Twitter Hashtag Kya Hai or Hashtag Ko Kaise Use Karte Hain ?



Twitter Hashtag Kya Hai or Hashtag Ko Kaise Use Karte Hain ?
What Is Twitter  Hashtag and How to use it.
Dear Readers , Aaj ham baat karenge ki Twitter par Trend karne wala ye Hashtag Kya hai ? or Hashtag ko kaise use kiya ja sakta hai.Hashtag # is tarah ka ek keyword button hai ,lekin iska work or fayde kafi bde hain.

Twitter Hashtag Kya Hai what is Hashtag
Twitter Hashtag Kya Hai or Hashtag Ko Kaise Use Karte Hain ?

Hashtag ko Social Media Khas kar Twitter par ek Tag yani Label ke roop me use kiya jata hai.yani jab bhi aap hashtag ke sath koi posts share karte hain to vo post us topic ke internet label ke sath automatic attach ho jati hai.jiska fayda share karne walo ko traffic ke roop me milta hai.

Hashtag Kya Hai or Iske Kya fayde Hain ?

Social Media par daily kuch na kuch topics trend karte rahte hain.us topics ko hashtag ke sath share kiya jata hai,taki log jyada se jyada us topic ke sath juden.or us topic se related apni raay bhi den.ya us topic par ho rhi baat chit me shamil hon.

Aap kisi bhi Topic ke hashtag par click karenge to jitney logon ne bhi us topic par tweet kiye honge vo sbhi aapke saamne honge.inme se jo new tweets hain vo pahle nazar aayenge or old tweets baad me nazar aayenge.
Is tarah koi bhi internet users Hashtags ko ek label ki tarah use karke usse related jaankari ko ek sath dekh sakta hai.asl me Internet par Hashtag ke Robot ka kaam karta hai.jo ki search kiye gye kisi bhi topic ya subject ko highlight kar deta hai.jisse us topic ko search karne wale users ko aasani ho jati hai.

Hashtag ke sath share ki gyi hare k post us topic se related Label me chali jati hai.jab koi bhi users use search karte hain to ye posts us label ke sath show hone lagti hai.jisse us post par logon ka dhayn jyada jata hai.

Social Media Par Hashtag Kaise Use Kren ?

Social media par Hashtag ko use karna behad aasan hai.jaise ki aaj social media par #Modi ye topic trend kar rha hai to aap bhi koi bhi post is topic ya Hashtag ke sath karenge to aap apne aap hi is topic par charcha kar rhe logon me shamil ho jayenge.is tarah aap bhi daily trends topics me hissa le sakte hain.or apni raay bhi isi tarah de sakte hain.
Kai baar koi user jane anjane me kisi topic ko Hashtag ke sath share kar deta hai ,or log ek ke baad ek usi Hashtag ko use karte hue us topic par posts karne lagte hain to vo topic trend kar jata hai.or kisne ise trend bnaya iska pta lgana bhi mushkil ho jata hai.

World me sabse jyada Facebook ko use kiya jata hai.lekin Hashtag Twitter ki sabse bdi taakat banker ubhra hai.Hashtag ke sath ki jane wali hare k posts search engines par jaldi rank kar jati hai.or uske results bhi us label ke sath show hone lagte hain.
Sabse jyada Hashtag Twitter par use kiye jate hain ,uske baad Facebook ,Google Plus ,Raddit vgaira par bhi use kiye jate hain.
Aap kisi bhi topic se related information search karna chahte hain to Hashag ke sath search krenge to aapko sabhi results usi topics se related mil jayenge.khas kar aap Facebook Google Plus or Twitter par is tarah search karke dekhen aapko best results milenge.

Bloggers Use Hashtag for Increase Blog Traffic

Hashtag bloggers ke liye kisi vardan se kam nhi hai.bloggers apne blog posts ko social Media par share karte hi rahte hain.aise me agr vo unhe Hashtag ke sath share krenge to unki posts bhi internet par labels Robots me chali jayegi. Label Robots hmeshan latest posts ko pahle or old ko baad me show karte hain.
Aapki post label robots me jane se aapko ye fayda hota hai ki jab bhi koi us topic ko search krega to aapki posts bhi usi label ke sath search par aa jayegi.
Hashtag full sentence ke liye use nhi kiya ja sakta.

Jaise ki #HashtagKyaHaiOrIseKaiseUseKiyaJaSaktaHai.

Iski jagah aap is tarah kren #HashtagKyaHai ya fir #GoogleAdsense

Isi tarah aap Hashtag ko use kar sakte hain.Jab bhi aap apne posts ko Facebook Google Plus or Twitter par Share kren to is tarah Hashtag ke sath share kren yakinan aapko iska fayda milega.agr aap kisi trend topic par post likhte hain or use is tarah Hashtag ke sath share kar dete hain to aapki post vaise hi rank kar jayegi.
Ek sath alg alg jyada Hashtags use na kren usse users confuse ho jayenge ki aapki post inme se kis topic par hai.isliye 2 ya 3 se jyada hashtags bhi use na kren.
agr aapne Google Plus par had se jyada Hashtags use kar liye to Google aapko Spammers me daal dega.isliye jyada hashtags use na kren sirf jarurat ke hisab se 2 ya 3 ya 4 tak hashtags bnakar utni hi tarah ke milte julte topics ko hashtag ke sath share kar den.

Ek hi Hashtag ko ek hi post me ek se jyada baar use na kren.jaise #SEO #SEO do baar likh diya or share kar diya to bhi aap ko spammers samajh liya ja sakta hai.hmeshan hashtags ko ek dusre se alg lekin topics milte julte rakhen.

What is Hashtag and How to Use Hashtag ?

Hashtag # internet par khas kar Social Media like Facebook Google Plus or Twitter par ek Label ka kaam karta hai isliye ek post me had se jyada labels use nhi kar sakte.ek taraf jahan hashtags ko use karne ke itne fayde hain vahin par iske side effects bhi ye saamne aate hain ki inke miss use karne ki vajah se kai logon ko internet khas kar social media par spammer samajh kar ban kar diya jata hai.
Hare k cheez ki ek limit hoti hai had se jyada har cheez nuksan hi karti hai.isliye aap ise fayde ke liye use kren or real use kren or isse fayda uthayen ,ise miss use na kren.hashtag peoples ke fayde ke liye hai ,jo ki hashtags ke sath ki gyi posts ko ek alg label ke sath jodta hai ,or use rank karta hai.

I Hope ki Aapko ye post pasand aayegi.or agr aap bhi kisi trend me hissa lena chahte hain to aap hashtags ko use karte hue posts kar sakte hain.or agr aap apni posts ko bhi ek label dena chahte hain to apni posts ke sath hashtags ko use kren.
Agr aapko Hashtag use karne me koi problems aaye to aap Google Plus par mere share kiye gye posts ko dekh sakte hain.unme me Hashtags ko use karte hue share karta hun.
Agr aapko ye post pasand aaye to ise apne Friends ke sath share karna na bhulen.or mere sath social media par judne ke liye


Aamir Ali
Info Tech Hindi 

कोई टिप्पणी नहीं

Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.

Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.