Blog Par Twitter Follow Button Kaise Lagaye ब्लॉग पर ट्विटर फ़ॉलो बटन कैसे लगायें

 increase more followers on Twitter in Hindi
How to increase more followers on Twitter in Hindi 
Dear readers , jaisa ki pichli post me mene aapko btaya tha ki YouTube ka Subscribe button ko apne blog or website par lagan eke kya faydehain ,or ise lagane ka tarika kya hai.aaj ham baat karenge ki Twitter ka follow button apne blog or website par lagane se kya fayda hota hai or ise lagane ka tarika kya hai.

How to get more followers on Twitter

Twitter par more followers ko hasil karne ka sabse best tarika yahi hai ki aap apne twitter account ka button apne blog or website par jarur lagayen.isse twitter par aapko kai log follow karenge.or kai naye twitter followers increase honge.

How to add Twitter follower’s button on your blog or website

Twitter followers button lagane ka jo tarika hai vo sabke liye same hi hai.yahan aapko apne twitter account ka ek code diya jata hai jise aap apni site par lagakar more twitter followers increase kar sakte hain.


Twitter followers button ko apne blog or website par lagan eke liye sabse pahle aap about twitter ki site par resources/buttons par jayen.me niche aapko iska link address de rha hun.

Sabse pahle aap is link par click karke about twitter ki site par jayen.yahan aapko Add buttons to your website to help your visitors share content and connect on Twitter likha hua nazar aayega.or uske sath hi aapko ye 4 button nazar aayenge.

Share a link (Tweet)
Follow (Follow @twitter)
Hash tag (Tweet #Twitter Stories)
Mention (Tweet to Support)

Inme se job hi button aap apne blog or website par lagana chahte hain use select kren yahan aapko Button options me language ka option milega.usme se jis language me aapko twitter follow button chahiye us language ko select kren.
Uske right side me aapko Preview and code me us button ka Preview and code milega.is code ko aap copy karke apne blog ya website par lgakar save kar den.

How to add Twitter follower’s button on your blogger Blog

Twitter follow button ko apne blogger blog par lagan eke liye aap blogger ke dashboard par layout par jayen.or yahan Add a Gadget par click kren.or uske Title me follow on twitter likh den.ya job hi button aap lga rhe hain uske hisab se likh den.or content me code ko paste kar den.or save kar den.ab aapko apne blog par twitter ka follow button nazar aane lgega.

More benefits of Twitter follow button

Apne blog or website par twitter follow button lagane se jahan aapko naye naye followers milenge ,vahin aapko ek fayda ye bhi hoga ki aap job hi post ko twitter par tweet karke share karenge ,to usse aapke blog or website par aapki posts ko new visitors milenge ,is tarah aapki site ka blog traffic bhi increase hoga.


or agr aapka apna koi YouTube channel hai to uske videos ko bhi aap direct YouTube se hi tweet kar sakte hain isse aapke videos ko bhi more views milenge.or aapke channel par bhi subscribers increase honge.

Apne Blog or website par Twitter follow button ko lagane ka tarika aap Info Tech Hindi ke YouTube Channel par is video me bhi dekh saktehain.isme ye sbhi practical btaya gya hai.jise dekh kar aap ise or bhi aasani se samajh sakte hain.

Info Tech Hindi


कोई टिप्पणी नहीं

Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.

Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.