Online News Portal News Site Se Paise Kaise Kmayen ?
Online News Portal News Site Se Paise Kaise Kmayen ?
How to Start Online News Portal Website and Make money
online
Dear readers, Internet par bahut se log blog likh kar Google
AdSense and Affiliate marketing vgaira ke jariye online rupay kmate hain.online
rupay kmane ke maamle se sabse jaldi or sabse powerful success hone ka tarika
online news portal site hai.online bahut se log apni news sites chala rhe
hain.aaj ki post me me aapko online news site se earnings karne ke tarike
btaunga.
Online news site chalane ke liye aapke pass journalist ke diploma hona jaruri nhi hai or
na hi aapko kisi registration ki jarurat hai.bas aapko ek journalist ki tarah
news create karna aana chahiye or aapke pass writing skilled ka hona jaruri
hai.
Agr aap pahle hi se writer hain or apne desh ke halaat or
politics vgaira par padhne ka shauk rakhte hain to aapke liye isme success hona
mushkil nhi hoga.
News field me vahi log sabse jaldi kamiyab hote hain jinki
dilchaspi news vgaira me jyada hoti hai.mene yahan tak dekha hai ki jo log news
padhte rahte hain unke liye news likhna news create karna koi mushkil kaam nhi
hota.aaiye dekhte hain ki isme ham kis tarah kamiyabi hasil kar sakte hain.
Crate Your Own News Portal Site and and write news
Agr aapki writing skilled best hai or aapko news likhna aata
hai to aapko kisi newspaper ke liye ya kisi or news portal ke liye likhne ki
jarurat nhi hai.aap apna khud ka online news portal start kar sakte hain.
News Portal Online News Site ko kahte hain.ise aap kam se
kam rupay me bhi start kar sakte hain.agr aap blogger par starting karte hain
to aapko apne news portal ke liye ek domain name buy karna pdega.jo ki 99 rupay
se lekar 600 rupay per year tak aapko mil jayega.
Uske baad aap use apni blogger site par lgakar apni site ko
ek news portal ki tarah design kren or news likhna start kar den.daily kam se
kam 10 news jarur likhen.agr aap jald kamiyab hona chahte hain.
Online News Portal Site Ke Liye Requirement
Meri guide line ke hisab se aapke pass Facebook ,Google Plus
,Twitter par kam se kam 5,000 friends
hone chahiye.or iske sath hi aapko Facebook par dusre news group and Google
Plus par News communities ko join karna hai.jahan aap apne news portal ki news
updates ko share kar sken.
Ye sab karne ke baad aapka kaam kafi easy ho jayega.ab aap
ye dekhen ki aap apni city ka local online news portal bnana chahte hain ya fir
national news portal bnana chahte hain. Local news portal bnane se aapko jyada
fayda hoga ,vo is tarah ki ek to aapka online news portal aapki city me jald
popular ho jayega.
Dusra aapko apni city ke kai logo se Advertisements mil
jayenge.jinka aap monthly charge lekar apni site par banner ke roop me lga
sakte hain.or per month aap unse is ad ke rupay le sakte hain.lekin ye tab hoga
jab aapki news site aapki city me popular ho jayegi.
Aapki news site aapki city me popular tabhi ho skegi jab
aapki city ke jyadatar log online aapki site par news padhne aayenge.or unhe
lane ka tarika bhi me aapko bta deta hun.
Apni city ke jyada se jyada logon ko aap apne sath Facebook
Google Plus Twitter vgaira par join kren or unhe friends bnayen.taki aap apni
city ki koi bhi news ko share kren to ye log use jarur padhen.
How to Make Money with Online News Portal Site?
Online news portal site se rupay kmane ke kai tarike hain.ye
sbhi me aapko bta deta hun.iske liye chahe aapki news site local city level ki
ho ya national level ki ho.kisi bhi news site par in ways ke hisab se aap
online rupay kma sakte hain.
1.Google AdSense
Ye sabse famous tarika hai.aap apni news site ke liye Google
AdSense par apna account create karke Google AdSense ke Ad’s apni site par lga
sakte hain.or usse paise kma sakte hain.news site par vaise bhi traffic jyada
aata hai to aapko daily ke kafi jyada clicks mil jayenge or AdSense se aap
daily ke 5 se 10$ tak aasani se earnings kar sakenge.
2.Affiliate Marketing
Affiliate marketing yani online sell karna.iske liye aap
Flipcart ,Snapdeal,Amazon,Jaisi E commerce
site ke affiliate programs ko join karke inke products ko apni news site
par sell kar sakte hain.
News site par ye work bahut hi easy tarike se kiya ja sakta hai.aap in sites ko join karke apni news site par inke products ka reviews likhen or sath hi buy karne ke liye apna affiliate link bhi de den.ab is link par click karke koi bhi un products ko buy karega to aapko un sbhi ka commission mil jayega.is tarah aap is work se per month achhi khasi earnings kar sakte hain.
Jitni bhi news site hain vo in products par reviews likhte
hi hain agr sath hi affiliate links bhi de den to unko bahut fayda ho sakta
hai.
3.Local Advertisements
Agr aapki news site jaisa mene btaya ki ek hi city ki local
site hai or apni city ki popular site bhi hai to aapko apni city se kafi
monthly Advertisements mil sakte hain.kyu ki har local business man ye chahega
ki uske apni city ke logon me uska parchar ho.uske business ka promotion ho.
Aapke shahar ke kai aise log honge jo ki apne business ke
ad’s vgaira aapke yahan ke local newspapers me dete honge ,aap bhi unse contact
kren or unhe apna online news portal site dikhayen or unhe btayen ki daily
aapki news site ko aapke apne shahar ke itne itne log padhte hain.is tarah aap
unse baat kren or unse aap monthly ya weekly charges lekar unke business ke
banners bnakar apni site par lga sakte hain or usse paise kma sakte hain.
Aapki news site ko popular bnane or uske liye local ad’s
vgaira ke liye aapko personally bahut mehnat karni pdegi.lekin aapki ye ek baar
ki mehnat aapko life time earnings degi.
Local Advertise ke liye aap aise offers bnayen ki itne din
ads ke sath itne din free.or har events par logon se ads vgaira lene ki koshish
kren.
Jaise log Holy Diwali and Eid ke mauke par apni taraf se
badhai massages vgaira newspapers me dete rahte hain aap bhi unse online news
portal ke liye aise ads le sakte hain.or unhe apni site par lga sakte hain.
4.Write Business Promotion Posts
Apne online news portal se rupay kmane ka ek tarika ye bhi
hai ki aap apni city ke kisi bhi business ke bare me article likh kar use apni
site par post kar sakte hain and iske badle me aap unse charge le sakte hain.
Kai log apne business and products and services ke bare me reviews likhwana pasand karte hain taki log unke about padhen isse unki sell badhti hai.unhe business milta hai.jitna jyada log kisi products and services ke bare me padhte hain utna hi unko fayda hota hai.log apne business ke about newspapers me to articles likhwa nhi sakte ,or na hi paper wale likhenge ,iska fayda online news portal ko milta hai.online news partal walo ko chahiye ki aap jyada se jyada aise paid articles ke orders le ,or khub likhen.aapko ek article ke agr 500 rupay bhi milte hain to aapke liye ye bhi best hai.
Online News Portal Site Kaisi Honi Chahiye ?
Online news portal site me har type ki news honi
chahiye.jaise politics ,health, Bollywood ,Games ,Religion , Technology,Tips
and tricks ,Local City news ,national and international news vgaira har type ki
news aap likhen.specialy agr aap local city ke liye news portal chala rhe hain
to jyada focus usi par rkhen.
Mere hisab se bhi aap agr news local aria ke liye likhte
hain to aap jaldi success ho skenge or aapko mere bateye hue sbhi fayde
milenge.
News portal site ka maksad current news ko updates ko logon
tak pahunchana hota hai isliye ek blog ke mukable me log ise jyada visit karte
hain.blog ki posts ko padhen ya na padhen lekin news ko har koi padhna pasand
karta hai.
Jyadatar shahar aise hain jinke name se koi bhi online news
portal sites nhi hain.aise me jo pahle starting karta hai usi ko fayda
milega.isme competition bhi kam hi milegi.
Jaise ki aap Bikaner me rahte hain to aap search karke dekh
len aapko Bikaner news ke name se online news portal shayad na hi mile.aapko Bikaner
ki news jarur milegi par vo newspapers ki sites par hi milegi.jo ki specially Bikaner
ko focus nhi kar rhe ,vo national news sites hain.isi liye aapko local news
portal ka fayda mil sakta hai.
Benefits of Online News Portal Website
Online earnings ke maamle me jitna online news portal wale
jitna kma lete hain utna dusre bloggers nhi kma sakte.iski vajah sirf yahi hai
ki online news portal wale current muddon ko focus karte hain ,jinki us din
vaise bhi search jyada hoti hai.jabki bloggers apne apne topics par likhte
hain.jinko daily itni search nhi mil pati.
Ise aap is tarah bhi samajh sakte hain ki jaise aaj India me
Arvind Kejriwal hot topic hai or aaj social media par yahi trend hai ,to jahir
si baat hai ki aaj Arvind kejriwal ko jyada search kiya jayega.bloggers to inke
bare me likhne se rahe ,inke bare me news portal sites wale hi article likhenge
,to inhi ki sites ko sari search traffic mil jayegi.news portal site par daily
jitna traffic aata hai utna dusre blogs par shayad weekly bhi nhi aata hoga.jab
iska traffic itna jyada hai to inki earnings ka aap andaza bhi nhi lga sakte.
I hope ki aapko Online News Portal Site se paise kmane ke
bare me kafi kuch andaza hua hoga.agr aap writer hain or achha likhna jaante
hain to aap is topic par work karke kafi achhi earning kar sakte hain.
Agr aapko online news portal site create karne ,or startup
karne or uske liye step by step planning karne me kisi tarah ki koi bhi help ki
jarurat ho to aap mujse contact kar sakte hain.me aapko ek best online news
portal site par work start karwane me aapki poori poori help karunga.or aapki
earning start hone tak aapko guide karunga.or aapko ek proper planning ke sath
works setup karne me help karunga.aap kbhi bhi mujhe Email and call kar sakte
hain.
Ye post Online News Portal News Site Se Paise Kaise Kmayen ?
Aapko kaisi lgi ,ise apne friends ke sath share karna na bhulen.
Mere sath Social Media par judne ke liye
Aamir Ali
Info Tech Hindi
कोई टिप्पणी नहीं
Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.
Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.