Media.net Se Paise Kaise Kmayen –Yahoo Bing Ad Network

Make Money with Media.net –Yahoo Bing Ad Network
How to Make Money with Media.net –Yahoo Bing Ad Network
Media.net is a Ad network of yahoo and Bing for Bloggers and Publishers. This is the best Google AdSense alternative Ad networks for bloggers and webmasters. You can try if you write good quality content and want to make money with blog.

Dear readers , aaj me aapko Google AdSense ka ek alternative Ad network ke bare me bta rha hun.jo ki bilkul Google AdSense ki tarah hi hai.jahan aap apne blog and website ko monetize karke usse online earnings kar sakte hain.

Jaise AdSense Google ka ek Ads network hai vaise hi ye Ad network Yahoo and Bing ka ad network hai. Ise bhi aap AdSense ki tarah hi use kar sakte hain.and apne blog par iske Ad lgakar isse online earning kar sakte hain.ye Google AdSense ka ek best alternative network hai.is Ad network ka naam hai Media.net

How to Make Money with Media.net- Bloggers and Publishers

Bloggers and Publishers media.net ke ad apne blog par lga sakte hain.or isse earnings kar sakte hain.iske ads lgane ke liye aapke blog ki language English honi chahiye.ye Hindi language ko support nhi karta.

English me chahe aapka blog roman Hindi me hi ho.jaise me likh rha hun.ise roman hindi kahte hain.now ye invitation based network hai.jise aap direct join nhi kar sakte.ise join karne ke liye aapko kisi reference invitation ki jarurat padegi.



Dusri baat ye hai ki aap ise Google AdSense ke sath use nhi kar sakte.aap apne blog par ya to AdSense ke ad lga sakte hain ya fir iske ad lga sakte hain.agr aapka AdSense approve nhi hua ya fir aapko isse koi problems aa rhi hain ,to aap is alternative ko use kar sakte hain.or isme apply de sakte hain.ye bhi AdSense ki tarah aapki site ko check karte hain.or uske baad agr inhe lagta hai ki aapki site me koi problems nhi hai or ads lgaye ja sakte hain to hi ye aapko approval dete hain.
Agr aapki blog ya site ki language English hai to aapko isme koi bhi problems nhi aayengi.or aapko approval mil sakta hai.

Features and program information of Media.net must read

Ye ek advertisements based on the context of the page program hai.jaise ki aapka blog technology subject par hai to aapki site par isse related products and services ke Ads hi show honge.jab aap isme apne blog ko monetize karne ke liye apna new account create karte hain,to us time aapko apni site ke liye subject bhi choose karna hota hai.



Uske baad aapko apni site ko monetize karwana hota hai.isse inhe ye pta chal jata hai ki aapki site ka subject kya hai.uske hisab se hi isme ads show kiye jate hain.

Lekin AdSense me aisa nhi hai.ye aapki site chahe technology ki ho fir bhi aapki site par aise ads ko dikhata hai jise aapka users search karta hua aa rha hai.jaise ki kisi bande ne aapki site par aane se pahle  Long tail pro software ki site ko visit kiya ya fir Go Daddy ki site ko visit kiya tha to Google use unke hi ads ko show krega.

Media.net ke ads category 3 type ki hoti hai.
Contextual advertisements
High revenue
Mobile ads

Media.net par apna account bnane ke baad jab aapka account verify ho jata hai to aap apni site par ads lgane ke liye inki team ki help bhi le sakte hain.ye aapki site par ads setup karwane me aapki poori help krenge.isme approval milne ke baad aap iske ek account se unlimited sites par ads lga sakte hain.yani aap chahen to apne ads ko apni sbhi blogs par bhi lga sakte hain.

Iska dashboard bhi AdSense ki tarah very easy hai.and isme bhi aapko alg alg ads units bhi milenge. Media.net ad management panel par aap job hi ads size create karna chahen vo kar sakte hain.

How to Get started with Media.net and Make money with Blog


Iske liye aap yahan click karke media.net ki site par ja sakte hain.ye iska invitation cod hai.ab aapko apni and apni site ki details ko add karna hai.and apni site ke hisab se category select karni hai and apna account create karna hai.uske baad aap apni sbhi sites ke liye ads apply de sakte hain.
Apply dene ke baad media.net ke representatives aapki site ko evaluate krenge.and one time aapka account Approved ho jata hai to fir aapko login details via email send kar di jati hai.

How we can receive payments from Media.net

Media.net supports payment via PayPal or wire-transfer and aap inse apne payments ko receive kar sakte hain.inka bhi AdSense ki tarah minimum payout 100$ hai.
After 100$ aap apna payment mangwa sakte hain.iski ek khas baat ye hai ki ye network high CPC deta hai.or iske jitney bhi ads aapki site par lgaye jate hain vo sbhi high CPC ke hote hain.yani isme AdSense ke mukable me jaldi aap 100$ earn kar sakte hain.



Jaise ki AdSense par 0.30 agr aapka CPC rate hai.to 3 clicks par aapko 0.90 milte hain.yani lagbhag 1$ and agr media.net ka CPC 0.50 hai to aapko only 2 clicks par hi 1$ mil jata hai.maan lijiye ki agr aapki site par din bhar me AdSense ads par 6 clicks hote hain to aapko is CPC ke hisab se 1.80$ milte hain.and media.net par aapko only 4 clicks par hi 2$ mil jate hain.jo ki AdSense se jyada hi hai.or iski vajah sirf ye hai ki is networks ko jyadatar india se bahar use kiya jata hai.and vahan par advertisers ads ka bid high rakhte hain.or india me advertisers ads ka bid low rakhte hain.jiska seedha asar AdSense users par padta hai.

Why Google AdSense is better than Media.net Ad network

Ab aap ye sochenge ki jab iska CPC high hai,or advertisers bhi is par ad bid high lgate hain ,to fir AdSense isse batter kaise ho gya.

Iski vajah ye hai ki Google AdSense is very popular Ad network of Google.and ye Hindi Urdu ko bhi support karta hai.and sabse jyada Advertisers isi network ke sath apne Ads campaign chalana pasand karte hain.



Or is network ke pass all countries ke ads campaign hote hain.chahe isme advertisers ads bid low lgate hon.halanki AdSense CPC ko increase karne ke or bhi kai ways hain.jinme me pahle bhi posts kar chukka hun.agr aapka blog English me hai or target country bhi UK and US hai to vaise bhi aapko high CPC rate hi milegi.or agr aap Hindi ya Urdu me work kar rhe hain to aapko low CPC rate milegi ,iski ek hi vajah hai ki koi bhi high paying advertisers ye nhi chahta ki uske ads hindi blogs par lgaye jayen.kyun ki vo sab india se bahar ke advertisers hote hain.ab ek hi rasta hai ki india ke advertisers ke ads aapki site par lgaye jate hain.jinki Ads bid kam hota hai.
But Google AdSense apne users ko earnings ke full chances deta hai.users ko apni site par AdSense page Laval ads AdSense beta bhi lgane chahiye taki mobile users se bhi aapki earnings better ho.inki performance bhi best hoti hain.

Agr aapko AdSense ke sath koi problems aa rhi hain to aap Media.net network ko use karte hue inke ads ko apni site par lga sakte hain.or aap bhi online earning kar sakte hain.this is the best Google AdSense alternative ads network for bloggers and Publishers.



I hope ki aapko How to Make Money with Media.net –Yahoo Bing Ad Network
For Bloggers and Publishers ke bare me kafi kuch idea ho gya hoga.
Agr aapko ye post pasand aayi to ise share karna na bhulen.and is site ko email subscribe bhi kar len taki new posts aapko email ke jariye bhi milti rhe.
Or agr aap mere sath social media par judna chahen to


Aamir Ali
Info Tech Hindi


कोई टिप्पणी नहीं

Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.

Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.