Prime Minister of India Naraedra Modi Se Contact Kaise Kren ?

Contact with Prime Minister of India Naraedra Modi
How to Contact with Prime Minister of India Naraedra Modi-Get All Contact Info of PMO India
PMO India Narendra modi is a popular prime minister india in the world. Many peoples want to contact with PMO and join with PMO on social media.today you can read contact details of Prime minister Narendra Modi. The Prime Minister's Office (PMO) consists of the immediate staff of the Prime Minister of India.

Dear friends , Prime minister of india mr.Narendra Modi india ke sabse popular prime minister hain isme kisi ko koi shak or shubha nhi hai.jaisa ki aap sbhi jaante hain ki prime minister Modi Social media par bhi har time active rahne wale prime minister hain.isliye har koi unse contact karna chahta hai ,or apne dil ki aawaz ko apne desh ke prime minister tak pahunchana chahta hai.

Aaj ki post me ham aapko Prime Minister of India Mr.Narendra Modi ki sbhi contact details provide krenge.taki aap unke sath social media par bhi jud sken or unse jab chahe contact kar sken.ab ye aapki kismet hai ki vo aapko reply karte hain ya nhi.but ham aapko unki real contact details dene wale hain.

How to contact with PMO India Narendra Modi via Official Website

Agr aap PM modi se koi question karna chahte hain ya fir koi suggestion dena chahte hain to aap unki official website ke jariye bhi unse contact kar sakte hain.
yahan sabse pahle aapko register karna hoga uske baad aap apna massage send kar skenge.is website ko PM Narendra Modi ka staff handle karta hai.aapka massage pahle unke pass jayega ,uske baad agr unhe vo munasib lga to vo use PM Modi ko forward kar dete hain.

How to Write a Letter to PM Narendra Modi and Call and Fax

Aap jab chahe direct PM modi ko letter likh sakte hain ya call and fax kar sakte hain.ek report ke hisab se PM Narendra Modi ko daily ke 2,000+ latters all India se send kiye jate hain.

Jinme se jaruri letters ko PM tak pahunchaya jata hai.or calls and fax ka to koi hisab hi nhi hai.
PMO ko aap is address par letter likh sakte hain.and call and fax bhi kar sakte hain.

Web Information Manager
South Block, Raisina Hill
New Delhi-110011
Phone No: +91-11-23012312
Fax: +91-11-23019545,23016857

Ye address details PMO ki official website http://www.pmindia.gov.in/en/ ke contact us page se li gyi hai ,jo ki ab maujud nhi hai.

Or Online Letter likhne ke liye aap yahan click kren.

PMO Narendra Modi kai baar bahut hi kam time me letters ke reply send kar dete hain.jaisa ki Dainik Bhaskar ki is News me aap dekh sakte hain.isliye aap letter send kar sakte hain.agr aapki kismet good hui to aapko reply milega.

How to Contact and Follow PM Modi on Twitter

Dear friends is post ke likhe jane tak Prime minister Narendra Modi ke Twitter par 11.6 million followers hain.and 268 peoples ko Modi follow karte hain and 10.8K tweet kar chuke hain.jiska silsila abhi bhi chal hi rha hai.

Aap PM Narendra Modi ko Twitter par yahan https://twitter.com/pmoindia par follow kar sakte hain.and direct aap PMO ko tweet karke contact kar sakte hain.
PM twitter par kafi jyada active rahte hain, maybe he can reply to you.

How to Contact and follow PM Narendra Modi on Facebook  

Indian Prime minister Narendra Modi  Facebook par bhi active rahte hain.
Yahan aap unke official Facebook Fan Page ko like kar sakte hain.

prime minister of India Narendra Modi ke Official Page ko Post likhe jane tak 11,007,582 people like kar chuke hain.Like karne ke baad aapko PM ki hare k activity ki news milti rahegi.or aap comments karke PMO se contact kar sakte hain.

Subscribe YouTube Channel of PMO India Narendra Modi

Prime minister of India Narendra Modi ka apna YouTube channel bhi hai ,jahan par daily PMO ke speech ko upload kiya jata rahta hai.aap agr PMO ke hare k speech ko dekhna chahte hain to aap unke YouTube channel ko subscribe kar sakte hain.or videos ke niche comments karke bhi aap PMO tak apni baat pahuncha sakte hain.
Prime minister of India Narendra Modi ke YouTube channel ko post likhe jane tak 61,499 peoples ne subscribe kiya hai.and 6,335,069 views inke channel ko visit kar chuke hain.


Aap PMO ke YouTube channel ke About section me jakar bhi massage send kar sakte hain.

How to Contact and follow PM Narendra Modi on Google Plus

Prime minister of India Narendra Modi ka Google Plus par bhi official Page bna hua hai.aap G+ par bhi PMO ke sath jud sakte hain.and unhe follow kar sakte hain.Google Plus par bhi PM Narendra Modi active rahte hain.yahan bhi aapko latest updates and videos mil jayenge.

Google Plus Page par Post likhe jane tak Prime minister Narendra Modi ke 6,083 active followers hain.yahan bhi aap comments ke jariye PMO se contact kar sakte hain.

How to Contact and follow PM Narendra Modi on His Website

Prime minister of India Narendra Modi ki website Narendra Modi.In par bhi aap PMO se contact kar sakte hain.or is website ko join bhi kar sakte hain.yahan aapko PM Modi se jude Videos and News vgaira ki updates mil jayengi.


or yahan click karke aap PM Narendra Modi ke official App ko bhi Download kar sakte hain.


Narendra Modi App Google Play store ,App Store,and Window Store par bhi available hai.jahan se aap apne device ke hisab se download kar sakte hain.
Narendra Modi Official App me aapko PMO ki hare k activity ki updates milti rahengi.or is App ke jariye bhi aap PM Narendra Modi se contact kar sakte hain.

How to Send Email to PM Narendra Modi on His Email I.D

Prime Minister Narendra Modi ko aap unki Gmail I.D par Email bhi kar sakte hain.
Email: narendramodi1234@gmail.com is Prime Minister's Email ID. We got it from his Android App page.

I Hope ki Prime Minister Of India Mr.Narendra Modi ki all information’s aapke liye useful sabit hogi.or aaj ki post How To Contact with PMO India  Narendra Modi aapko pasand aayi hogi.

Kai log aapko milte honge jo ki PMO se contact karna chahte hain lekin unhe iske bare me pta nhi hota.aaj ki post ko aap jitna jyada share karenge utni hi ye information logon tak pahunchegi.shayad aapke share karne se kisi ki talash poori ho jaye.


Also Read these useful Posts 










Info Tech Hindi

कोई टिप्पणी नहीं

Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.

Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.