Online Business Idea Sponsored Post Se Paise Kaise Kmayen ?

Online Business Idea Sponsored Post Se Paise Kaise Kmayen ?
How to Make money by writing sponsored paid posts on blog.
अपने ब्लॉग पर पेड पोस्ट्स लिख कर रूपए कैसे कमायें

Online Business Idea Sponsored Post Se Paise Kaise Kmayen ?
Online Business Idea Sponsored Post Se Paise Kaise Kmayen ?

Dear Readers, Aaj ki Post ka subject vaise to new hai ,lekin is subject par be shumar bloggers work karke online monthly good earnings kar rhe hain.ye subject hai Apne Blogs par sponsored yani Paid Posts Likhna or usse paise kmana.aaj me aapko is subject yani sponsored posts ke about complete information dene ki koshish karunga.
Sponsored yani Paid posts likhne ka work aaj kal har successful blogger karta hai.ye sabse aasan work hai. Or isse online paise kmana behad easy hai.lekin ye work success blogs ko hi milta hai.har kisi ko ye work orders nhi milte.

Sponsored Paid Posts Kya Hain or Isse Online Earnings Kaise Hoti Hai ?

Sabse pahle ye samajh le ki sponsored yani paid posts kya hoti hain.jaise ki koi client apne ya apni business website ke ya fir apne products ke bare me aapki blog par ek post likhwana chahta hai ,taki aapke visitors tak uska business promotion pahunche ,or inhi me se use buyers bhi milen.
Paid posts likhwane ke kai maksad ho sakte hain.jaise ki kisi ne new website start ki hai or vo ye chahta hai ki kisi successful blog ke jariye uska advertisement ho ,taki use backlinks mile or iske sath hi visitors bhi milen.to aisa new be blogger ya web owner kisi blog par kuch rupay dekar posts likhwata hai.


Use isse yahi fayda hota hai ki uski website jaldi rank kar jati hai ,yani jaise ki aapne info tech par apni blog ya website ke about ek paid post likhwai ,to isse aapki website ko info tech se backlinks milenge or jab tak aapke about likhi gyi post yahan rahegi aapki website par info tech se visitors aate rahenge.
Isi tarah kai companies apne products ya Android Apps ke bare me success blogs par paid reviews likhwana pasand karti hai taki in blogs se unhe fayda ho ,agr App hai to use jyada log download karenge ,or agr products hai to uski sell badhegi.
Is tarah ek business man paid post likhwakar apni investment ko nikaal leta hai,or jaldi success ke liye ye bhi ek tarika hai ,isme aapko pay jarur karna padta hai but ye bhi ek shortcut hai.

Sponsored or Paid Post Kaun Likhwa Sakta Hai ?

Sponsored yani paid posts likhwane ke fayde me upar bta chukka hun.ab me aapko btata hunk i kaun or kahan ye paid posts likhwa sakte hain.paid posts koi bhi likhwa sakta hai.jaise ki aapka apna YouTube Channel hai or aap chahte hain ki use jyada se jyada log Subscribe kren or aapke channel par daily ke views aayen to aap paid posts ke jariye apne channel ko promote kar sakte hain.

Isi tarah agr aap website ya blog owner hain or aap chahte hain ki aapki site ko backlinks milen or aapki site par daily kai kai visitors aayen taki aapki site kam se kam time me hi success ho ske to aap bhi paid posts likhwa sakte hain.
Agr aap koi Services Provide karte hain or aap ye chahte hain ki aapko jyada se jyada online orders milen to aap apni services ke about paid post likhwa sakte hain ,isse aapko online orders milenge or aapne jitna investment kiya hoga usse kahin jyada aap wapas apni services se kma lenge.
Isi tarah agr aap koi membership type ka business karte hain jisme aapko jyada se jyada members bnane hain to bhi aap paid posts likhwa sakte hain.ya aap products sell karte hain ya koi bhi aisa business karte hain jise aap online promote karna chahte hain to aap paid posts ke jariye jaldi or kam se kam time me logon tak pahuncha sakte hain.

Sponsored or Paid Post Kahan Likhwa Sakte Hain ?

Har Business person apne Business ko vahin par promote karna chahta hai jahan jyada se jyada log hon.isi tarah online apne Business ,YouTube Channel ,Products and Services , or Blogs and Websites ko vahin par promote karwaya ja sakta hai jin blogs and sites par daily kafi jyada visitors aate hon.   

Internet par aisi bahut si Blogs and Websites hain jin par daily ke hzaron lakhon visitors aate hain ,agr aap vahan par apni promotion post likhwate hain to aapko bahut fayda hoga. starting me mene bhi sponsored post ka sahara liya tha.or jaisi mujhe ummid thi uske hisab se mujhe fayda bhi mila.

Write Articles and Make Money - Article likh kar paise kamaye

Online Business Idea-Professional Full Time Blogger Kaise Bnen ?

Agr aap technology ke about blog or site chelate hain ya service provide karte hain to aap apne liye sponsored posts bhi aisi hi blogs or sites par likhwayen.yani topic ke according sites ko hi choose kren.

Agr aap kisi or topic par work karte hain to aap apne topic ke according sites ko search kren or unse contact karke aap apne liye unki sites par paid posts likhwa sakte hain.mze ki baat ye hai ki koi bhi blogger aapko paid post ke liye inkaar nhi karega.kyu ki use apni hi site par post karni hai jaisa ki vo daily karta hi hai,is post ke liye jo aap karwa rhe hain aap use rupay bhi denge to vo bhala kyun inkaar karega.
Sponsored yani paid posts se na sirf post karne wale ko fayda hota hai balki post karwane wale ko bhi fayda milta hai.jaise ki aap kisi blog par paid post likhwa rhe hain to aap us site owner ko pay karenge isse uski earning hogi.


Or aapke about post karne se aapko visitors,views ,customers ,clients milenge to jitna bhi aapne us blogger ko ek post karne ke liye pay kiya hoga usse kahin jyada aap us post ki vajah se kma lenge.is tarah aapko bhi fayda hoga.
Jahan bhi aap apni blogs websites business services ke abuot paid posts karwana chahen ,apne topics ke according sites owners ko email karke contact kar sakte hain.or unse post ki rate and unki sites ke daily visitors ke bare me jaankari bhi le sakte hain.

Sponsored paid Posts Kaun Likh Sakta Hai ?

Har vo blogger and website owner paid posts apni site par likh sakta hai jiski site par daily ke 2k+ visitors aate hon.or rates apni marzi ke mutabik li ja sakti hai.kai blogs ke bloggers 2 se 3 hazar rupay ek paid post ke liye late hain.ye unka apna status hai.
Agr aapki site par daily ke jyada visitors nhi hain to aap client ko saaf saaf bta sakte hain.or agr aapki site par daily ke kafi ache visitors aate hon to aap apni site par paid post ke about banner ads vgaira bhi lga sakte hain.isse jin logon ko paid posts karwani hogi vo aapse contact kar sakte hain.

Aap chahen to ek blogger dusre blogger ko backlinks dene or lene ke liye free me bhi posts kar sakte hain.isse aap dono ko fayda hoga.aap dono ki blogs ko ek dusri blogs se backlinks milte rahenge.iske liye ek dusre bloggers ki sahmati yani razamandi hoga jaruri hai.isme jyadatar log entrusted nhi hote.
News sites par daily ke kafi visitors aate hain.news sites owners agr chahen to iska kafi fayda utha sakte hain.news ke sath sath dusre blogs and sites ke liye bhi paid posts likh kar extra rupay kma sakte hain.i hope ki aapko samajh me aa gya hoga ki kaun kaun paid posts likh sakte hain.

Sponsored Paid Post Kaise Likhi Jati Hai ?

Ab ham baat karenge ki paid posts kaise likhi jati hai.iske liye sabse best to yahi hai ki aap post likhwane wale se hi matter likhwa kar mangwa len.or uski marzi ke mutabik post likh den.aap jis bare me paid post likhna chahte hain uske bare me aapko complete information honi chahiye ,iske sath ki aapke pass writing talent hona chahiye.

Paid Post likhne ke baad likhwane wale ko check jarur karwayen uske baad hi use apni blog or website par post kren taki kuch kmi beshi ho to vo aapko pahle hi bta ske.or apni marzi ke hisab se paid post likhwa ske.Jahir hai ki vo aapko paid post ke liye pay kar rha hai to aapko uski marzi ke hisab se hi post likhni chahiye.
Paid posts likhne se pahle sari baat khul kar kar leni chahiye kahin aisa na ho ki baad me vo kahe ki mujhe to aapki site par post karwakar koi fayda nhi hua.or aapki site par itne visitors nhi aate ,ya mujhe to koi bhi business nhi mila.vgaira vgiara.

Ek khas baat yahan ye bhi note kar len ki aap jinke liye bhi paid posts likhte hain us post ko apni site se kbhi bhi delete na Karen varna post likhwane wale par iska bahut hi bad effect padega.or ho sakta hai ki uske reference se aapko or bhi kai paid posts likhne ko milti ,jo ki ab nhi milengi.isse paid posts karwane wale ka bharosa bhi tut jata hai.isliye agr aapko long time paid posts likh kar earnings karni hai to aisi galti kbhi bhi na kren.

Mene kbhi bhi paid post kisi ke liye bhi nhi likhi.lekin jab bhi likhunga to is baat ki responsibility bilkul bhi nhi leta ki unko koi fayda hoga ya nhi hoga ,unko business milega ya nhi milega.me sirf itna hi kah sakta hun ki jo kuch  bhi hai aapke saamne hai.nfa ya nuksan ki me koi guaranty nhi leta.

Sponsored Paid Posts or Mera Nazariya

Meri nazar me sponsored posts tbhi likhwani chahiye jab aapko aage chalkar rupay bhi kmane hon.agr aap sirf shauk ke liye blog or website chelate hain to aapko faltu ke invest se bachna hi chahiye.or agr aap Google AdSense ya Business and Services ko promote karna chahte hain to aapko paid posts ka sahara le lena chahiye.


Paid posts se sabse bda fayda yahi nazar aata hai ki aapki income jaldi start ho jati hai.ya aapka business and services promote hoti hai jyada se jyada logon tak pahunchti hai.isse aap apni invest ko nikaal kar apna profit kma sakte hain.

Paid posts koi loss ka sauda nhi hai.balki ye promotions ke liye shortcut and business ke liye future benefits hai.iska aapko aage chalkar kafi fayda hota hai.
Ho sakta hai ki paid post likhwane wale ko start me itna fayda na mile ,lekin jab tak vo post us site par rahegi ,aapko aage chalkar usse kafi backlinks milenge.or fayda hoga.
I Hope ki aapko Sponsored Paid Posts ke about kafi kuch andaza ho gya hoga.aap bhi paid posts karke rupay kmana start kar sakte hain.or paid posts karwa kar apne business ko promote kar sakte hain.



Ye post Online Business Idea Sponsored Post Se Paise Kaise Kmayen ?aapko kaisi lgi ? ise apne friends ke sath share karna na bhulen.
Mere sath social media par judne ke liye


Aamir Ali

Info Tech Hindi 

कोई टिप्पणी नहीं

Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.

Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.