keys F1 to F12

Apne System ko Hafte me ek ya do baar Defragment jarur kar lena chahiye isse aapka computer refresh ho jata hai.or isse gair zaruri data delete ho jata hai.

Delete Temporary Files

7. Aapne Computer Se Sare Temporary files Delete kar dain. Uske liye
Ø  Start =Run > Type =Temp > Delete All File
Daily apne computer ki temporary files ko delete karte rhen.jab ham internet use karte hain to system me kai saari temporary files jmaa ho jati hain.jo nazar nhi aati lekin ye computer me jagah le leti hain.or inse computer ki speed kam ho jati hai.

Delete Internet Browser History.

8. Aagar Tum Internet User Ho hamesha Internet Se Jude Rehte ho to internet Browser se Internet History ko Delete kar te Rahe.
Internet Browsers vo software’s hain jinhe ham daily kai kai ghante use karte hain or net surfing karte rahte hain.lekin isme unwanted histories jma ho jati hai jiski taraf hmara dhayan nhi jata ,or ye computer ki speed ko kam kar deta hai.
Isliye koshish Karen ki daily computer off karne se pahle browser history delete kar diya kren.

Unwanted Email

9. Unwanted Email Open math kariye use Bhi Virus Attack ho sakta hai  jo aapki window explorer file ko Delete ya PC crash kar sakta hai .
Daily sabhi logon ko kai kai spam emails aate hi rahte hain.in emails me kai kai virus bhi bheje jate hain or ham har spam email ko khol kar dekh lete hain or inme di hui attachments ko download kar lete hain is tarah virus hmare computer me aa jate hain.
Koshish ye kren ki anzan ya fake spam emails ko open na kiya kren or unme jo attachments hote hain unhe to kbhi bhi download na kiya kren.

Free Antivirus and Tools

10. Free ke Anti-Virus Aur Computer Speed badhane wale Software install na kare.Kyu ke isse aap ke computer ki speed badhe gi nahi bakle kam ho jay gi.
Log internet se tarah tarah ke speed tools ko download kar lete hain or sochte hain ki unse computer ki speed increase ho jayegi lekin aisa hota nhi hai.ek baat hmeshan yaad rakhen ki job hi free me apne software available karwa rhe hain unka kuch na kuch hidden maksad to hota hi hai jo hme nazar nhi aata.


Software download or install karne ke baad hi pta chalta hai ki iske pichhe kya game chupi hui hai.koshish ye kren ki apne computer me hmeshan paid and full version Antivirus hi use kren usme aapke computer ko 100% security milti hai.jo ki koi bhi free antivirus nhi de sakte.

Apne Mobile Number Bhool Gye Kaise Pta Pgayen –Mobile Tricks

Mcent Android App Se Free Recharge Kaise Kmayen ?

I hope ki ye computer tips and tricks aapke liye useful sabit honge.
Ye post Computer Speed Increase Karne Ke Liye Top 10 Tips aapko kaisi lgi ? ise apne friends ke sath share karna na bhulen.

Mere sath social media par judne ke liye


Aamir Ali
Info Tech Hindi


कोई टिप्पणी नहीं

Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.

Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.