YouTube Subscribe Button Blog Par Kaise Lgayen ब्लॉग पर यू ट्यूब सबस्क्राइब बटन कैसे लगायें

Add YouTube Subscribe button to blogger blog
How to add YouTube Subscribe button to blogger blog in Hindi
Dear friends , aaj ham baat karenge ki apne blogger blog par YouTube Subscribe Button ko kaise lgayen ? iski bhi bdi ahmiyat hoti hai.Agr aapka YouTube par koi channel bnaya hua hai to aap yakinan ye chahenge ki aapke YouTube Channel par jyada se jyada Subscribers increase ho.taki aapke YouTube videos jyada dekhe jayen or Google AdSense se aapki online earnings bhi jyada ho.to aaiye ham iska tarika bhi samajh lete hain.

Why to add YouTube subscribe button

YouTube subscribe button apne blogger blog or website par lagane se aapke subscribers increase honge.jiska fayda aapko YouTube par milta hai.maine khud apne Info Tech Hindi ke YouTube channel ke subscribe button ko apne sbhi blogs par lagaya hua hai.or mujhe iska kafi jyada fayda bhi mila hai. YouTube Subscribe button lagane se ek taraf mere YouTube channel par subscribers increase hue hain ,vahin dusra fayda ye bhi mila hai ki mere YouTube channel ke videos ko bhi more views mile hain.isliye meri nazar me iske bde hi fayde hain.agr aapka apna YouTube channel bnaya hua hai to.

How to add YouTube subscribe button to blogger blog

ab ham YouTube Subscribe button ko apne blogs or website par lagane ka tarika bhi samajh lete hain.
Or yahan par aapko sign in karna hai.sign in karne ke baad aapko apne YouTube channel name ya uski ID ko likhna hai.
Sabse pahle Google developers ki site ko open Karen ,uske baad sign in kren.or fir channel name or ID ki jagah par apne YouTube channel ke naam ya uski ID ko iske bilkul samne likhen.


Ab My application listens for button events ke samne check ka nishan lga den.ab ye aapko Preview dikhayega.or Preview ke just niche aapko ek code milega.aapko isi code ko copy karke apni blog or website par lagana hai.

Agr aap blogger blog use karte hain to aapko blogger ke dashboard par jana hai.uske baad layout par jana hai.or fir Add a gadget par click karna hai.or iske HTML JavaScript par click karna hai.or uske title me Subscribe our channel likhna hai.or Content me aapko ye code jise aapne Google developers ki site se copy kiya tha ise paste karna hai.or save kar dena hai.bas ho gya.


Ab aapko apne blog par YouTube ka Subscribe button nazar aana shuru ho jayega.or ise lagan eke one month ke baad hi aap check karke dekhen ki aapke YouTube channel par kitne jyada Subscribers increase hue hain.ummid karta hun ki aapko iska tarika samajh me aa gya hoga.

Isi subject par men eek video bhi bnaya hai jo ki Hindi me hi hai.agr aap chahen to is video ko dekh kar bhi iska practical tarika samajh sakte hain.








Info Tech Hindi        

कोई टिप्पणी नहीं

Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.

Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.