YouTube Videos Ko Kaise Download Kare यू ट्यूब विडियो कैसे डाऊनलोड करें

How to download any YouTube video tricks
How to download any YouTube video 3 killer tricks 
Dear readers , aaj ham baat karenge How to download any youtube video without any software’s. 3 best tricks and ways me aapko btaunga ,jinse aap kisi bhi youtube video ko without any software ke bhi download kar sakte hain.aaiye dekhte hain ki ve kaun se best 3 ways hain.

1st way to download YouTube video

Pahla tarika ye hai ki aap jis video ko bhi download karna chahte hain use open kren or uske URL link ke sath 10 likh kar enter kar den.ye aapko www. Ke baad hi likhna hai.uske baad aap 10YouTube ki website par pahunch jayenge jahan aapko sbhi format me videos download karne ki sahulat mil jayegi.aap jis format me bhi chahen download kar sakte hain.

Example: https://www.10youtube.com/

2nd way to download YouTube video

Dusra tarika ye hai ki aap jis video ko bhi download karna chahte hain uske URL link ke sath ss likh den.ise bhi aapko www. Ke baad hi likhna hai.uske baad aap savefromnet ki website par pahunch jayenge.jahan aapko us video ko alg alg format me download karne ki sahulat mil jayegi.

Example : https://www.ssyoutube.com/

3rd way to download YouTube video

Tisra tarika bhi isse milta julta hi hai lekin isme aapko www.youtube ke baad me inmp4 likhna hai.uske baad aap youtubeinmp4 ki website par pahunch jayenge jahan aapko in videos ko kisi bhi format me download karne ki sahulat mil jayegi.

Example : https://www.youtubeinmp4.com/ 

Ye 3 vo tricks hain jinki help se aap kisi bhi video ko YouTube se aasani se download kar sakte hain.lekin ye yaad rhe ki YouTube se videos ko download karna Jurm hai.agr ye allow hota to YouTube khud bhi hme download karne ki sahulat de deta.lekin YouTube ki official website ki taraf se downloading ki koi sahulat nhi di gyi hai.

Yahan me aapko ek baat or btana chahunga ki jis YouTube channel ke bhi videos aap download karte hain to isse us channel ko nuksan uthana padta hai.kyun ki YouTube  sbhi You Tubers ko  views or watch timing ke hisab se pay karta hai.isliye jab bhi koi viewers kisi bhi YouTube channel ke videos ko live online watch karta hai to usse jiska channel hai use fayda hota hai.

Pahle YouTube sirf views ke hisab se pay karta tha.lekin ab YouTube watch times ko bhi count karta hai ,or views ko bhi ,uske hisab se jiska channel hai uski earning tay hoti hai.

YouTube pr jin logon ke bhi channel banaye hue hain unme se jyadatar log YouTube se online earning karne ke liye hi bnate hain ,aise me agr unke videos ko download karke dekha jaye to isse unko nuksan uthana padta hai.

YouTube ki nazar me jo log online videos ko dekhte hain vo log count hote hain,abhi tak downloading count nhi hoti.agr videos ki downloading bhi count hona shuru ho jati to log YouTube se ab se bhi jyada rupay earn kar lete.kyun ki india me jyadatar log videos ko download karke hi dekhna pasand karte hain ,halaki download karne ke baad kisi bhi video ko vo ek ya do baar se jyada dekhte bhi nhi hain.bas unhe download karke channel ka nuksan kar dete hain or apne mobile ki memory bhi full kar lete hain.or aakhir kaar jab time milta hai to un videos ko delete bhi kar dete hain.
Agr aapko videos ko ek do baar hi dekhna hai to unhe online hi dekh len.YouTube bhi to yahi chahta hai ki jyada se jyada log online YouTube channels ke videos ko dekhen.taki kisi ka bhi nuksan na ho.

Ye sab baaten aapke liye shayad nayi hongi.me ek taraf to aapko YouTube videos ko download karne ke tricks bta rha hun ,or dusri taraf inhe download karne ke nuksan bhi bta rha hun.

Ye sab isliye ki hme sikke ke dono pahluon ko dekhna chahiye.uske baad ye tay karna aasan hota hai ki hmare liye videos ko download karke dekhna jyada behtar rahega ya online watch karna jyada best rhega.

Khair jaisa aapko munasib lge vaisa hi aap kren.aaj jo tricks mene aapko btayi hain unke bare me men eek video bhi bnaya hai use aap info tech hindi ke YouTube channel par dekh sakte hain.niche us video ka link bhi diya gya hai aap chahen to is par click karke bhi dekh sakte hain.

Info Tech Hindi 


कोई टिप्पणी नहीं

Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.

Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.