IPhones/Android Lost Smartphones ko Online Kaise Find Kren ?



IPhones/Android Lost Smartphones ko Online Kaise Find Kren ? Dear Readers ,Agar kabhi smartphone gum ho jaye to badi muskil ho jati hain . kai baar ye hamse gum ho jata hain to kai baar rakhkar bhool jate hain .turnt kahi call karna ho ya internet par kuch search karna ho us wakt phone na mile to badi problem hoti hain .


Find your IPhones/Android Lost Smartphones
IPhones/Android Lost Smartphones ko Online Kaise Find Kren ? 

 achi baat ye hain ki Google ne ek esa feature banaya he jisse aap behad aasani se apna phone Find kar sakte hain. Aaj ki post me ham missing smartphone ko kaise find kren iska tarika seekh lete hain.

How to Find Your Lost Smartphone Online for Free?

-         Ye bahut hi Aasan hain. Sabse pahle Google ka home page Open kren yahan par us Google account id se sign in kijiye jo aapne apne Android Smartphone me Register ki hain .
-         Iske baad Google homepage ki search baar par type kar ke search kijiye “Where’s My Phone?” jese hi aap ye search karenge aapke samne ek map khul jayega .
     
      Slow Android Mobile Phones Ki Speed Kaise Increase Kren ?
   
     Free wireless Internet Kaise Use Kren ? Top 5 Apps find Any Wi-Fi Password

-         Is map me kuch hi der me aapko apne phone ki location dikh jayegi .Google apke smartphone ki location tress karega or batayega ki wo kaha hain.

-         Agar aap smartphone ko ghar par hi rakhkar bhool gaye hain aas pass kahi gir gaya he to aap ise full volume par ring karwa sakte hain. Agar aapne phone silent mod par bhi rakha hoga tb bhi ye feature kaam karega .bas battery khatm nahi honi chahiye Ring karne ka option aapko map ke niche dikai dega.

    Ek Mobile Me Four What’sApp Accounts Kaise Chalayen ? What app Tricks

    Apne Mobile Number Bhool Gye Kaise Pta Pgayen –Mobile Tricks

-         Ye puri parkirya Google ke device manager ka ek hissa hain .aap sidhe Google device manager par jakar bhi esa kar sakte hain . waha par aapko phone ko lock karne or contact udane ka bhi option milega .

IPhone user ke liye google ki “Where’s My Phone?”  Trick kaam nahi karegi vese iPhone ke liye bhi esa ek feature hain . aap “I cloud” ki madad se apna iPhone dhund sakte hain.

I cloud open kar ke (www.icloud.com) or apni us apple id ke jariye login Karen. jisse aap apna iPhone use kar rahe hain.

Yaha par aap ko kai saare app icon dikhai denge .in hi me se ek Find iPhone par click Karen.
Find iPhone par click karne ke baad aapko map dikhi dega . jisme aap ke iphone ki location dikhi ja rahi hogi .
Dhayan dene wali baat ye he ki Android or iPhone dono par ye feature tabhi kaam karta hain .jab device me battery ho or wo internet se connect ho.

I hope ki aaj ki post or ye information IPhones/Android Lost Smartphones ko Online Kaise Find Kren ? aapke liye useful sabit hogi. Is post ko apne friends ke sath share karna na bhulen.

Social media par mere sath judne ke liye


Aamir Ali

Info Tech Hindi 

कोई टिप्पणी नहीं

Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.

Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.