Google AdSense Se India Me Payment Kaise Receive Kren ?

Google AdSense Se India Me Payment Kaise Receive Kren ?
How to Receive Payment from Google AdSense in India ?
भारत में गूगल एडसेंस से रूपए कैसे प्राप्त करें ?

Google AdSense Se India Me Payment Kaise Receive Kren ?
Google AdSense Se India Me Payment Kaise Receive Kren ? 

Dear readers , aaj ki post sbhi new bloggers and publishers ke liye jo ki Internet par apne blogs and websites par Google AdSense ke Ad’s lgaate hain.or isse earing karte hain.
Aaj me aapko btaunga ki ham India and Pakistan me Google AdSense se apna Payment kaise receive kar sakte hain.ye sab bahut hi aasaan work hai.isme aapko zra bhi mushkil nhi hoti.mujhe afsos hai kuch Bloggers ne AdSense se earnings karne ke bare me Hawwa bnaya hua hai.vo apni posts me ise itna mushkil btate hain ki shayad ise unke alawa koi or aasani se nhi kar sakta.

What is Google AdSense -Google AdSense Kya Hai ?

Google AdSense account Kaise Create Kren Hindi Bloggers

Normally jo Bloggers hain chahe vo new ho ya old unki income ka sabse best zariya Google AdSense hi hota hai.yani ise aap bloggers ki main income ka source bhi  samajh sakte hain.AdSense itna aasan hai ki koi bhi isse online paise kma sakta hai.isme sirf aapko inki policies ka khayal rakhna padta hai.or isme koi bdi baat nhi hai.

Google AdSense Se Payment Kab Mil Sakta Hai ?

Jab ek new blogger apne blog par AdSense ke Ad’s lgata hai to use kuch bhi nhi pta hota ki kab kya hoga or kaise hoga or payment milega bhi ya nhi or milega to kaise milega.iske process ko me aapko aasan lafzon me samjhane ki koshish karta hun.
Start me jab aap apne Blogs par Google AdSense ke Ad’s lgate hain.to aapko 10$ tak earning ka wait karna padta hai.jab aapke adsense account me 10$ ho jate hain to aapko ek Notification milta hai ki aapka payment hold par hai kyu ki aapne apna Address verification nhi kiya hai.

Jab aapko ye notification mile to aapko apne ghar ke Address ko apne AdSense account me dubara check karna hai or save kar dena hai.itna karte hi Google aapke ghar ke Address par ek Pin Verification latter send karta hai ,jisme pin code number diye hue hote hain.aapko us code ko apne AdSense account me verify karna hota hai.
Google AdSense par Address verification kaise karte hain aap yahan click karke meri post ko padh sakte hain.isme mene complete tarika samjhaya hai.
Ye karne ke baad aapko 100$ tak ki AdSense earning ka wait karna hoga.isme chahe jitna bhi time lge aapko wait karna hi hoga.jab aapke AdSense account me 100$ complete ho jate hain ,to aapko dusra notification milta hai.jisme likha hota hai ki aap apne bank account ki details likhen.

Google AdSense Se India and Pakistan Me Payment Kaise Receive Karen ?

Aapke AdSense account me 100$ complete hone ke baad aapko apne account me log in karna hai.uske baad aapko vo notification nazar aa jayega.aapko usi par click karna hai.


Click karne ke baad aapko Payment method par click karna hai.ab aapke saamne ek form open hoga.jisme aapko apni bank details bharni hai.isme aapko ek Swift Code ki bhi jarurat padegi.Swift code aapki bank dairy and ATM dono hi me nhi likha hota.iska sabse aasan tarika ye hai ki aapka bank account jis bank me hai vahan aap call kren or unse puchen ki is bank ki is branch ka Swift Code kya hai ?

Google AdSense Revenue Kaise Increase Kren Easy Smart ways

Google AdSense CPC Kaise Increase Kren –AdSense Tips and Tricks

Ab vo bank wale aapko apni branch ka swift code likhwa denge.aapko isi swift code ko is AdSense payment method ke is form me swift code ki jagah likhna hai.or baki sab details aap aasani se khud hi bhar lenge.

Is form ko complete karne ke baad ise save kar den.bas or aapko kuch bhi nhi karna hai.or jo log Pakistan me rahte hain unke liye bank account se bhi easy method hai Western Union.aap jab AdSense payment method ka form bharen to usme western union ko select karke apne sahi name vgaira details ke sath likh den.aapko western union ke thou payment mil jayega.

Google AdSense India and Pakistan Me Kab Pay Karta Hai ?

Aapne poore month me jitni bhi earning ki hai uska complete hisab aapko har month ki 2 tarikh ko aapke AdSense account me show hoga.ise finalize Earning bhi kahte hain.isme jitney Invalid clicks vgaira ke payment ko kaatna hai use Google kaat kar aapko 2 tarikh ko bta deta hai ki aapko is month me itni payment milegi.aap chahen to har month ki 2 tarikh ko apne AdSense account par apni payable earning ko check kar sakte hain.


Uske baad jab Payable earning finalize ho jati hai to aapko har month ki 21 tarikh night me Google Payment send kar deta hai.or aapko ek Email bhi send karta hai ,jisme likha hota hai ki aapki di hui bank details me aapki payable earning send kar di gyi hai ,aapko 3 ya 4 working days me mil jayegi.or sath hi ye bhi likha hota hai ki agr aapko koi issue aaye to aap apni bank se contact kren.

Media.net Se Paise Kaise Kmayen –Yahoo Bing Ad Network

Google AdSense Beta Page-level Ad’s in BlogSpot Blog Par Kaise Lgayen ?

Uske baad aapka payment 23 ya 24 tarikh ko aapke bank account me aa jata hai.jise aap receive kar sakte hain.ab aap mujhe btaye ki isme aapko kahan par problems aayi.itna aasan or itna honest tarika hai ki koi bhi easily isse earning kar sakta hai.
Mene dekha hai ki kai log swift code ko lekar pareshan rahte hain ki ise kahan se layen ,or net par search karte rahte hain.or kafi pareshan hote hain.mene aapko sabse aasan tarika bta diya hai.mene khud aisa hi kiya tha.jab earning 100$ complete hui or jab me bank details bharne lga to swift code ka Colom dekhte hi mene usi time bank me call kiya or unse puchkar likh diya.

Western Union Kya Hai or Isse Payment Kaise Nikalen ?

India me Google AdSense sirf bank ke jariye hi payment karta hai lekin Pakistan me aap bank ke alawa western union se bhi payment receive kar sakte hain.

Western union money exchange hota hai.isme aapko kisi bank account ki jarurat nhi padti.isme aapko aapke name se hi payment send ki jati hai.jaise aapka name hai aamir ali to aapko aamir ali ke name se payment bhej di jati hai.or aapko western union ka money sending code email ke jariye bheja jata hai.

Aapko is code ko likh kar western union me jaakar dikhana hota hai.is code ki help se western union wale aapko payment karte hain.ye ek secrete code hota hai.jo sirf payment receive karne wale ko hi pta hota hai.

Google AdSense 2016 High CPC Cost Per Clicks Keywords List

Google AdSense Ad’s Blogger Blog Ke All Posts Me Kaise Lgayen ?

Me jab dubai me tha tab kai baar western union se apne ghar apne brothers vgaira ke name se payment send karta tha,or unhe call karke vo secrete code likhwa deta tha.fir vo western union ke office ya branch office me jate or vo code unhe bta dete.is code ke sath hi vo apna name proof bhi dikha dete.or unhe payment receive ho jata.dusri kisi cheez ki jarurat nhi padti.

Aise hi Google Pakistan me western union ke jariye payment send karta hai or secrete code aapko email karke bta deta hai.aapko sirf us code ko likhna hai or jaakar western union me dikha dena hai.

Western union ka sabse bda fayda ye hai ki isme aapko sirf 12 hours me hi payment receive ho jati hai.yani bank ke mukable me isme payment jaldi mil jati hai.jaise ki Google aapko 21 ki night me payment send karta hai to aapko 22 ko hi payment mil jayegi.jabki bank me aapko 23 ya 24 tak milegi.

I Hope ki aapko Google AdSense Se Payment Receive karne ke bare me complete samajh me aa gya hoga.ye sab aapko sirf ek baar hi karna hai.uske baad agr aap har month 100$ ke upar kma lete hain to Google har month direct aapke bank account me aapko payment send kar dega.


In my case Info Tech Hindi ki per month ki earning 100$ + hi rahti hai.aise me me sirf 2 tarikh ko payment check karta hun ki is month kitne milne hain.uske baad 24 tarikh ko jakar bank se payment nikaal leta hun.aapko ye jaankar khushi hogi ki pichle month July ki info tech ki earning 150$ rahi thi.jise aaj 27 august ko mene bank se receive kiya hai.

Agr isi tarah aap sbhi ki dua and support rha to insha Allah isse jyada ki bhi earning hogi.bas aap sirf is site ki posts ko share karke mujhe support karte rhen.or mujhe kuch bhi nhi chahiye.sirf dua karte rhen.

Ye post Google AdSense Se India Me Payment Kaise Receive Kren ? Aapko kaisi lgi ,ise apne friends ke sath share karna na bhulen.

Mere sath Social Media par judne ke liye


Aamir Ali

Info Tech Hindi 

कोई टिप्पणी नहीं

Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.

Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.