Android Me Auto-update Apps Kaise Disable Kare एंड्राइड फोन में ऑटो अपडेट एप्स को कैसे बंद करें

How to disable auto-update apps in Android mobiles Google Play store
in Hindi,Android mobiles me Apps ko auto update kaise disable kren.
Dear readers ,aaj kal har koi Android mobiles use karte hain. Digital marketing ke is daur me android mobiles ka use kafi jyada badha hai.internet par android se related bahut sari tips and tricks bhi share ki jati rahti hain.aaj ham jis trick ki baat kar rhe hain isse hare k android users ka wasta jarur padta hai.vo hai android phones me apps ka auto updates hona.


Yahan mujhe kapil sharma ka ek joke yaad aata hai ,ki jaise hi android mobile me wifi on kro to sbhi apps aise tut kar padte hain jaise mithai par makhiyan.same yahi haalat hoti hai jab aap apne android mobile par wifi ko on karte hain.
Har ek android mobile me settings ka option to hota hi hai vahan se aap apps auto updates ko hmeshan ke liye off kar sakte hain.or jab chahe dubara on bhi kar sakte hain.aaiye iska tarika bhi samajh lete hain.

How to disable auto-update apps in Google Play on Android 


Sabse pahle  Google play Store Open kren.or Navigation Drawer ko Swipe karke Setting Option Choose kren or Auto-Update Apps par Click kren.
Isme aapko 3 Options nazar aayenge.

Do not auto-update apps

Agr aap Do not auto-update apps Option Choose karte hain to iska matlab hai ki aapko Apps Auto Update nhi chahiye. Jab tak ki aap khud na chahen.yahi sabse best karta hai.

Auto-update apps at any time

Yani kisi bhi time par aapne android apps auto update ho sakte hain,jo ki ham nhi chahte.
Data charges may apply and Auto-update apps over Wi-Fi only
Or ye tista wala option lagbhag har mobile me by default hota hi hai ,jab bhi aap Wi-Fi on karte hain to apps apne aap bhi updates hona shuru kar dete hain.
Inme sabse best ye hai ki aap first wala option hi select kren.or auto updates ko disable kar den.

How to Enable update android apps on Google Play Store 

Agr aapne apne android phone me auto updates ko disable kiya hua hai to aapko ghabrane ki jarurat bhi nhi hai ,aap jab chahe ise enable bhi kar sakte hain.or dusra tarika ye bhi hai ki aap Google Play store me jakar my apps me jayen vahan aapko apne android mobile me install kiye gye sbhi apps mil jayenge or jo apps updates maang rhe hain unhe aap eke k karke bhi updates kar sakte hain.

Isse aapka mobile internet data bhi save hoga.or aapko internet use karte time problems ka samna bhi nhi karna padega.



Agr aapko ye jaankari pasand aayi to ise apne friends me share karna na bhulen.or hmari kosishon ko agr aap like karte hain to social media par hmare sath jud sakte hain.Hme bhi apne friends list me add kar sakte hain.



Thanks for coming

Info tech Hindi   


कोई टिप्पणी नहीं

Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.

Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.