Blog Traffic Increase Karne Ke Top 10 Best Ways in Hindi

Blog Traffic Increase Karne Ke Top 10 Best Ways in Hindi
Top 10 best ways of increase your blog traffic in Hindi
ब्लॉग ट्राफिक बढाने के टॉप 10 बेस्ट तरीके हिंदी में

Blog Traffic Increase Top 10 Best Ways
Blog Traffic Increase Karne Ke Top 10 Best Ways in Hindi 

Dear readers , aaj ki post un bloggers ke liye jo blogs traffic ko lekar pareshan rahte hain.or kam blog traffic ki problems se jujhte rahte hain.is post ko dhayn se padhen or isme btaye hue tips par amal kren.

Daily internet par lakhon blogs create ki jati hain lekin unme se kuch hi blogs aisi hoti hain jo ki jald successful ho jati hain.jyadatar blogs after some times band ho jati hain.iske pichhe kai vajah rahti hain jinme se ek hai blog par visitors ka traffic kam aana.
Aaj ki post me me aapko vo ways bta rha hun jinse aapki site par daily traffic aata rhega or agar aapne apni site par AdSense ke ads vgaira lgaye hue hain to aapki traffic ke sath sath earnings bhi increase hogi.Blogs Par Kam Visitors Traffic aane ki kai vajah hoti hain.

1.Write Daily Blog Posts

Kisi bhi blog ki success ke liye sabse important point hai us blog par daily posts karna.kyu ki aapki blogs par job hi readers aate hain vo kuch na kuch new seekhne ki tamanna liye hue aate hain agar unhe aap daily new content yani khurak nhi denge to vo aapki site ko dubara visit nhi karenge.

Isliye susti ko bay bay kahen to apni blogs par daily posts likha kren.meri nazar me isse jyada ek reader ko kuch nhi chahiye ki use apni pasandida site par daily new posts milte hain.isse pahle bhi me bta chukka hun ki Google search engine bhi aisi site ko jyada focus karta hai jo daily updates site hain.
Daily posts likhne se aapko organic traffic milega.but posts or content useful ho quality contents ho.kisi bhi blog ki success ke liye sabse jaruri hai use daily updates karna.

2. Reach Your Targeting Peoples

Jo log blogs par traffic ki kami ko lekar pareshan hain vo log real me apne topic se related targeting peoples tak khud hi pahunch nhi pate ,is vajah se unki site par traffic nhi aa pata.

Example jaise ki aapka blog technology par hai ,or aap apni posts ko kahin par bhi share kar dete hain to aapko apne targeting peoples ke bare me pta hi nhi hai.jyadatar log jinki personnel Facebook ID bnayi hui hoti hai or usme unke friends or jaanne wale log jude hote hain.ye log apni posts ko in logon me share karte rahte hain.jabki ye inke targeting peoples hain hi nhi.

Ye log sirf aapko jaanne pahchanne ki vajah se aapke sath jude hue hain jaruri nhi hai ki inki dilchspi aapke topics me ho.isliye ye log aapki posts ko nhi padhte.or use ignore kar dete hain.
Agar aapko apne targeting peoples tak pahunchna hai to aapko apni all social media ID bhi apne topics se related hi create karni hongi.or aapko aise Groups and Communities ko hi join karna hai jo aapke topics ke according ho.taki aapko apne topic me interest rakhne wale log milen.ye log aapki posts ko dekh kar khud aapko follow krenge aapke friends bnenge.

Jab koi banda aapse aapke topic ko dekh kar ke judta hai to vo aapki har posts ko visit krega.or jo log aapse personally judte hain vo aapke topic ko ignore hi karenge.isliye right peoples tak pahunchen.or unme apni posts ko share kren. 

3. Create Effective Post Title

Is topic par me ek poori post hi likh chukka hun.har post me sabse important us post ka title hi hota hai.isliye aisa title choose kren jo effective ho or logon ko apni taraf khinchne ki taakat rakhta ho.

Har ek post ke liye us post ka title hi post ki jaan hota hai.balki post ka short introduction hota hai.post title ko dekh kar hi log samajh jate hain ki is post me kya kya hoga.posts share karne ke baad new visitor post ke title ko dekh kar hi faisla karta hai ki post ko padhna hai ya nhi.
Isliye soch samajh kar research karne ke baad hi post ka title create kiya kre.or ye khas khayal rakhen ki aapki post ka title kisi bhi dusri post ke title se same to same nhi milna chahiye varna search engine aapki post ko ignore kar dega or use old uske jaisi post ki copy samjhega.

4. Create Effective Posts Images

Pahle ke zamane me log kisi movie ke poster ko dekh kar hi faisla kiya karte the ki is movie ko dekhna hai ya nhi.kyu ki ek tasveer hazaar lafzon se bahtar hoti hai.balki tasveer ek silent introduction hoti hai.

Isliye apni hare k post ki image ko aisa bnaye ki log us post ki image ko dekh kar hi click karke aapki site ko visit kre.har ek post me image ka bahut hi aham role hota hai.iske alawa jo log Google image search engine par images search karte hain agar unhe koi effective image nazar aaye to us post tak pahunch jate hain.
Agar aapki posts ki images best or effective hongi to bahut sare visitors google image search engines se bhi aapki site par pahunch jayenge.or social media par bhi jab aap share karte hain to log pahle images ko dekhte hain title bhi baad me padhte hain.isse aap post me images ke role ka idea le sakte hain.

5. Share Your Posts On Social Media

Sirf posts par posts likhne hi se blogs par traffic nhi aaya karta.iske liye right promotions bhi kafi zaruri hota hai. right promotion tabhi ho skega jab aap apni blog ke topic se related peoples tak pahunchenge.or unhe apna friends bnayenge.
Log sabse badi galti yahin aakar karte hain ki apni posts ko jahan chahe share kar daalte hain yani mix peoples me share karte hain.jisse unki posts ko koi likes tak nhi karta.vajah yahi ki vo aapse pahchan ki vajah se jude hain aapke topics ki vajah se nhi.isliye unhe aapke topics me shayad dilchspi na ho.



Social Media par right promotions ke liye apne blog ke topics se related or usme dilchspi rakhne wale logon ko apna dost bnayen.or aise hi groups ko join kren kyu ki in groups me hi aapko aise log milenge jinko aapke topics me interest hai.
Ye log jab rojana aapki posts ko groups me dekhenge or padhenge to apne aap ye aapse connect honge.iske liye agar aap chahen to new ID bnakar apne topics me interested peoples ko join kar sakte hain.
5 hazar aise logon se jo aapke topic me interest nhi rakhte 500 aise log better hain jinhe aapke topics me interest ho.kyu ki ye 500 aapke targeting peoples hain.yahi aapki site ko visit karenge.vo 5 hazar aapke liye kisi kaam ke nhi kyu ki unhe aapki posts or aapke topics me koi interest nhi hai.or na hi vo aapki site ko visit karenge.
Isliye right and targeting peoples tak pahunchen.aapki site par kafi traffic aane lgega.jab tak aap apne topic me interest rakhne walon ke beech apni posts ko share nhi karenge tab tak aap apni targeting audience tak nhi pahunch skenge.

6. Get Quality Backlinks by Commenting

Apne blog topics se related blogs ki posts ko visit kren or vahan par aap comments kren.aapke comments karne se aapko us related topics blogs se quality backlinks milenge jo aapki site par right and targeting peoples ko send karenge.

Agar aapki blog ka topic health hai to aapka health blogs par hi comments karna jyada better hai.agar aap kisi or topics wali blogs par comments karenge to backlinks to aapko milenge but aapko targeting peoples nhi milenge.

7. Write Guest Posts for Related Topics Blogs

Apne topics se related blogs ke bloggers se good relations bnayen or unki blogs par guest posts kren vahan posts karne se us site ke visitors ko bhi aapke bare me pta chalega ki ye bhi isi topic ke writer hain or vo aapki site ko bhi visit karenge.

Har ek blog par uske targeting visitors hi jyada visit karte hain.jaise mera blog wahi log jyada padhte hain jinhe technology me interest hai. health interest ke log yahan kbhi nhi aayenge.but agar unhe health and tech me interest ho to aayenge.
Ab yahan aane wale sbhi readers visitors tech interest wale hain agar yahan koi or new blogger apni guest post karta hai or uski apni blog bhi tech par hi hai to yahan ke visitors uske bare me jarur jaanna chahenge ki ye kaun hain.or is tarah uski site ko yahan se backlinks milna start ho jayenge.yani yahan se visitors uski site ko visit karna start kar denge.

8. Write Quality Contents

Koi bhi visitor kisi blog ko baar baar tabhi visit karna pasand karta hai jab uski all posts unko pasand aa rhi ho.or vo kuch seekh rha ho.agar aap apni posts me fizul ki baate karenge ya idhar udhar ki baaten karenge to visitor aapki blog ko dubara visit nhi karega.

Blogging me quality content kahte hi use hain jin contents me logic ho.or kisi bhi topic ko details me samjhaya gya ho.or post padhne wala visitor us post se kuch na kuch seekh kar jaye.tabhi ye content uske liye useful hoga.
Agar aap kisi post me kisi work ko karne ka tarika samjha rhe hain to us post ko padhne ke baad visitor ke samajh me aana chahiye.or agar aap apni post me apne post title ke about real information hi nhi de paye to aapka content useless hoga.


Apni blogs par visitors ko increase karne ke liye sabse jaruri hai ki aap jo visitors aa rhe hain inhe good content provide kren.or inhe apni posts ko padhne ki aadat dalwa den.i hope ki ye khud aapki posts ko share karenge or aapki site par new visitors lekar aayenge.

9. Paid Promotions

Ye ek short time success ka raasta hai.agar aap investment karke jald se jald apni site ko popular bnana chahte hain to isme bhi koi burai nhi hai.jyadatar log jinhe kam se kam time me earnings start karni hoti hai vo isi ka sahara lete hain.

Paid promotion ke liye aap apni blog ka banner ya link Ad apne topics se related blogs and sites par lagwa sakte hain.uske liye aapko monthly pay karna padta hai.but us site se aapko daily kafi traffic bhi milta hai.agar aapke content me dam hai to vo visitors jo first time aapki site par aaye hain vo dubara bhi aate rahenge.
Paid promotion ke jariye aapki site ko one time traffic mil jata hai baki aapke content par depend karta hai ki ye visitors dubara aate hain ya nhi.
Paid promotions ke bahut sare tarike hain jinke bare me me pahle bhi posts kar chukka hun aap chahen to isi site par un posts ko padh sakte hain.aap apni blog ke naam kisi dusre blog par paid posts bhi likhwa sakte hain.apne ad banners bhi lagwa sakte hain.

Facebook par bhi paid promotion karwa sakte hain.apni site ke liye Facebook ka koi active fan page buy kar sakte hain.hazaron tarike hain agar aap apne blogs ke liye investment karna chahen.

10.Give answer readers’ comments and help him

Blogs par traffic increase karne ke liye ek aham point ye bhi hai ki abhi filhal jo visitors aapki site ko visit karte hain aap inke comments ka answer dete rhen.inki help kren.inko kya padhna pasand hai aap inke interest par posts likha Karen.


Visitors ko agar kisi blog par right response milta hai to vo use baar baar visit karte hain.mene kai logon ko dekha hai ki vo apne visitors ke comments ke koi answer nhi dete natiza ye nikalta hai ki log unki site ko visit karna bnd kar dete hain.

Me apni sites and YouTube Channels par aane wale all type comments ke answers deta rahta hun.yahan tak ki within 24 hours me hi reply kar deta hun.isliye log in sites ko lagatar visit karte rahte hain.kai daily visitors hain jo in sites se hokar mujh tak pahunche hain or aaj mere sath whatsapp par bhi hain.
Agar aap apne visitors ko response denge to ye log bhi aapki posts ko share karke dusro tak pahunchayege.is tarah maujuda visitors se bhi aapko new visitors milenge.
Agar aap apni blogs and sites par traffic increase karna chahte hain to aap in tips ko follow kren.I hope ki aapki site par daily kafi traffic aane lgega.bas aapko har work apne blog topics ke according hi karna hai.jab aap apne right audience tak pahunchne lagenge to yahi log aapki site ko visit krenge or aapke daily visitors bnenge.
I hope ki ye post aapke liye useful sabit hogi ,ise apne friends ke sath share karna na bhulen.

Mere sath social media par judne ke liye


Aamir Ali

Info Tech Hindi   

कोई टिप्पणी नहीं

Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.

Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.