Blog Traffic Ko Easily Double Kaise Kare ब्लॉग ट्राफिक को डबल कैसे करें

Easily Double Your Website Traffic
How to Easily Double Your Website Traffic from Social Media in Hindi  
Dear readers ,aaj ham baat karenge ki aap apne blog and website ko social media par kaise promote kar sakte hain ,or isse blog and website par kafi jyada traffic increase hoga.more views milenge jisse aapke Google AdSense ki earnings bhi badhegi.
Har blogger or Webmaster ki ek hi koshish hoti hai ki uski site par jyada se jyada traffic generate ho.jyada se jyada views aayen.or rojana ke million visitors aayen.me is article me aapko social media marketing ke jariye rojana ke kai visitors increase karne ka tarika btaunga.aap ise gaur se padhen.

Online marketing

Aaj ke digital daur me online marketing ki ahmiyat ko samjha ja sakta hai.iski misaal aap ecommerce websites par bhi dekh sakte hain.unki daily ki sell millions par hai.sirf online shop lgakar bhi vo itni jyada earnings kar rhe hain ,jitni offline bhi nhi ki ja sakti.agr aap apne blog and website ki online marketing karenge to aapke kitne jyada visitors increase honge.

How to promote your website  

Website ke promotion ke liye search engine submission sabse pahla or jaruri work hota hai.iske liye internet par lakhon free search engine submission ki websites hain jahan aap apni blog and website ko submit kar sakte hain.ise aap Google me search kar sakte hain.iske sath hi apne blog and website ka sitemap create kren or use Google and Bing webmaster me submit kren.taki aapki har post Google and Bing ke search engines tak pahunchti rahegi.

Social media marketing

Uske baad number aata hai social media marketing ka.jo kafi jyada jaruri hoti hai.social media se jahan aapki site ko backlinks milte hain ,vahin par aapki post ko viral hone me bhi help milti hai. social media marketing aap apni site ke liye jarur kren lekin unke rules ke mutabik hi kren.or jo iske proper ways hain unke hisab se hi kren.itna jor bhi na lgayen ki aap social media par block hi kar diye jayen.yahan me kuch social media platforms par aapko website promotion ke ways bta rha hun ,jab bhi aap site promotion kren to inka khas khayal rkhen.

Facebook
Facebook is a 2nd largest world .yani facebook dusri sabse badi duniyan hai ye alfaz hain mr.Amitabh Bachhan ke.ye isliye bhi hai ki facebook par ek ek bande ki kai kai profiles bni hui hain.or ye sabse jyada use kiya jane wala social media platform bhi hai.aap chahen to yahan se kafi jyada traffic generate kar sakte hain.lekin yahan par kafi jyada rules hain jinhe aapko follow karna padega.


Sabse pahle aap apna ek Facebook page create kren.uske baad apne Facebook page ko promote kren.or jyada se jyada likes increase kren. Iska fayda ye hai ki aap jab bhi koi post krenge to ye un sbhi logon tak pahunchegi jinhone aapke Facebook page ko like kiya hua hai.

Iske sath hi aap apne niche yani subject se related Facebook Groups ko join kren ,or apni har post ko vahan par share kren. subject se related isliye ki agr aap lion kea age meat rakhenge tabhi usko pasand aayegi.thik usi tarah jin logon ko jis subject me interest hota hai agr unko apne matlab ki posts milti hai tbhi vo use visit karte hain.yahan kafi jyada log ye galti karte hain ki vo apni posts ko share karte time subject se related logon me share karne ke bajay un logon me share kar dete hain ,jinhe usme koi interest nhi hota.or natiza ye nikalta hai ki unhe iska koi fayda nhi hota.

3rd way ye hai ki Facebook rules ke mutabik aap apni posts ko ek hi time par 10 groups me share nhi kar sakte.kai log aisi galti karte hain or unhe Facebook ki taraf se block kar diya jata hai.isliye aap apni posts ko jab bhi share kren to ek baar me 3 se jyada groups me share na kren.uske 10 minutes ke baad aap dusre 3 groups me share kar den.is tarah aapka kaam bhi ho jayega or aap block kiye jane se bhi bach jayenge.aapki thodi si laparwahi se aapka kafi jyada nuksan ho sakta hai.isliye ek sath ek hi time par share na kren.

Apne blog or site par Facebook Like Page lagana na bhulen.isse bhi aapke page ko kafi jyada like milenge.bahut jald me iske bare me bhi post karunga.
Info Tech Hindi ke Facebook Page ko aap yahan click karke Like kar sakte hain.

Google Plus
Google Plus Facebook ke mukable me mujhe jyada pasand hai.iski vajah ye hai ki yahan aap par koi pabandi nhi hai ,aap ek time par ek sath kai groups me apni posts ko share kar sakte hain.yahan aapko block nhi kiya jata.

Dusri vajah ye hai ki Google Plus par share ki gyi har post google search engine par jaldi rank hoti hai.chahe to aap post karne ke 10 minute ke baad hi apni post ka title copy karke use search karke dekh len.aapko better result milega.

Google plus par bhi aapko apne niche subject se related communities ko hi join karna hai ,or unme aapko apni posts ko share karna hai.unko apne pasand ki khurak mil jayegi ,to vo bhi aapki site ko visit krenge. Google Plus par aapko millions indian communities mil jayengi jo ki Hindi me bhi hain,jahan aap website promotion kar sakte hain.



Iske sath hi aap apna google plus page create karna na bhulen.agr aap chahen to google plus business page bhi create kar sakte hain.ye bhi bilkul Facebook Page ki tarah hi hota hai.isme aap apne friends ko invite kar unhe join karwa sakte hain.or yahan aap apni posts ko bhi share kar sakte hain.
Apni site par Google Plus ka gadget lgana na bhulen ,isse bhi aapki site ko kafi jyada fayda hoga.aapko new gplus friends milenge.

Info Tech Hindi ke Google Plus Page ko aap yahan join karsakte hain.

Twitter
Twitter ki ahmiyat ka andaza aap aise bhi lga sakte hain ki film stars twitter par ek promotion tweet karne ke liye bhi lakhon rupay kama lete hain. twitter  par bhi aap apni site ka promotion kar sakte hain.iske liye sabse pahle aapko twitter followers increase karne honge.jitne jyada log aapko follow karenge utna hi jyada aapko fayda hoga.iske liye aap apne twitter i.d ko share kren. whatsapp or dusre social media platforms se bhi followers increase kren.or apni site par twitter follow button lgana hargiz na bhulen.aapki site se bhi aapko kafi jyada log twitter par follow karne aayenge.

Apni site par twitter follow button lagane ka tarika mene ispost me btaya hua hai aap chahen to ise padh kar bhi apni site par twitter follow button lga sakte hain.


YouTube
Youtube duniya ki sabse jyada dekhi jane wali video website hai jise kafi jyada log rojana visit karte hain.aap apni site ko YouTube par bhi promote kar sakte hain.iske liye aapko apna ek professional YouTube Channel bnana hoga.jisme aap apne videos ko upload karke ek taraf earnings bhi kar sakte hain ,or dusri taraf  YouTube se apni site ke liye visitors bhi increase kar sakte hain.agr aapko YouTube channel par professional channel bnana nhi aata ,to iske liye aap Info Tech ki is service ko visit kar sakte hain.

Info Tech Hindi ka bhi apna ek YouTube channel hai ,jise aap yahan click karke dekh sakte hain ,or ise subscribe bhi kar sakte hain. subscribe karne  ke baad aapko iski hare k video email ke jariye mil jaya karegi.

Personally mujhe YouTube channel se kafi jyada fayda mila hai.meri site par kafi traffic YouTube se bhi aata hai.or mere videos bhi mujhe har mahine acchi Google AdSense ki earnings dila dete hain.yani ek teer me do shikar wali kahawat hai.me to ye chahta hun ki  aap bhi is tarah kren taki aapko bhi fayda ho ,aapki site ko bhi YouTube se traffic mile.


Apni site par bhi YouTube Subscribe ka button lgana na bhulen ,isse bhi aapke YouTube subscribers increase honge.mene khud iske fayde dekhe hain.iska tarika bhi mene apni is post me btaya hua hai aap ise padh sakte hain.

Dear readers ,aaj ke liye itna hi. Article kafi bda ho gya hai varna me aapko social media ke or bhi platforms ke bare me bhi btata.aap log mere sath juden or in sbhi social media platforms par  mujhe follow kren ,taki aapko aane wale samay me bhi isi tarah ke or bhi tips mil sken ,jisse aapke Blog and Website ke promotion me fayda mile.


Info Tech Hindi 

कोई टिप्पणी नहीं

Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.

Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.