Facebook marketing Business Se Online Paise Kaise Kmayen ?

Facebook marketing get traffic leads and sales
What is Facebook marketing and how we get traffic, leads and sales learn in Hindi Urdu
Facebook marketing is a part of Digital marketing, Internet marketing, and online marketing. Facebook is largest business place here you can promote your business and generate more traffic, leads, and sales for successful your business.

Dear readers ,aaj ham baat karenge what is facebook marketing ,facebook marketing kya hai ,isse kya fayda hai ,ise kaun karta hai ,isse business kaise grow kiya jata hai,or isse sell kaise badhai jati hai,facebook marketing  karke apni website par traffic kaise leads kiya jata hai,all about facebook marketing we will learn in this post.ye subject itna aasan nhi tha ki me is par post likhne ki zahmat kar pata.do wajah se likhne ki himmat hui ,ek to ye ki mene khud facebook marketing course kiya hua tha ,or dusra is par mene kafi research kiya tha.pahle khud me iski tahkik tak gya uske baad likhna behtar samjha.aaiye ise ham step by step samajhte hain.

What is Facebook learn all about Facebook in Hindi Urdu

Hmari nazar me Facebook sirf ek biggest social media platform hai ,jahan par time pass kiya ja sakta hai.ya jyada se jyada apne blog and websites ka promotions kiya ja sakta hai.facebook ke real business se abhi tak ham introduce hi nhi hain.facebook ek social media ke sath sath ek largest business place hai ,jahan world ke sabse jyada log paye jate hain.or Facebook daily ki itni earnings karti hai ,jitna koi bhi big company nhi kar sakti.

Facebook ke 2 part hain ,ek part jise public place kaha ja sakta hai ,jise world ke 14% peoples use karte hain ,jinme ham log bhi shamil hain.jo ki Facebook par kai kai ghante lge rahte hain.or has a social media use karte hain.
Or dusra part jo hai use Facebook ka business place kaha jata hai ,jise 86% log apne business ke liye use karte hain.jahan par apne business ke product and services ko buy and sell kiya jata hai.jahan par online campaign create kiye jate hain.or unke jariye apne business ko online jyada se jyada logon tak pahunchaya jata hai.
Facebook ek aisa social media platform hai jise pure world me sabse jyada use kiya jata hai.is hisab se world ki sabse jyada public yahin par milegi.or har smart business man apne product and services ko vahin par sell karna chahta hai ,jahan par jyada public ho.

Pichle kuch time se world me Digital marketing jise online marketing and internet marketing bhi kahte hain ,iska chalan kafi jyada hua hai.iski vajah bhi hai ki aaj jitna business aapko digital marketing se milta hai ,utna shayad vaise kbhi bhi nhi mil pata.iski ek vajah se logon ka online shopping’s ka jyada karna.pahle log internet par online shopping’s ke naam se hi darte the or sochte the ki kahin fraud na ho jaye.lekin badalte daur me ab har koi ghar baithe hi online shopping karna pasand karta hai.
Facebook bhi buy and sell ki facility deti hai.jahan aap do tarike se works kar sakte hain.ek to aap sells group bnakar bina kisi investments ke bhi apne product and services ko buy and sell kar sakte hain.or dusra tarika online Facebook marketing campaign hai.   

What are benefits of Facebook Marketing and how we get traffic, leads and sales?

Facebook marketing ke kya benefits hain ise har smart business man achi tarah se janta hai.ek baar Facebook marketing business campaign create karne se aapka business 80% tak badh jata hai.or sells kafi increase hoti hai.or business apne time se bhi kam time me success ho jata hai.

Example Ek company ya sells website daily ke 100 product sell karti hai.or agr vo Facebook par ek baar bhi facebook marketing campaign create kar de to vo company lakhon logon tak pahunch jati hai.jisse uski sell kafi jyada increase hoti hai. Facebook is a biggest business place here you will invest 100 $ you can get benefits of 1000$.
Facts ye hain ki Facebook ko jitna business ke liye use kiya jata hai utna social use nhi kiya jata.isliye ye kahna koi galat nhi hai ki Facebook ke jariye business grow hota hai.or business benefits kafi jyada increase hota hai.

Facebook par aapne aksar sidebar me ya center me kai business and websites ke ads dekhe honge ,ye sbhi Facebook ke online business campaign hote hain.jinhe per click ke hisab se pay karna padta hai.or ye ads bhi itne attractive hote hain ki log in par click kiye bina nhi rah pate.

Get more likes on Facebook and increase your Business and sales

 Ham jaise log facebook likes ka matlab bhi nhi jaante.kai news channels and websites ke jo pages bne hue hote hain ,un par jyada se jyada likes generates karne ke liye ye log online campaign chelate hain.jisse kuch hi dino ke kai hazar likes mil jate hain.isse inko ye fayda hota hai ki jitney logon ne bhi inke business pages ko likes kiya hota hai un sbhi tak inki hare k posts pahunch jati hai.

Facts ye hai ki Facebook par aapki sbhi posts sbhi friends tak kbhi bhi nhi pahunchti.aapke friends me se 14% logon tak hi aapki posts pahunchti hai.
For Examples : aapke Facebook par 100 friends hain to unme se 14 friends aise hain jo aapki hare k post ko dekh sakte hain.isme bhi kabhi kabhi kam ya jyada hote rahte hain.lekin rules ke mutabik 14% peoples hi hain.

How to Make Money Online From Internet Easyly in Hindi Urdu-Best Way earn Money Online

How to Make Money with Freelancing Works in Hindi Urdu  

Agr aap apni sbhi posts ko sbhi Facebook friends tak pahunchana chahte hain to iske liye 2 tarike hain ,ya to aap Facebook ko pay kren or ya fir apna ek Business page create kar len ,jise aapke sbhi friends like kren.uske baad vo sbhi aapki hare k post ko dekh sakenge.

Agr aisa nhi hota to log apne pages ko likes karwane ke liye Facebook par campaign kyun chelate ,or kyun facebook ko pay karte. Isliye sachai yahi hai.

Benefits of investments on Facebook Marketing for your business websites

Aapne apni ek new online business website start ki hai ,to aapko do hi chizon ki sabse jayada jarurat padti hai ,ek aapki websites par traffic ,or dusra sells.iske liye aap agr facebook par campaign create karte hain ,to isse aapki websites par traffic bhi khoob aayega and jab traffic aayega or log aapke products ke bare me janenge to yakinan use orders bhi karenge.is tarah aapki new website par traffic and Seles dono hi generate increase hogi.

2 Simple ways of online successful Business by Facebook Marketing

2 tarike aise hain jinse apne online business ko grow kiya ja sakta hai.usse more benefits hasil kiye ja sakte hain.

Earn Money with Google AdSense
Agr aapki blog and websites aisi hain jahan aap daily posts karte hain ,or vahan par aapne Google AdSense ke ads bhi lgaye hue hain ,to aapke liye Facebook marketing is the best way of increase Google AdSense earnings.



Vo aise ki aap apne blog ya website ka ek facebook page create kar len.or uska ek facebook marketing campaign chala den.do ya teen din me hi aapke page par hajaron likes aa jayenge.ab jab bhi aap koi post likhenge or use apne facebook page par share karenge to aapki blog and websites par daily kitna traffic facebook se aayega iska aap andaza bhi nhi lga sakte.jab daily itna jyada traffic aapki sites ko milega to aapki daily ki AdSense ki earnings kitni hogi.

How to earn Money easy with Fiverr useful Tips in Hindi urdu

5 Top online Jobs ideas start work without investment and make money Hindi/Urdu

Ye sabse shortcut way hai kam se kam times me Google AdSense se jyada se jyada earnings increase karne ke liye.iske liye aapko facebook par campaign create karna hoga ,chahe aap 2 ya 3 din ka hi chalayen.or chahe aap 5$ se lekar 50$ tak ka hi chalayen,aapko isse 100% garneted traffic milega.aapne ek kahawat to suni hi hogi ki paisa paise ko khinchta hai.ye hakikat hai jab tak aap kisi business me investments nhi karenge tab tak use benefits ka to sawal hi nhi paida hota.

Fir bhi kai logon ke luck kaam kar jate hain or without investments ya fir kam se kam investments me hi unko kafi jyada fayda mil jata hai.lekin sabke luck bhi aise nhi hote.

Promote your Business on Facebook and get traffic, leads and sales

Dusra tarika ye hai ki aap Facebook marketing campaign se apni business site par bhi traffic bhej sakte hain.kyu ki sbhi log Google AdSense se hi earnings nhi kar rhe ,kai apne business se use bhi jyada earnings kar rhe hain.

Jaise aap apni sites par koi products sell karte hain,to aapko jyada se jyada online customers ki jarurat hoti hai.iske liye aap facebook par online marketing campaign chalayenge to aapki sites ko lakhon log visit karenge ,to unme se agr hazaron bhi customers ban jate hain to aapke products kitne jyada sell hue ?
Business marketing campaign ka tarika thoda alg hota hai,isme inko pages vgaira likes karwane ki jarurat nhi hoti balki un campaign ke jariye ye logon ko apni sites ko visit karwate hain.unhi logon me se inko right customers mil jate hain jo inke products ko online buy kar lete hain.

Business campaign chalane ka maksad hi yahi hota hai ki jyada se jyada logon ko apni sites par bheja jaye ,taki log inke products ko dekhen ,jab dekhenge to lazimi buy bhi karenge hi.kuch na kuch log to daily online shopping’s karte hi hain.

Inke campaign ke bhi 2 tarike hote hain.pahla jisme ye apne campaign ke jariye logon ko seedhe apni websites par redirect karte hain.or dusra ye logon ko apne business apps ko download karwate hain.dono hi tarike se inko business milta hai.
Agr log inki websites ko visit karte hain to kuch na kuch log inke products ko buy karte hain.jisse inki sell badhti hai.or inko fayda hota hai.





Or agr log inke business apps ko download karte hain ,to vo bhi inki mobile version website hi hoti hai.log in apps me bhi inki site or inke products ko hi dekhte hain.or app ke jariye bhi purchase karte hain.isse bhi inki sell badhti hai.or inko business milta hai.aapne facebook par kai aise Apps ke ads dekhe honge jinhe download karne ka option diya hua hota hai,ye sab apps business apps hote hain ,jinhe download karna to free hota hi hai ,use karne wale kuch na kuch purchase karte hain ,to isse inko fayda mil hi jata hai.

The types of Facebook Marketing Campaign Sponsor Ads call to action  

 Facebook marketing online campaign sponsors ads me jyadatar 4 tarah ke call to action button rkhe jate hain.
1. like Pages (inke pages ko like karna)
Likes my page ye call to action jyadatar news sites, politicians, ya Blogs ,and Websites ke liye rakhe jate hain ,jinhe apni posts ko apne pages par updates karna hota hai.isse inki posts sbhi likes karne walon tak pahunch sken.

2. Learn more (yani inki websites ko visit karna)
Learn more is call to action button ko apni websites ko visit karwane ke liye rakha jata hai.ise aap ek trailer bhi kah sakte hain.jo ki sirf impressions ke liye hota hai ,iska maksad sites ko visit karwana hota hai.

3. Download Apps (yani inki apps ko download karna)
Download Apps is call to action ka matlab iske naam se hi pta chal jata hai ,is category me log apne business apps ko jyada se jyada download karwa kar mobile user tak apni pahunch bnana chahte hain.baki bas mene upar aapko btaya hi hai.

4. Shop Now (yani shopping kren )
Shop new is call to action button ko shopping sites sponsors use karte hain.in ads me aapko dresses ,ya koi bhi shopping products show hote hain ,jinke niche likha hota hai ki shop now.ye button bhi inki official website par hi redirect karta hai.par ise shopping category kahte hain.is sponsors ads ka maksad hi apni sites par products sell karna hi hota hai.

In sbhi Sponsors Ads ka maksad sirf or sirf business hi hota hai.social media campaign ke jariye ye traffic and leads generates karte hain, then inki sales increase hoti hai.

I hope ki aapko facebook marketings business ke bare me kafi kuch pta chala hoga.aapme se kai log aise honge jinhe pahli baar in sab baton ka pta chala hoga ,or vo ye sochte honge ki Facebook ki duniyan kitni badi hai ,ham to sirf ek kinare par hi baithe hue hain.hme iski gahrai ka andaza hi nhi hai.

Aane wali posts me me aapko Facebook par campaign create karne ,sponsor ads bnane or facebook se business traffic, leads and sales generate karne ke sbhi ways bhi btaunga.par aap sbhi se meri yahi request hai ki aap mujhe support kren ,mere posts ko jyada se jyada share kren.taki mera bhi dil kare ki me aapke liye ek se ek posts likhta rhun.




Agr aap Facebook marketing’s se related kuch bhi questions karna chahen to comment box me likh sakte hain.me aapko jarur reply karunga.


Watch Video :

What is Facebook marketing Get traffic leads and sales learn in Hindi Urdu 

Or social media par mujhe join karna na bhulen.


Aamir Ali 

Info Tech Hindi 

कोई टिप्पणी नहीं

Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.

Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.