Make Money On YouTube Hindi Urdu Full Free Complete Course Part-1
Online earnings tutorials of YouTube in Hindi Urdu language
you can learn all about YouTube partner program and you can start your own
video channels on YouTube and start make money online by videos publishing
sites.YouTube se Paise kaise kmayen. Overview of Make Money on YouTube Course
Dear readers , Make Money on YouTube Hindi Urdu tutorial Complete
Course ka Introduction video aapne pichhli post me dekh liya hoga aaj iska first video Part-1 Info Tech Hindi ke YouTube Channel par upload kiya
ja chukka hai.is video me aap is course ka overview dekh sakte hain.or is work
me aane wale kuch question ke answers bhi aap dekh or jaan sakte hain.is video
me jin points ke bare me mene overview diya hai vo points kuch is tarah hain.
What is YouTube and YouTube Partner Program
YouTube is a biggest videos publishing website in the
world.ye duniya ki sabse bdi ek aisi website hai jahan par per second kai kai
videos ko upload kiya jata rahta hai.in videos ko kuch log online earnings ke
liye upload karte hain ,or kuch vaise hi apne friends ke sath share karne ke
liye upload karte hain.
YouTube ka Ek Partner Program hai jiske tahat koi bhi
YouTube par apna khud ka ek channel create kar sakta hai.jaise Google ki
Blogger Program par ham free me blogs bnate hain bilkul vaise hi YouTube par
free channel bnaya ja sakta hai.
Partner Program ko Join karne ke liye aapko apna ek YouTube
Channel create karna hai uske baad use Google AdSense ke sath monetize karna
hai.fir aapke videos par Ad’s Lgaye jate hain ,jaise blogs par lgaye jate
hain.un Ad’s se jitni bhi earnings hoti hain ,uska ek hissa YouTube aapko deta
hai.
How to We Can Get Payment From YouTube
Sabse pahle hmare zahan me yahi sawal aata hai ki YouTube
hme payments kaise karega.iska jawab ye hai ki YouTube Aapko aapki earnings
AdSense ke account ke jariye pay karta hai.
Jab aap apne YouTube channel ko apne AdSense account ke sath
monetize kar lete hain ,to per month 15 tarikh ko aapke Channel ki jitni bhi
earnings hoti hai ,use aapke AdSense ke account me send kar diya jata hai.
Baki jaisa ki aap jaante hi hain ki 10$ ke baad aapko apna Address
verify karna hota hai ,or 100$ ke baad aap apna payment apne Bank Account me transfer
kar sakte hain.
How we can Earn Money on YouTube without Investments
YouTube Se online earnings karna Blog se earnings karne ki
tarah hi hai.jis tarah aap apne blogs par daily ke articles likh kar posts
karte hain ,vaise hi aapko apne channel par videos upload karne hain.
Aapko per videos ke 1000 views par 1$ ki earnings hoti hai
,ab aapki marzi hai ki aap kitne videos ko upload karte hain.agr aap 100 videos
ko upload karte hain ,or har video ko har mahine 1k baar dekha jata hai ,ya 1k
people dekhte hain to aapki per month ki earnings bhi 100$ tak ho jati hai.
YouTube Like a Govt. Job You can make money Life Time
YouTube ek govt.job ki tarah hai ,jisme aap jab tak work
karte hain aapko per month iski earnings milti hai ,or jab aap retired ho jate
hain tab bhi aapki earnings chalti rahti hai.
Isme aapko ek hi baar mehnat karni padti hai ,yani ek video
jise aapne ek hi baar bnaya tha lekin vo video aapko life time kma kar deta
hai.kyu ki har maah us videos ko new log to dekhte hi rhenge.or aapki earnings
bhi hoti hi rhegi.
YouTube par online work karne ka sabse bda fayda ye hai ki
isme aapko blog ki tarah copyright ki problems nhi aati.isme aap apne khud ke
videos ko bhi upload kar sakte hain or dusron ke videos ko bhi upload kar sakte
hain.bas shart ye hai ki vo videos pahle se YouTube par na ho.
Is course me me aapko videos create karne ke sbhi tarike bhi
btaunga.or dusre videos ko kaam me lekar kaise aap unse rupay kma sakte hain
iske sbhi tarike bhi aapko btaunga.
In my case mera online training dene ke liye Info Tech Hindi
ka ye YouTube channel hai jisme aap videos ko dekhte hain.iske alawa bhi mere
YouTube par channels hain ,jiske videos mere apne nhi hain.balki vo dusre logon
ke videos hain ,jinhe editing karke ham kaam me le sakte hain.or unse rupay kma
sakte hain.
Meri nazar me YouTube Duniya ka sabse secure platform hai jo
aapko apne mehnat ki kamai deta hai.or aapko 100% payments karta hai.is course
me me aapke samne live ek channel bhi create karunga or usme videos ko upload
bhi karunga or unki sbhi SEO settings karke unse live earnings karke bhi
btaunga ,taki aapko or bhi jyada yakeen ho ske.
Me kahta hun ki agr aap Online Rupay kmana chahte hain to
sbhi fake business ko ek taraf karke aap sirf Blog ya fir YouTube ke jariye
earnings kren ,ye sabse best and honest ways hain ,jinme kbhi bhi dhokha nhi
hota.aap chahen ki kisi bhi tech bloggers se iske bare me sawal karke puch
sakte hain ,vo meri is raay ki tasdeek kar denge.
Koi bhi samajhdar banda kbhi bhi kisi lalach me aakar ulte
seedhe business me nhi padta balki vo proper ways par works karna pasand karta
hai jin par bahut sare log already work kar rhe hain or use vo online rupay bhi
kma rhe hain.
Make Money On YouTube
Hindi Urdu Full Free Complete Course Part-1 is video overview ko aap jarur
dekhen aapko meri post se badhkar is video ko dekhne ke baad YouTube se
earnings ka idea ho jayega.ye course bilkul free hai ,aap info tech hindi ke
YouTube channel ko subscribe karke new videos ki updates ko bhi email ke jariye
hasil kar sakte hain.
Or is complete tutorial ko aap apne ghar par rahte hue bhi
dekh sakte hain.or YouTube se online rupay kaise kmaye jate hain iske bare me
aap bhi jaan sakte hain.agr aap is course ko karne ke sath sath apna YouTube
channel bhi bnate hain to me aapko full support karunga ,or aapki har possible
help bhi karunga.kyu ki me ye chahta hunk i mere hare k readers bhi online
works start kren or mujhse bhi jyada aage jayen.or kamiyab ho.
Agr aap Make money on YouTube Hindi Urdu ka Complete Course
karna chahte hain to Info Tech Hindi ke YouTube Channel ko subscribe karna na
bhulen.taki aapko updates milti rhe.
Make money on YouTube Course ke first video ko aap niche
dekh sakte hain.
Agr aapko aaj ki post and video pasand aaya to ise apne
friends ke sath share karna na bhulen.or mere sath social media par jarur
juden.
Aamir Ali
Info Tech Hindi
कोई टिप्पणी नहीं
Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.
Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.