Dubai Jobs Ke Liye Free Online Apply Kaise Karen ?
Dubai Jobs Ke Liye Online Free Apply Kaise Karen ?
How to Apply Online for Free Jobs in Dubai
दुबई में फ्री जॉब्स पाने के लिए ऑनलाइन कैसे एप्लाय करें
Dubai Jobs Ke Liye Free Online Apply Kaise Karen ? |
Dear readers , Jaisa ki aap sbhi jo ki mujhe pichhle kai
years se follow kar rhe hain jaante hain ki Me Pichle 8 years tak Dubai me hi
Job karta tha.abhi 2 years se India me hi hun.mene visa cancel kar diya or
yahin aakar apni hobby ko apna business bnakar works karna start kar diya.
Aaj ki Post ko lekar me kafi Excited isliye bhi hun ki ye
post meri favorite country Dubai UAE ko
lekar hai.aaj ki post me me aapko Dubai Jobs ke liye online apply karne ke bare
me btaunga.
Hmare Mulk India me log Gulf Jobs ko lekar kafi pareshaniyon
ke shikar hote hain.or kai log gulf jobs ke naam par dhokha dhadi ka kaam karte
hain.or kai log isme barbad bhi ho chuke hain.
Gulf Jobs ke liye agr aap kisi travel agent ke chakkar me
padte hain to vo aapse bahut jyada rupay bhi lenge or uske baad bhi ye sure nhi
hai ki aapko jahan bheja jayega vo company bhi best hai ya nhi.
How to Get Jobs In Gulf Country from India
Ek baat aap sbhi apne mind me rakhen ki Dubai or dusri gulf
country me working visa free hota hai.iske koi extra charges nhi hote.aapko
sirf ticket hi kharidna padta hai.but kai log big companies se free visas hasil
kar lete hain or unhe sell karke lakhon rupay kma lete hain.
Dubai me Jobs hasil karne ke liye aapko pass apni country ka
Passport hona chahiye.uske baad aap kisi bhi company ka visa lgakar jobs ke
liye ja sakte hain.
Agr aap India se Dubai Jobs ke liye jana chahte hain to
sabse pahle aap apna Resume create kren.
yani CV bnayen.aap jitni best Resume
bnayenge utne hi jyada aapke jobs ke chance badh jayenge.is resume me aapke
bare me hare k information likhi hui honi chahiye ki aapki education kya hai or
aapka experience kis fild me kya or kitne years ka hai. Aapko kaun kaun si
language aati hai.vgaira vgaira.
Learn Perfect Language and Get Easy Dubai Jobs
Dubai ki national language Arabic hai.lekin yahan English
and Hindi Urdu bhi boli jati hai.iski vajah yahan par Indian and Pakistani kafi
jyada hain.or ye log bhi achhi posts par work kar rhe hain.
Mere hisab se Dubai me Jobs ke liye aapko English language
reading writing and speaking to aani hi chahiye.kyu ki English ek International
language hai jo ki sari duniya me boli or samjhi jati hai.
Agr aap kisi professional Jobs ke liye Apply karte hain to
aapko English better aani chahiye.varna aapko professional jobs nhi mil
skegi.Dubai me offices me aaj bhi jyadatar English language hi boli jati
hai.iske alawa Arabic bhi boli jati hai.
Dubai Jobs Ke Liye Arabic language Kaise Seekhen
Dubai me Jobs ke liye aapko Arabic language bhi seekhni
padegi.jo ki jyada mushkil nhi hai.agr aap ise apni country se hi seekh kar
jate hain to aapko easy hoga.lekin agr aap Arabic nhi bhi seekh kar jate to aap
dubai jakar bhi seekh sakte hain.
Mene Arabic language Arabic peoples ke sath rahkar hi seekhi
hai.isme thoda time jarur lag sakta hai.lekin yahan dubai me aane ke baad aap easily
ise seekh lenge.lekin agr aapko Arabic nhi bhi aati tab bhi aap English
language me bhi apna kaam chala sakte hain.Starting me ham log bhi aisa hi
karte the.
Arabic language seekhne ke liye meri nazar me sabse best
YouTube hai.Youtube par aap kisi bhi language ko easily seekh sakte hain.Arabic
learning ke bhi kai tutorials aapko yahan par mil jayenge.jinhe dekh kar aap
aasani se Arabic seekh sakte hain.
Dubai Jobs Ke Liye Skilled Kya Honi Chahiye ?
Me khud kyu ki professional Job karta tha isliye aapko professional
Job ki Skilled ke bare me hi guide kar sakta hun.mere hisab se Dubai me sabse
jyada Jobs Professionals me aapko Draftsman ki milengi.jinme AutoCAD me complete
works kiye jate hain.
Yani agr aapne AutoCAD course kiya hua hai or aap AutoCAD 2D
3D dono ke bare me achhi malumat rakhte hain to draftsman ki Job aapko easily
mil jayegi.
Iske AutoCAD me hi Buildings vgaira ke Maps bnaye jate
hain.kyu ki yahan Building line works kafi jyada hai to building line me aapko
sabse jyada Jobs bhi isi ki milengi.
Iske alawa yahan Engineers ki bhi sara saal demand bni rahti
hai.chahe vo electrical, mechanical, ya construction Engineers hon ,inhe dubai
me kafi jaldi Jobs mil jati hain.
Engineer’s ke alawa Secretarial, Accountant, Office Boys , Managers
,Teachers ,Police man ,vgaira jaisi Jobs bhi aasani se mil sakti hain. Kyu me
mene dekha hai In posts par jyadatar Indians and Pakistani peoples hote hain.or
tisre Filipinas peoples bhi hote hain.
Labors me all type Labors ki demand rahti hi hai.aap kisi
bhi labor work ke liye apply kar sakte hain.inme mason ,electricians ,plumbers
, Steel fitter vgaira ki Job vacancies nikalti hi rahti hain.
Dubai Jobs Ke Liye Online Apply Kaise Kren ?
Dubai Jobs ke liye online apply karne ke liye kai aise best consultant
hain jahan aap apna resume send kar sakte hain.or kai aise bhi consultant bhi
hain jahan par aapko apne name ka registration karna padega ,or apni profile
bnane ke baad unme apni complete details likhni hogi ,taki koi bhi company apni
requirement ke hisab se aapko chance de ske.
Yahan Dubai me jyadatar companies apni requirements ko Job
Consultant Service provide karne vali companies ko deti hain ye Job Consultant
inhe inke right candidate available karwate hain.in consultant ki website par
kai users apna registration karte hain unme se ye select karke companies ko
provide karwate hain.
Kai Jobs Consultant aise hain jinki settings hare k countries
me rahti hai to inhe job hi job requirement milti hain to ye use aage forward
kar dete hain jisse inhe right candidate mil sken.
Me aapko Dubai ki Top Consultant ke website address de rha
hun aap yahan online apply kar sakte hain.
Top Job Consultants for Dubai UAE Jobs for Apply Online
Ye ek aisi Job Consultant hai jo ki daily updates hai.yahan
par daily Jobs requirements aati hi rahti hain.aap ise daily morning check
karte rhen or aap apni dream jobs ke liye apply karte rhen.
Is Job Consultant website ki dusri khas baat ye hai ki yahan
aapko companies ke direct email address bhi mil jate hain.jinhe aap direct apne
resume ko email kar sakte hain.yahan aap Jobs ko Search bhi kar sakte
hain.dubai me sabse jyada job vacancies ke Ad’s Gulf News ko hi diye jate
hain.or ye Gulf news ka hi ek online job portal hai.
Naukri Gulf mujhe Dubai ki Job Consultant to nhi
lagti.shayad ye India ki hai ya fir ise Dubai se handle kiya ja rha hai.ye
dusri aisi Job Consultant hai jahan aap ek baar registration karte hain uske
baad ye aapko email ke jariye Job requirement send karte rahte hain.
Iske result bhi kafi positive mile hain.kafi sare log aise
hain jinhe is consultant ke jariye hi Dubai me job mili hai.
Ye Dubai ki hi ek Job Consultant hai yahan aap apni
manpasand Jobs ko search bhi kar sakte hain or apply bhi kar sakte hain.
Ye Consultant Talented Peoples ko Dubai me Jobs ke liye
mauka deti hai.bas aapko ise lagataar follow karna hai ,iski updates par nazar
rakhni hai.
Ye bhi Dubai ki ek famous Job Consultancy hai.isme kai high
profile companies apni requirements deti rahti hain.yahan bhi aap Job ke liye
online free me apply kar sakte hain.
Ye bhi Dubai ki ek bahut hi bdi and famous Job Consultancy
hai.inka office Dubai Jhumera me hai.me personally iske office me gya tha.inke
pass bhi kafi jyada requirement aati rahti hain.ye bahut hi supportable
hain.yahan kai Indians work karte hain.mene dekha hai ki ye log kai logon ki
help karte rahte hain.
Iske bare me mujhe lagta hai ki aap online ki bazaay offline
khud jaakar try kren ,or apply kren.ye log within 30 days hi aapko jobs provide
karwa dete hain.bas aapki yahan par achhi pahchan honi chahiye.ya koi reference
hona chahiye.
I hope ki ye post aapke liye useful sabit hogi.mene is post
ko apne Dubai experience ke hisaab se likha hai.mujhe hi pta ki in job
consultant ki world rank kya hai.but mene inke result kafi positive dekhe hain.
Yahan chalte chalte me aapko suggest karna chahunga ki agr
aapko online apply karne ke baad bhi Dubai me Jobs na mile ,to aap ek baar
visit par Dubai me in consultant ke office jakar bhi try kar sakte hain.
Kai peoples visit par Dubai jaakar apne liye jobs find karte hain.or visit visa finish hone se pahle hi unko Jobs mil jati hain.ye ek best tarika hai.isme risk jarur hai ki shayad aapko Job nab hi mile.but milne ke chances jyada rahte hain.bas aapko sachhe dil se koshish karni padegi.
Ye post Dubai Jobs Ke Liye Online Free Apply Kaise Karen ?
Aapko kaisi lgi ,ise apne friends ke sath share karna na bhulen.
Mere sath Social Media par judne ke liye
Aamir Ali
Info Tech Hindi
कोई टिप्पणी नहीं
Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.
Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.