Facebook Par Blog Promotion Kaise Kre Best 7 Tips
Facebook Par Blog Promotion Kaise Kre Best 7 Tips
How to Promote Your Blog on Facebook Best 7 Tips
फेसबुक पर ब्लॉग
प्रचार करने के बेस्ट 7 टिप्स
Facebook Par Blog Promotion Kaise Kre Best 7 Tips |
Dear readers , Facebook ko to all peoples use karte hain but
aaj me Blog promotion ke liye aapko Facebook use karne ka tarika btane ja rha
hun.agar aap is tarike se Facebook ko use karenge to aapki site par Facebook se
kafi visitors yani blog traffic aane lgega.
Aksar log ye shikayat karte hain ki hmari Blog ya site par
traffic nhi aata.halanki ham apni site ki hare k posts ko social media par bhi
share karte hain or kafi promotions bhi karte hain but traffic nhi aata.
Iski vajah jahan tak me samajh paya hunk i log apni blogs ka
promotions hi galat logon me karte hain.or apni posts ko un logon me share
karte hain jo ki unke targeting peoples hi nhi hote.ye log sirf aapko jaante
hain pahchante hain but aapke topics me inko interest hi nhi hota aap jab inme
apni posts ko share karte hain to ye un posts ko nhi padhte.
Facebook par apne blogs ke promotions ka jo tarika me aapko bta rha hun aap ise follow kren I hope ki isse aapko kafi fayda hoga.kyu ki ye tarika me kai baar aazma chukka hun.ye kafi helpful hai.kisi bhi work ko jab tak aap ek proper planning’s ke sath nhi karenge tab tak aapko usse fayda nhi milega.
1.
Create New Facebook Account for Blog
Sabse pahle aap apne blog ke
promotion ke liye ek new Facebook account create kren.or sath hi phone and
email verify bhi kar len taki aage chalkar aapka ye account ban ya block na ho.
Aap jab apni Facebook profile
bnaye to apni profile apne blog topic ke according hi bnayen.jaise aapka blog
topic hai health ,to ab aapko health ke about hi profile crate karni hai.Jaise
about and interest vgaira har jagah aapne apne topic ke hisab se hi likhna hai.
2.
Join Related Groups on Facebook
Profile
bnane ke baad aapne apne topics se related groups ko Facebook par search karna
hai or un sbhi groups ko join karna hai.jaise ki aapka topic health hai to
aapne sbhi health topics wale groups ko join karna hai.
In groups ko join karne ke baad
aap ye dekhen ki in groups me sabse jyada kaun health ki posts kar rhe hain or
sabse jyada kaun in posts ko likes and share karte hain comments karte hain
,aapko in sbhi logon ko friends request bhejni hain or inhe apna dost bnana
hai.
Kyu ki yahi vo log hain jinhe
is topic me interest hai tbhi to ye is topics ko itna follow karte hain.yahi
log hain jinhe aapki targeting peoples kaha ja sakta hai.jab ye log aapke sath
judenge to ye aapki posts ko bhi isi tarah follow karenge.
Ye log aapki posts ko padhenge
bhi or likes and comments bhi karenge or share bhi karenge.in logon tak isi
tarah se pahuncha ja sakta hai.in logon ko groups me talash karna padta hai.kyu
ki aapke blog topic me inhe dilchaspi hai.
3.
Facebook Friends
Jaisa mene aapko btaya hai ki
jin logon ko aapke blog ke topic me dilchspi hai inhe aapne apna friends bnana
hai.or aapko bhi inki posts ko likes karna hai comments karne hain and share
bhi karna hai.tabhi ye log aapki posts ko bhi isi tarah response denge.
Inke alawa jitney bhi log hain
jo aapke blog topic me interest nhi rakhte unhe aapka Facebook par friend bnana
bilkul fizul hai.jab aap sirf blog promotion ke liye hi new Id bna rhe hain to
specially unhi logon ko friends bnaye jinhe aapke blog topics me interest ho.
Aapko koshish ye karni hai ki
aap jyada se jyada aise friends bna sken jo aapke topic me dilchaspi rakhte
hain.aapko one month me kam se kam 5K aise friends bnane hain.
4.
Create Facebook Page
Jab aapke friends 5K tak ho jayen tab aapko
apni Facebook profile ko apne facebook Fan Page me convert kar dena chahiye.or
ab aap apne fan page ko apni Blog or site par bhi lga sakte hain.
Yani is tarike se aap only one month me hi
5K likes wala fan page bna sakte hain.
Jab koi apni Facebook profile ko Fan Page
me convert karta hai to uske sbhi friends automatic page likes me convert ho
jate hain.varna agar koi vaise hi fan page bna kar work karta hai to us page
par likes milna bahut hi mushkil rahta hai.
Lekin is tarike se aap short cut me fan
page par ek hi baar me kafi sare likes le sakte hain.uske baad aap apni posts
ko apni profile and page par share karte rhen aapki site par kafi jyada traffic
aane lgega.
5.
Targeting Audience
Jaisa ki mene aapko btaya ki aapki
targeting peoples vo log hain jinhe aapke blog topic me interest hai.aapko in
logon ko apna Facebook friends bnana hai.
Iske liye starting aap is tarah kren ki aap
apne topic wale groups ko Join kar len.uske baad ye dekhen ki vo log jo aapke
blog topics par in groups me posts kar rhe hain sabse pahle aapko inhe apna
friends bnana hai.yani inko friends request send karni hai.
Uske baad Jo log aapke Blog topic se
related posts ko likes kar rhe hain or un posts ko share kar rhe hain and
comments kar rhe hain unhe bhi aapko apna Facebook friends bnana hai.yani inhe
bhi friends request send karni hai.ye vo log hain jinhe real me aapke blog
topic me interest hai.yahi log ek din aapki site or blogs ko bhi visit karenge
or aapke visitors bnenge.
Ye log aapki posts ko bhi likes karenge un
par comments karenge and aapki posts ko bhi share karenge.yani aapke in
targeting peoples se aapko kafi support milega.or inki taraf se aapko kafi
fayda milega.
6.
Your Facebook Activities
Ye sab works complete hone ke baad aapko
apni is Facebook id par active rahna hai.yani aapko bhi apne blog topics wali
dusron ki posts ko likes karna hai un par comments karne hain and unhe share
bhi karna hai.
Log Facebook par aapki activities ko dekhte
hain.jab inhe aapke jariye support milega to ye log bhi aapko support krenge.ye
bhi kafi aham factor hai.jitna aap logon ko support karte hain log bhi karenge.
Iske sath hi aap apni har posts ko facebook
friends and groups me bhi share kren.lekin khayal rhe ki aap ek sath 10 se
jyada groups me apni posts ko same time me share nhi kar sakte.varna Facebook
aapki id ko block kar sakta hai.
Isliye better ye hai ki aap thode thode
time ke baad sbhi groups me apni posts ko share karte rhen.aapki site ko
Facebook Page Friends and Groups se visitors milte hain.isliye apni har posts
ko in logon me share karna na bhulen.
Apni posts share karne ke sath sath aap
apni is Facebook ID ko bhi din me 1 ghanta jarur use kren.or dusron ki
activities ko follow Karen dusron ko support kren. Dusron ki posts ko likes
comments and share kren.
7.
Response Your Audience
Facebook par jab bhi aap kahin bhi apni
posts ko share karte hain to jahan bhi log aapki posts par comments Karen to
aap unke comments ka reply jarur Karen.isse kafi positive asar padta
hai.comments karne wale ko lagta hai ki posts karne wala hmari kitni respect
karta hai.
Iske alawa aapki posts ko likes karne walo
and share karne walo ko bhi thanks kahna na bhulen.iska tarika ye hai ki aap
posts share karne ke 4 ghante baad is tarah facebook par status likhen ki Un
sbhi ka shukriya jinhone meri aaj ki is post ko likes kiya and share kiya ,mere
liye aapka aisa karna bahut supportable hai.aainda bhi aap meri posts ko isi
tarah like comments and share jarur kren.
Aapke itne se status se hi un logon ka dil
khush ho jayega.or vo future me bhi aapko isi tarah support karte rahenge.ye ek
aazmai hui trick hai.isse kafi jyada fayde hote hain.logon ko apne sath jodne
ke liye or unka support lene ke liye sabhi tarah ki koshish karni chahiye.
Isi tarah har ek comment karne wale ka aap
reply karte hue comment Karen.isse usko aapki taraf se positive response milta
hai.or uski haunsla afzaai hoti hai.is trick se aap apni har posts par kafi
jyada comments hasil kar sakte hain.
I hope
ki aapko samajh me aa gya hoga ki Facebook par apne blogs ka promotions kaise
karna chahiye.ye tarike kafi powerful hain.aap inhe follow karke apni site par
kafi jyada traffic visitors hasil kar sakte hain.
Facebook se Blogs and Websites par sabse jyada traffic bhi aa sakta hai but aapko proper planning ke sath works karna hoga.aap in tips par work karke dekh len agar aapko fayda na mile to aap mujhe email karna.i am sure ki aapko isse kafi positive results milenge.
Ek new
Blog and site ko successful bnane ke liye sabse jaruri hai ki aap proper
planning ke sath works kren.tabhi aapki blog kam se kam time me success blog
ban sakegi.
Agar aapko ye post Facebook Par Blog Promotion Kaise Kre
Best 7 Tips pasand aaye to ise apne friends ke sath share karna na bhulen.and
mere sath social media par judne ke liye
Aamir
Ali
Info
tech Hindi
कोई टिप्पणी नहीं
Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.
Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.