Google AdSense Se Highest Earnings Kaise Kren Secrete Tips
Google AdSense Se Highest Earnings Kaise Kren Secrete Tips
How to Highest earn money on Google AdSense Secrete tips
गूगल एडसेंस से अधिक रूपए कैसे कमायें पढ़ें सीक्रेट टिप्स
Google AdSense Se Ghar Baithe Paise
Kaise Kmayen ?
Google AdSense Se Highest Earnings Kaise Kren Secrete Tips |
Dear Readers , aaj ki post new be bloggers ke liye kafi
useful hai.aaj me aapko Google AdSense se highest earnings karne ke secrete
tips btaunga.ye vo tarike hain jin par me khud work karta hun.
Info Tech ki daily earnings me kai baar WhatsApp par share
kar chukka hun.or kai followers jaante bhi hain ki info tech daily best
earnings karne wale blogs me se ek hai.aisi kaun si planning’s hain kaun se
aise tarike hain jinse ye possible ho sakta hai.
Jo log ye samajhte hain ki fake tarike se clicks lekar
earnings kar sakte hain to ye log galat hain.aap agr ek baar bhi fake tarike se
work karenge to fauran pakde jayenge or Google aapko ban kar dega.
Google AdSense Policies Change Ad’s Limit Hta Di Gyi Big Update
Google AdSense Se India Me Payment Kaise Receive Kren ?
Google itna jyada advance hai ki agr koi banda fake clicks
vgaira le bhi le ya kar bhi de to Google ko fauran pta chal jata hai.jab aap ek
word Google par likh kar search karte hain ya aap kuch search karte hue aa rhe
hain ,use Google ka system padh leta hai to bhala Google ko kaun bewkuf bna
sakta hai.
Kya AdSense Earnings Jyada Site Traffic Se Hoti Hai ?
Sabse pahli ye galatfahmi apne dimag se nikal de ki jyada
traffic se jyada earnings hoti hai.aisa sochna bewkufi hai.kai aisi sites hain
jinka daily traffic 20k se 40k hai or unki earnings 2 se 5$ tak hai.or mere
sath kai baar aisa hua hai ki traffic 300 se 400 aaya or earning 10 se 20$ mili
hai.
Agr ye maan liya jaye ki earning traffic ki vajah se hoti hai to aisi kai sites hain jinki traffic bahut kam hoti hai fir bhi earnings jyada hi rahti hai.isliye me is baat ko nhi manta.news sites ki daily traffic kafi jyada rahti hai or unki earnings utni nhi hoti jitna unka traffic hai.mene bhi news site chalayi hai or usme daily ka 50k traffic daily bhi liya hai lekin earnings 5 se 10$ par hi guzara karna pda.
Google AdSense code Multiple sites par Kaise Lgayen ? AdSense Tips
Google AdSense Ad’s Blogger Blog Ke All Posts Me Kaise Lgayen ?
Rha sawal blog traffic ka ,to info tech ka daily traffic 5k
se upar hi rahta hai.yahan tak ki kai baar 30k bhi daily hua hai.or raha
earnings ka to site par raat tak traffic aati hai jabki me subah hi good earnings
kar chukka hota hun.
Chahe aapka site traffic kitna bhi ho usse aapki AdSense CPC
high nhi hoti.or na hi aapki earnings increase hoti hai.aapki earnings and CPC
high hoti hai ki aap content kitna best likhte hain or kitne best high CPC
keywords ko use karte hain.
Self-Clicking and Clicks Lena Google Ke Against Hai
Is baat ko har ek AdSense users jaante hain ki public send
karke aap clicks nhi le sakte or na hi khud apne ads par clicks kar sakte
hain.ye Google ki policy ke against hai.mujh par jo aise ilzam lgate hain ye
log asl me mere working style ko nhi jaante ya fir hazam nhi kar pate.
Google AdSense 2016 High CPC Cost Per Clicks Keywords List
Google AdSense Beta Page-level Ad’s in BlogSpot Blog Par Kaise Lgayen ?
Mere friends me ek aisa banda hai jo daily ke 400 se 500$
earnings kar leta hai.or me use or uske working style ko jaanta hun.bina soche
samjhe dusron par ilzam lagane wale ab inke bare me kya kahenge yahi ki ye
Google ka apna aadmi ho sakta hai ya fir ye Google se mila hua hai.ye to sirf
ek hai ,iske alawa dusra friend jo abhi dubai me hai usne AdSense se only one
month me hi 50k$ earning ki hai.
I am writing blogs from 8 years. AdSense ki policies ko mene itna padha hai ki shayad ise itna koi follow nhi karta hoga jitna me karta hun.iski bhi kai vajah hai.me kai baar Google se thokar kha chukka hun.or kai baar galtiyan kar chukka hun.mene apni galtiyon se hmeshan seekha hai.or aage bhi seekhta rahunga.
Business Project and File Kya Hai ise Kaise Taiyar Kren ?
Mera Earnings ka Sabse pahla secrete hai Project File.mene
info tech start karne ke baad 8 din tak 15 hours daily work karke ek project
file taiyar ki thi.ye file mere info tech site ki jaan hai.or ye is site ki
earnings key hai.
Is file me aisa kya hai or kaise ise taiyar kiya tha.jab me
info tech site project taiyar kar rha tha us vkt men eek list taiyar kit hi ki
mujhe is site par kaun kaun se topics par work karna hai.uske baad uske liye aise
keywords ko search kiya jinko mene use karna tha,or in keywords me sabse high
cpc keywords and high competitions keywords
ki ek alga list taiyar ki.
Media.net Se Paise Kaise Kmayen –Yahoo Bing Ad Network
Google AdSense CPC Kaise Increase Kren –AdSense Tips and Tricks
Uske baad low and medium competitions keywords ki ek list
taiyar ki.unke sath unke Bid ko bhi likha ki un keywords par advertisers ne
kitna bid lgaya hai.in sab keywords ko lekar serial vise lists taiyar ki or
unse ek info tech project file taiyar ki.
Ab is file ko daily posts karne se pahle dekh leta hun.or
topics vise bhi lists taiyar ki hui hai.jab bhi kisi topics par posts karni ho
to us topic se related keywords ko ek nazar dekh leta hun.
Tab jakar meri posts with high cpc keywords ke complete hoti
hai.ye file meri is site ke liye itni jyada important hai ki agr ye na ho ya
kisi or ke pass chali jaye to shayad vo mujhe bhi maat de sakta hai.ise mene
computer laptop and pan card me save bhi ki or iske prints bhi nikaal kar file
ki hui hai.
Google AdSense Revenue Kaise Increase Kren Easy Smart ways
Social media Marketing Work Se Online Paise Kaise Kmayen ?
Is kaam me mujhe 8 days lag gye the mene khud apni site ke
topics se related research kiya or ise taiyar kiya.aaj ye file mere info tech
ke liye business secrete hai.ise taiyar karne me ek baat time lga lekin ye
hmeshan ke liye mere business ki jaan ho gyi.
Aap bhi apni site ke topic ke about aisi hi ek business
project file taiyar kar sakte hain.isme chahe aapko ek baar jitna bhi time lge
lekin hmeshan ke liye work easy ho jayega.
Info tech ke alawa bhi meri kai sites hain jinke bare me
kisi ko bhi pta nhi hai.unke liye bhi mene aise hi project files taiyar ki
hain.or un par bhi isi tarah work kiya jata hai.meri others sites dusre topics
par hai jinke liye mene aisi hi 8 projects files taiyar ki hai.or un par isi
file ke according work kiya jata hai.
Google AdSense Se Better Earnings Hoti Kaise Hai ?
Google AdSense content ke according’s hi advertisements show
karta hai.agr aapki post Android se related hai to mobile vgaira key a fir kisi
mobile company ke ads show honge.
Isi tarah agr aapka content domain name ke about hai to ads
bhi domain se related hi show honge.isi tarah education and make money online
vgaira hain.kai aise topics hain jinki cpc high hoti hai yani agr aap un topics
par post karenge to aapki site par aise ads hi show honge jinki cpc high hai.un
par ek bhi click hua to aapki AdSense CPC high ho gyi.ab iske baad jitney bhi
clicks aayenge aapko isi cpc ke hisab se earnings hoti hai.
Google AdSense account Kaise Create Kren Hindi Bloggers
Google AdSense Par PIN verification Kaise Kren Tips for Indian
Mera yahi tarika hai ki me aise keywords ko use karta hun
jinki cpc high hai.dusra ye ki kai keywords aise hain jinki cpc high jarur hai
lekin unka competition bhi high hi hai.log high competition keywords ko use nhi
karte lekin me inko use karke bhi risk leta hun.mera yahi manna hai ki chahe me
search me na aaun lekin agr ek bhi click is keyword ke according hua to mujhe
fayda hi hoga.
Natiza ye nikla ki high competition keywords jinko sabhi use
karne se bachte hain me un par bhi daav lga deta hun.ye jaante hue bhi ki inme
me kahin nhi aa skunga.lekin me sirf ek click ki ummid se hi risk le leta hun.
Keywords ka High CPC hona better hai lekin uski competition
hmeshan low hi honi chahiye taki search me aapko jagah mil ske.high competition
keywords par works karna darasl blogs ke liye achha nhi hota.iski vajah yahi
hai ki iska competition pahle se hi itna jyada hai to aapka number kahan
aayega.
Keywords research karte time ek baat ka khas khayal rakhna chahiye ki aap job hi keywords ko use karna chahte hain unki monthly searches jyada se jyada ho ,or unka advertisers bid jyada ho ,lekin unki competition low ho. Medium competition keywords ko use karne me bhi risk bna rahta hai.isliye low ko hi chune.
Online News Portal News Site Se Paise Kaise Kmayen ?
Teachers Online Internet Se Paise Kaise Kmayen -Make Money
Ye jo mene aapko upar btaya tha ki 300 views par bhi 10$ tak
earnings ho jati hai to vo isi se hoti hai.aapki site par 100 visitors aaye or
aapka content high cpc keywords par hai to unko high bid ads hi nazar aayenge
,ab unme koi ek bhi click karta hai tab bhi aapki site ki AdSense cpc increase
ho jayegi.info tech ki CPC 5$ tak bhi hui hai.yani ek click par 5$.aisa tbhi
hota hai jab koi banda kisi high bid keyword ko search karta hua aapki site par
aaye or click bhi kre.
Sabse aasaan tarika yahi hai ki aap apni site ke topics ke
according ek project file taiyar kar len.aapko baar baar research nhi karna
padega.or ye aapke liye life time good earnings ki secrete ho jayegi.
Hindi Websites Par Highest AdSense Earnings Kaise Kren ?
Hindi sites chalana yakinan bahut hi achha work hai.lekin
isse earnings kam hoti hai iski ek hi vajah hai ki koi bhi hindi sites wale
keywords ko use hi nhi kar pate.jabki Hinglish and English sites par aap khub
sare keywords ko use kar sakte hain.Hinglish se bhi better English sites hoti
hain.
Hinglish Sites par agr koi usa ya uk ka traffic aa bhi gya
to dubara kbhi nhi aata,balki English unki language hai.agr English sites par
yahan se traffic aata hai to dubara aane ke chance bhi bne rahte hain.meri main
income Info tech ya Masters Tech se bilkul bhi nhi hai.ye sites thoda bahut kma
leti hain.main meri dusri sites jo ki English me hain ,unki earnings jyada
rahti hain.unke about me kuch bhi share karna pasand nhi karta.kyu ki competition
jyada hai ,log copy work start karne me zra bhi time nhi lgate.un sites ke
topics bhi High CPC wale hain.isliye unki CPC daily best hi rahti hai.
Lekin Hindi Sites par India ke alawa bahar se bahut hi kam
traffic aata hai.or jo aata bhi hai to vo Indians hi hote hain jo ki Hindi
jaante hain.isliye Hindi Sites ki CPC jyada increase nhi ho pati.jab CPC hi kam
hogi to earnings kahan se badh skegi.
Blog Posts Ka Title Kaise Create Kren Blogger Tips
Dubai Jobs Ke Liye Free Online Apply Kaise Karen ?
Iska tarika mene kai Hindi bloggers ko dekh kar seekha
hai.pahle me bhi Masters tech Shudh Hindi me hi likhta tha lekin aaj kal me
Hindi ke sath sath English words ko bhi use karta hun.kyu ki mera manna hai ki
thodi bahut English to har koi jaanta hai.to kisi ko problems nhi hogi or apna
kaam bhi ho jayega.yani ham bhi Hindi Blog hote hue bhi thode bahut keywords to
use kar hi sakte hain.
Aapne Hindi post me kya kya likha hai use abhi Google ka
system theek se Jaldi samajh nhi pata lekin aapne usme jitney English words ko
use kiya hai use Google read kar leta hai jisse use content ke topic ka andaza
ho jata hai ,vo usi ke according hi Ads show karta hai.
Or Jin posts ke content ko Google Bot read karke bhi samajh
nhi pate ki content kis topic ke about hai to fir vo vahan par low cpc ads hi
show karte hain.ye mera personnel experience hai ki aisa kai baar hua hai.jab
mene Hindi me post likh kar bhi English keywords ko use kiya or post ki ,to
mene khud dekha hai ki content ke about hi ads show hote hain.
Isliye finally ye samjhana chahunga ki chahe posts aap Hindi me kro lekin ya to usme beech beech me English words ko use kro or ya fir post ke title me thodi bahut English use kren.or agr dono hi nhi kar sakte to search description me English me hi likhen.isse Google ko aapke post ke topic ke about pta chal jayega.
Blog Ke Liye High Traffic Kitna Jaruri Hai ?
Har ek Blog ke liye traffic yani jyada se jyada visitors ka
aana jaruri bhi hota hai.lekin iska AdSense earnings se koi talluk nhi
hota.site ka jyada traffic hone par hi aapka AdSense account approve hota
hai.jyada traffic hone se aapko jyada clicks milte hain.aapki site ki valuation
bni rahti hai.
Agr kisi site ka traffic bhi jyada ho or unka content bhi
best and quality content ho to uske good earnings ke chances jyada rahte
hain.meri sites par ye dono khubiyab rahti hain.good earnings ki vajah high cpc
keywords hi hote hain.
Service Provide Karke Internet Se Paise Kaise Kmayen ?
Online Business Idea-Professional Full Time Blogger Kaise Bnen ?
Aapki site par jitney mahange Ads show honge utni aapki
AdSense CPC increase hogi.or jab CPC yani cost per click jyada milegi to
earnings automatic jyada hi hogi.
Jaise info tech hi cpc 0.50$ hai ,yani 50 cent hai to only 2
clicks par hi 1$ ban jata hai.jabki mujhe ek time 5$ tak ki cpc bhi mili hai.us
din jitney clicks mile vo sab isi rate ke aas pass hi mile or us din ek din ki
earning 70$ tak bhi hui hai.
Jyadatar Info Tech hi CPC 0.5 se 0.10 tak hi rahti hai.kbhi
isse jyada ho jati hai kabbhi kam.abhi aaj post likhne tak mujhe 1$ CPC nazar
aa rhi hai.ye sab ek proper planning se work karne par hi hota hai.
Dears , Post kafi bdi ho rhi hai ,aaj mene aapke sath kuch
hi tips share kiye hain ,ijazat dijiye aainda aapko or bhi aise kai tips
btaunga ,jin par aap bhi work kar sakte hain.Jo log Mujhse apni websites
banwate hain me unki 100$ hone tak help karta rahta hun unhe guide karta rahta
hun.i know log site banwane se jyada support ke liye mujhse contact karte
hain.me sirf unhi logon ko support karta hun jinki site par mene work kiya
hai.or me site bnane ke baad bhi tab tak support karta hun jab tak invest karne
wala banda apni invest na nikaal le.
Me kisi ko koi clicks nhi deta or na hi dilwata hun ,mujhe
logon ki kamzori ka pta hai ki log proper planning se work nhi kar rhe ,me sirf
unko guide karke proper planning’s se works karwata hun.or unki earnings start
ho jati hai.ab tak aise 5 students hain jo ki 100$ complete karke apna payment
received kar chuke hain.
Works sabhi karna chahte hain or rupay bhi sbhi kmana chahte hain lekin bina guide line ke kuch bhi possible nhi ho sakta.aap pichhle kai years se work kar rhe honge ,lekin I am sure aap mere guide line ke mutabik sirf 6 month work kar len,aap na sirf earnings karenge balki apni first payment receive bhi kar chuke honge.me whatsapp bahut hi kam use karta hun lekin in logo ko me whatsapp par hi guide karta hun.
Domain Name Kya Hota Hai or Domain Kyun Buy Karna Chahiye
Apne Hidden Talent Ko Kaise Identify Kren Carrier Tips in Hindi
Mehnat kren or kisi ki parvah na karte hue apna work karte
rhen kamiyabi aaj nhi to kal milegi jarur.mayusi ko nikaal den.or apne work ko
ek plan ke sath kren.milte hain isi post ke 2nd part me.us part me
me aapko kuch or aise tips dunga jo aapke liye kafi useful honge.
Ye post Google AdSense Se Highest Earnings Kaise Kren Secrete Tips aapko kaisi lgi ? ise apne friends ke sath share
karna na bhulen.
Mere sath social media par judne ke liye
Aamir Ali
Info Tech Hindi
कोई टिप्पणी नहीं
Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.
Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.