Computer Me Window Ka Settings Sound Chang Kaise Kare Hindi Me?



Dear Reads Aaj Ki Is Post Me Hum Apne Computer ki Sabhi Prakar Ki Sound Setting Ke Bare Me Padenge Or Janege Ki Inhe Kis Tarah Se Chang Kiya Ja Sakta Hai.
Computer   Me Start Sound Se Lekar Restart Recycle Bin, Mouse Click & Sabhi Prakar Ki Sound Setting By Default Hoti Hai. Jise Jayadatar Log Isliye Chang Nahi Karte Ki Unhe IOs Bare Me Pata Nahi Hota.

PC Sound Setting

Kisi Bhi Computer Ya Laptop Ke Liye Ye Khas Setting Hoti Hai. Pehle Aap Ye Janiye Ki Windows Setting Sound Kya Hoya Hai Darsal Jab Hum Computer Ko On Karte Hai. To Ek Sound Aata Hai. Thik Aese Hi Window Ko Restart Karne Par Alag Sound Aata Hai Iske Sath Mouse Click Ka Sound Kisi Window Ko Minimize MaximizeKarne Par Sound Aata Hai. Aese Hi Window Recycle, Window Restore, Window Notify Har Kisi Ka Alag Alag Sound Hota Hai.

Coumputer Window Settings Me Sound Chang Kaise Kare?

Aap Chahte Hai Ki In Window Ki In Setting Ke Sound Aapke Man Mutabik Ho Jaye To Iske LIye Aapko Control Panel Me Jana Hoga Iske Liye Pehle Aap Start Menu Par Click Kare Yaha Se Ek List Open Jisme Control Panel Par Click Kare Ise Open Karne Ke Bad Jo Window Open Hogi Usme Sound Ka Option Najar Aayega Agar Aap Ki Window Category Me Open Hue Hai To Use Dekhne View Setting Se Large Kar Le.


Jab Aap Sound Par Click Karenge To New Windows Open Ho Jayegi Isme Third Option Sound Ka Hoga Jab Aap Us Par Click Karenge Tab Window Ke Default Sound Dikhay Dega Aap Program Event Ki List Me Jakar Har Setting ka Sound Sun Sakte Hai Sath Hi Window Background Me Jakar Use Badal Sakte Hai. Yaha Sound Ko Test Karne Ka Bhi Option Hota Hai.

Window Sound Ki Jagah Apna Favorite Song Set Kare  

Window Ke Kisi Bhi Option Me Song Dalna Hai To Jis Drive Me Window Install Hai. Usme Windows Folder Ke Andar Jay Yaha Aapko Media Ka Foldar Najar Aayega Is Foldar Ke Andar Window Ke Wo All Sound Hoge Jo Sound Setting Me Sunay De Rahe Hai.

Is Foldar Me Aap Man Chaha Songs Dal De Wo Wavw Audio Format Me Hona Chahiye Bad ME Sound Setting Me Jakar Kisi Bhi Window Ke Liye Wo Songs Select Kar Le Aap Ko Song Ko Browse Karke Bhi Select Kar Sakte Hai. IsTarah Aap Window Startup Sound Chang Kar Sakte Hai..

How To Chang Recycle Bin Sound

Star Menu-> Control Panel->Sound-> Sounds-> Program Event-> Recycle Bin-> Select Sound
Ab Data Ko Recycle Bin SE Delete Karenge Tab Aapke Dwara Select Sound Aayega
Is Tarag Aap Apne Computer Laptop Wagerah Me Inka Default Sound Badalkar Apna Man Pasand Aound Set Kar Sakte Hai. App Chate To In Sound Me Apni Man Pasand Ka Songs  Bhi Set KAr Sakte Hai. 


Sounds Setting Aapke Man Mutabik Hone Se Aapke Computer Use Karne KA Maja Duguna Ho Jayega Behtar Ye Hai Ki Sound Ko Chand Second Ka Hi Rakhe
Ye Post Computer Me Window Ki Sound Ki Setting Kaise Chang Kare aapko Kesi Lagi Ise Apne Dosto Ke Sath Share Karna Na Bhule Or Letest App Date Ke Liye Hamare Sath Social Media Par Jarur Jude.

  

कोई टिप्पणी नहीं

Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.

Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.