Blog Posts Ka Title Kaise Create Kren Blogger Tips

Blog Posts Ka Title Kaise Create Kren Blogger Tips
Dear readers , aaj ki post me me aapko Blog post ke title create karne ke bare me btaunga.kisi bhi post ke liye title sabse ahm mana jata hai.title hi vo cheez hai jo kisi ko aapki post tak khinch kar lane ki taakat rakhta hai.isliye post ka title create karne me kafi jyada samajhdari se kaam lena chahiye.

Blog Posts Ka Title Kaise Create Kren Blogger Tips
Blog Posts Ka Title Kaise Create Kren Blogger Tips

Sabse pahle me aapko ye recommend karna chahunga ki aap post ka title fake na rkhen.jaise ki aisa koi title na rkhen ki visitors apne aap ko thaga sa mahsoos kre.kai log post ke title ko itna badha chadha kar likh dete hain ki post padhne ke baad visitors samajh nhi pata ki isne aisa title kyu rakha.or natiza ye nikalta hai ki log dubara aapki posts ko padhne nhi aate.

Blog Post Ka Titel Kaise Create Kren ?

Sabse pahla ki aapki aaj ki post ka main topic kya hai ,yahi aapka main keyword hai.iske bare me sabse pahle research kren.or ho ske to Google Keyword planner ki help se us post ke according title create kren.
Agr aapko Google Keyword planner ki samajh nhi lagti to me aapko sabse aasan tarika btata hun ki aap apne title ko Google me search kar len.google ke result me sabse niche ki taraf aapko usse related kuch keywords milenge aap unme se kisi ek ko choose karte hue aisa title bnayen jis title se pahle koi bhi post internet par na ho.tabhi aapko fayda mil payega.varna ek jaise title ki to bahut si posts internet par pahle hi se maujud hain.

Blog Post ke Title ko Kaun Si language Me rakhen ?

Starting se hi me ise lekar confused tha ki me title ko kis language me rakhun.mere vaise 2 blogs hain jisme Masters Tech hindi me hai or Info Tech Romen hindi yani hinglish me hai.

Start me me hare k title ko English me hi rakhta tha ,vo isliye ki English ki search kafi jyada rahti hai.to iska bhi mujhe fayda mile.lekin bazaay fayde ke mujhe iska nuksan bhi uthana pda.vo is tarah ki ek banda English me koi keyword ko search karte hue meri site par aaya ,or use hindi ya hinglish nhi aati.ab use mere posts in language me milte ,to vo mujhe bura bhala kahte hue aage badh jate.
Aisa ek baar nhi kai baar hua.uske baad mene kai senior bloggers se iske bare me raay li ki title ki language kya honi chahiye. specially me thanks full hun Lalit Banzara ji ka ,jinhone is bare me meri kafi help ki.

Finally ye natiza nikla ki jo log English me search karte hue aapki post taka ate hain unhe post ki language bhi English hi chahiye.isi tarah jo log Hinglish me search karte hain unme se 90% ko Hindi nhi aati.ab inko posts ki language Hinglish hi chahiye.or ab rahe Hindi users ,ye log jyadatar Hinglish ya Hindi me search karte hain.or jab Google inko result Hindi me show karne ke liye puchta hai to ye agree ho jate hain.kyu ki inhe posts hindi me hi chahiye hoti hai.

Jab Google inko Hindi me result show karta hai to isme sirf Hindi blogs ka hi result show hota hai ,ek bhi post Hinglish blogs ki nhi hoti.iska nuksan Hinglish bloggers ko hota hai.
Finally me is natize par pahuncha hunk i Blog ki Post ki jo language hai usi language me post ka title hona chahiye tabhi aapki posts par visitors aate hain.mene jitni baar iska ult kiya utni hi baar mujhe iska nuksan uthana pda.

Mera experience yahi kahta hai ki aap post ki language ke according hi Post ka Title rkhen.Hindi title me bhi keywords ko use kiya ja sakta hai.aap chahe to meri Masters tech ki posts ko dekh len.unka title me Hindi me hi rakhta hun ,hindi ke sath sath keywords ko me English me likhta hun ,to Google use Hindi post hi samajhta hai.
Agr aap bhi posts ke title ko lekar confusion me hain to mere is research ko padhkar aap samajh gye honge ki visitors kya chahte hain.hme apni posts ke title ko apni blog language se alg nhi karna chahiye.
Iski ek missal or me aapko btata hun.ek baar ek Pakistani reader Hinglish me kuch search karta hua Masters tech par pahuncha ,masters tech ki us post ka title Hinglish me hi tha or post Hindi me.usne mujhe Email karke bahut hi afsos ka izhaar kiya ki me is bare me kai ghante se search kar rha tha or same result aapki post ka mila ,or jab aapki post tak pahuncha to post Hindi me hone ki vajah se me kuch bhi samajh nhi paya.

Us vkt mujhe ahsaas hua ki vakai blog posts ka title hmeshan blog ki language ke according hi rakhna chahiye.isse visitors ko problems nhi hoti.varna galti se aane wale visitors kbhi bhi dubara aapki site ko visit nhi karte.

Post ke Title Ke According hi Content bhi Hona Chahiye

Jaise ki koi search kar rha tha ki Lakhon Rupay kaise kmayen ,or use ek post mili jisme kafi kuch likha hua tha lekin lakhon rupay kmane ka koi bhi perfect tarika nhi likha hua tha ,aise me us visitors par kya guzregi.

Aisi hzaron misaalen hain ki log apni posts ke title ko itna badha chadha kar likh dete hain ki poori post me uske bare me koi real baat nhi hoti.sirf hawai baaten hi hoti hain.jiska nuksan ye hota hai ki log dubara aapki posts ko visit nhi karte.
Isliye jo aapne post me likha hai uske hisab se hi title ko create kren title ko itna badha chadha kar na likhen ,varna aapko hi iska nuksan hoga.title ko kaise likhna chahiye iski ek or misaal deta hun.

Meri ek post hai Google AdSense Beta Page Level Ad’s ko Apni Blogs Par Kaise lgayen .is post me beta page level ads lgane ka complete tarika bhi diya hua hai jise padh kar koi bhi inhe lga sakta hai.agr me is post me sirf hawai baaten karta to iske title ke opposite ho jata.or ye post visitors ke liye useful na hoti.

Visitors jis cheez ko search karta hai vo usi ke bare me janna chahta hai , use agr apni jarurat ke hisab se content milega tabhi vo satisfy hoga.varna sirf baate karne se ya apni histories likhne se use koi fayda nhi hoga.

Post Title Post ka Short Introduction Hota Hai 

Blog post ka title aapki post ka short introduction hota hai ,title se hi pta chalta hai ki aapki post me kya kya hai or ye kis bare me hai.title ko padhne ke baad visitors bdi ummid se us title ke about padhne ke liye aapki site ko visit karta hai.

Aise me uska satisfaction kafi jaruri ho jata hai.jaise ki abhi aap meri isi post ka title padh kar aaye hain ki ye post blog post ke title ke about hai.to ise padhne ke baad aapke zahan me koi bhi isse related confusion na rhe yahi meri koshish rahti hai.or aapko har baat ko ache se samjhane ki koshish karta hun.
Jaisa ki mene upar aapko fake post title ke bare me btaya or isse hone wale nuksan ke bare me bhi btaya.hmeshan in chizon ka khas khayal rakhna chahiye.yahan ek baat or aapko btana chahta hunk i kisi or post ke jaisa same to same post title likhne ki kbhi bhi galti na kren varna aapki post jindgi me rank nhi kar skegi.


Google ki nazar me same post title kisi gunaah ki tarah hai.agr aapki post ka title kisi or post ke bilkul hi same hai to aapki post ko us post ki copy samjha jata hai ,chahe aapki post aapne khud likhi ho.

Post ka Title Choose Karte Samay In Baton ka Khayal rakhna Jaruri hai

1.Post likhne se pahle aap Post ka Title Create kren.taki aapko post likhne me bhi aasani ho.or aap title ke about hi post ko likh sken.

2.Jis Topic par aap post likhna chahte hain uske bare me ek baar research kar len ki uski competition kitni hai ,or advertisers ne us keyword par kitna bid lgaya hai.taki aap us post se good earning bhi kar sken.

3.Jis Topic par aap post likhna chahte hain uska competition kam se kam ho or uska advertiser bid jyada ho ,iska khas khayal rkhen.
4.Post ka Title blog ki language ke according hi rkhen. Blog ki language se hatkar post title kbhi bhi nhi rkhen.

5.Post Title create karne se pahle use Google keyword planner me search kar len ya kam se kam Google me search kar len.taki aapko idea ho ske ki iske about isi language me pahle se kitni posts hai ,or readers kya likh kar aapki post ko search karna pasand karenge.

6.Post Title ko create karne ke baad ek baad vaise ki vaise hi poora title Google me likh kar search kren ,isse aapko ye pta chal jayega ki same isi title ko pahle se kisi or ne to use nhi kiya hai.

7.Post ka Title 8 se 12 shabdon ka hi rkhen.isse jyada vo search me nhi aa skega.
Jaise ki ‘’Post ka Title Kaise Create Kren Blogger Tips ‘’ ye title 8 shabdon ka hai.shayad post ka title kaise create kren ,is name se kai posts pahle hi se internet par maujud hain.isliye mene ise thoda sa change kar diya.

Posts Me Ek Se Jyada Headings Kaise Use Karte Hain ?

Post Title ke sath hi sub titles ka bhi use kren.jaise H2 H3 H4 vgaira.first post title hi aapki main heading hai.iske baad H2 yani heading 2 hai ,isi tarah heading3 or 4 ko bhi use kren.jaise meri is post me aap dekh sakte hain.

Blog Posts Ka Title Kaise Create Kren Blogger Tips ye Post ka Title hai.

Blog Posts Ka Title Kaise Create Kren Ye H2 yani heading 2 hai.

Blog Post ke Title ko Kaun Si language Me rakhen ? ye H3 hai yani heading 3.

Post ke Title Ke According hi Content bhi Hona Chahiye  ye H4 hai yani Heading 4.

Post Title Post ka Short Introduction Hota Hai or Ye H5 hai yani heading 5.

Post ka Title Choose Karte Samay In Baton ka Khayal rakhna Jaruri hai ye H6 hai yani heading 6.

H2 se H6 tak ki heading aap tbhi bna payenge jab aap apni posts ko Microsoft word me type karenge.ms office word me Styles me ye sab aapko mil jayega.
Iska bda fayda hota hai.jaise ki is post me 6 heading hai.ab agr koi bhi kisi bhi ek heading ke keywords ko search karta hai tab bhi meri post hi show hogi.


agr aap post me sirf ek hi heading rakhenge to aapki post sirf ek heading se hi search par aayegi.baki headings na dene ki vajah se aapka apna hi nuksan hota hai.isliye ek post me kam se kam 3 headings to de hi deni chahiye.
I Hope ki Aapko Blog Posts Ka Title Kaise Create Kren Blogger Tips ye post pasand aayegi.ise apne friends ke sath share karna na bhulen.

Or mere sath social media par judne ke liye


Aamir Ali

Info Tech Hindi  

कोई टिप्पणी नहीं

Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.

Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.