Facebook Par Kiye Jane Wale Top 5 Online Business
Facebook Par Kiye Jane Wale Top 5 Online Business
Top 5 Online Business people doing on Facebook.
फेसबुक पर किये जाने
वाले टॉप 5 ऑनलाइन बिजनेस
Facebook Par Kiye Jane Wale Top 5 Online Business |
Dear readers , Facebook world ka sabse bda Social media
platform hai isme kisi ko koi shak nhi hai.ham me se bhi jyadatar log Facebook
use karte hain balki sara sara din facebook par hi lge rahte hain.aaj ki is
post me me aapko Facebook par hone wale top 5 online business me bare me btana
chahta hun.aap is post ko start se last tak padhen aapko bhi is bare me idea
hoga ho sakta hai ki aap bhi inme se koi business karna chahen to kar sakte
hain.
Kya aap jaante hain ki is wakt Facebook ek online market ka
roop le chukka hai jahan par kuch bhi buy and sell kiya ja sakta hai.hmare
jaise log jo sirf Facebook ko enjoyments ke liye use karte hain unhe iske bare
me jyada ideas nhi hote.
Lekin ye sach hai ki is time Facebook ek online market ban
chukka hai jahan par kafi kuch buy and sell kiya ja rha hai.vaise to in chizon
ki list kafi bdi hai lekin me aapko apne topic se related chizon ke bare me hi
btana chahunga ki inme se kya kya buy sell kiya ja rha hai.
Ham technology blogs and make money vgaira jaise topics ko
dekhte hain to inka Facebook par kafi bda market hai.ye market groups ki surat
me hota hai jahan unke jaise dusre log usi group me hote hain.unhi ke beech ye
business chalte rahte hain.yahan tak ki Facebook ki taraf se official bhi buy
sell groups bnane ke features diye gye hain.taki market ko badhawa mile.
1.
Domain Name
Facebook par domain names buy and sell ka kafi bde groups
markets hain jahan par ek se badhkar ek seo friendly domains ko buy sell kiya
jata rahta hai.ye log domain name research karte rahte hain or domain buy karke
use kuch munafe ke sath in Facebook groups me sell kar dete hain.is tarah inse
kafi good earnings ho jati hai.
Ye log apne buy kiye hue Domain names ko Groups me share
karte hain or iske sath hi iski khubiyan bhi likhte hain.
jise log padhne ke
baad in domain name ki achhi keemat de dete hain.yahan tak ki kuch domain itne
best domains names hote hain ki inki bakayda groups me boli lgayi jati hai.or
inhe muh mange daamo me sell kiya jata hai.
Kul milakar Facebook ek online domain names buy and sell ka
ek best place banta jaa rha hai.or yahan logon ko ache ache domain names mil
jate hain.
But me aapko recommend karunga ki aap apne domain names khud
hi domain sites se buy kiya kren.taki aap apne topics se related domain name ko
book kar sken.
2.
Blogs and Websites
Kai log jo Blogs and Website developers hain vo new Blogs
and sites crate karke unhe Facebook par sell kar dete hain.is tarah ek
readymade sites ko buy sell karne ka business bhi Facebook par kiya jar ha hai.
In new sites ko kisi ek topic ke according best themes ke
sath design kiya jata hai or inme all jaruri plugins hote hain.jo kisi site ke
liye best hote hain.inka domain name bhi site ke topic se related hota hai.or
ye site hosted bhi hoti hain.ye blue host se hosting lekar inhe create karte
hain.
Inme topics se related kuch demo posts bhi hoti hain.jab ye kisi clients ko sell karte hain to unhe is site ki complete authority de dete hain.uske baad client apne hisab se inme posts karte rahte hain.
in sites par sirf Google AdSense ke ads nhi lgaye hote.buy
karne wale clients khud in sites par apne adsense ads lga sakte hain.
3.
Facebook Fan Pages
Iske bare me to me ek poori post kar chukka hun.jisme mene
aapko btaya tha ki Facebook par Fan Pages ko buy and sell ka business kis tarah
se kiya jata hai.Facebook par aise bahut se groups hain jahan daily kai kai
Pages ko buy kiya jata hai or sell kiya jata hai.
In groups me active Facebook fan pages ki demands har dam
bni rahti hai.aajkal har ek ko sab kuch bna bnaya hi chahiye uske liye vo
investments karne ke liye bhi taiyar hain.
Yahan par Indian and Europeans Facebook Fan Pages ka kafi
bda market place hai.yahan tak ki kai bdi bdi companies bhi is fan pages ko buy
karna pasand karti hain taki vo sahi logon me apne business or site ka
promotion kar sken.
Facebook par kisi Fan page ko sell karne ke liye usme kam se
kam 5k likes hone jaruri hain or uske sath hi topics and activity bhi kafi aham
hai.yani page full active hona chahiye.jisme daily kai kai posts ki jati hon or
unme kai kai likes comments and share aa jate hon.baki aapke page par jitney
jyada likes hain uske hisab se uski rates tay hoti hain.
4.
Freelancing Business
Freelancers yani online service providers.jo log online apni
service provide karte hain. Facebook par aise bahut sare freelancers groups
hain jahan par daily kai kai freelancers ko higher kiya jata hai. Yani unhe
online works diye jate hain.
Kai log jinki apni best sites hain unhe aise writers ki
hmeshan jarurat rahti hai jo kam rate me unke liye quality contents likhen jo
unki site ke topics ke according hon. clients in groups me post karke bta dete
hain ki unhe kis topic par kitne words ka kis tarah ka article chahiye ,log
unse contact karke unhe articles likh kar bhejte hain jiske badle unhe rupay
pay kiye jate hain.
Agar aap bhi English language me best articles writers hain
to aap bhi in groups ko join karke paid articles likh sakte hain or rupay kma
sakte hain.
New articles ke alawa yahan par aapko translate works bhi
mil jate hain.kai bloggers aise writers and translators ko bhi higher karte
hain jo ki unke articles ko other language me translate kar sken.iske badle me
ye per articles pay karte hain.
5.
Online promotion Work
Kai Sites and companies hain jo ki Facebook par apne
products and services vgaira ka online promotion karwati hain.vo aise logon ko
bhi contract dena pasand karte hain jinki fan followings better ho.isse unke
products and services jyada se jyada logon tak pahunchte hain.
Isi tarah aise kai blogs and sites hain jo ki apne posts ko
jyada se jyada logon tak pahunchana pasand karte hain iske liye vo paid social
media promotion bhi karwate hain.ye log apni site par aane wale social media
traffic ke hisab se pay karte hain.meri malumat ke mutabik ye 1k visitors
social media se send karne par 1 se 2$ tak pay karte hain.
Kai products selling sites bhi social media par apna
promotions karwati hain jisse inke products jyada sell hote hain.or ye log apni
investments nikaal lete hain.inme jyadatar to online campaign hi create karte
hain but jo small business hote hain vo self-promotions karwate hain.
I hope ki ye post Facebook Par Kiye Jane Wale Top 5 Online
Business
aapke liye useful sabit hogi ,ise apne friends ke sath share
karna na bhulen.
Mere sath social media par judne ke liye
Aamir Ali
Info Tech Hindi
कोई टिप्पणी नहीं
Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.
Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.