Google AdSense PIN verification Kaise Kare गूगल एडसेंस पिन वैरिफिकेशन कैसे करें

Google AdSense address verification PIN in India
How to do Google AdSense address verification PIN in Hindi
How to address verify on google adsenseGoogle AdSense par Address verification kaise kren.
Dear readers ,Google AdSense Google ki ek advertisements service hai ,jo ki blogs or websites par apne clients ke adds lgati hai.or jinki blogs and websites par ye adds lgaye jate hain ,unhe iske badle me earning di jati hai.


Agr aapka apna blog or website hai ,to aap bhi Google AdSense par apna account bnakar uske adds apni sites par lga sakte hain ,or usse earnings kar sakte hain.
Google AdSense par jab aapki Earnings 10$ ho jati hai ,tab aapko apna address verify karna padta hai. address verification ke baad aapke account me aapki earnings 100$ tak pahunch jati hai ,to aap ise seedhe apne benk account ya fir western union ke jariye haasil kar sakte hain.ye sara proses bahut hi aasan hai.

Aaj ham baat karenge ki Google AdSense account ka address verification kaise kren.

How to Send Google AdSense address Verification PIN to your Address?

Jab Aapke AdSense account me aapki earning 10$ tak pahunch jati hai tab aapko ek massage ‘’ Your Payments are currently on hold because you have not verified your address’’ Nazar aata hai.
Ye nazar aane ke baad aapko action par click karna hai. ya fir aap adsense par   www.google.com/adsense/payments par click karke bhi yahan pahunch sakte hain.yahan aapko PIN verification request bhejni hai.iska tarika ye hai ki aap
ab payee profile me edit ka option hoga uspar click kare ya left sidebar me payee profile par click kare. Yahan aapko apna diya hua address nazar aayega ,use edit karke dubara check kar len.agr aap isme koi changing karna chahen to abhi bhi kar sakte hain.agr aapki fill ki hui sbhi information sahi hai ,to aapko ise just save karna hai.or kuch bhi nhi karna hai.save karte hi aapki taraf se Google AdSense ko PIN verification request pahunch jati hai.


Save karne ke baad aapke diye hue address par Google AdSense ki taraf se ek PIN Verification latter (Personnel Identification Number)  bheja jata hai.jisme aapko bde bde words me aapka pin number diya hua hota hai.

Google AdSense ka PIN Verification latter milne me aapko 7 days se lekar 3 months tak bhi lag jate hain.ye depend karta hai ki aapka address city me ya kisi village me kis location par hai.uske hisab se hi time lagta hai.agr sahi location par hai to aapko within a week hi mil jata hai.

Agr aapko fir bhi nhi milta to aap 3 baar tak try kar sakte hain.uske baad aapko online address verification karna padega.3 baar ke baad bhi agr aap try karte hain to aapka Google AdSense account Disapproved  bhi kiya ja sakta hai.isliye poori ahtiyat ke sath aapko ye work karna hai.

In my case mujhe Google AdSense ka PIN Verification latter 5 days me hi mil gya tha.iski vajah my address good location hai.

How to Verify your Google AdSense Account Address using PIN ?

Google AdSense ka PIN numer aapko ek postcard ke roop me aapko milta hai.jisme upar Google AdSense likha hua hota hai.or is postcard ke piche aapka diya hua address likha hua hota hai.or iske andar ek PIN verification number diya hua hota hai.sath hi PIN verification ka tarika bhi likha hua hota hai.taki Adress verification ke liye aapko koi bhi problems na aaye.







Jab aapko ye postcard mil jaye to aap sabse pahle apne Google AdSense account me login kren or uske baad  www.google.com/adsense/payments par jayen yahan aapko niche ki taraf  enter your PIN number likha hua nazar aayega.isme aapko vo PIN number likhne hain jo aapko Google AdSense ki taraf se bheje gye hain.uske baad Verify par click karna hai.

Is tarah aapka Address verify ho jayega.uske baad aapko ‘’ Your Payments are currently on hold because you have not verified your address.’’ Notification Massage nazar aana band ho jaye to samajh lijiye ki aapne successfully apna address verify kar liya hai.ab aap 100$ hone ke baad apni Google AdSense ki earnings ko apne account me direct send kar sakte hain.

I hope ki aapko iska poora tarika samajh me aa gya hoga.fir bhi agr aap isse related kuch bhi question karna chahen to comment box me kar sakte hain. within 24 hours me aapko reply karunga.

What is google AdSense information in hindi 


Agr aapko ye post pasand aayi to ise apne friends me share karna na bhulen.or agr aapko kisi bhi tarah ki blog or AdSense se related help ki jarurat pde to aap email kar sakte hain.
Agr aapko hmari koshishen pasand aa rhi hai to hamare sath social media par jarur juden.


Info Tech Hindi 


कोई टिप्पणी नहीं

Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.

Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.