Service Provide Karke Internet Se Paise Kaise Kmayen ?
Service Provide Karke Internet Se Paise Kaise Kmayen ?
इन्टरनेट पर ऑनलाइन अपनी सेवाएं प्रदान कर रूपए कैसे कमायें
Provide Your Services Online and make money online
Service Provide Karke Internet Se Paise Kaise Kmayen ? |
Dear Readers , Aaj ki post bahut hi useful topic par hai.ye
aisa topic hai jisse sabse easy and soon online paise kmaye ja sakte hain.Log
Blogging start karte hain to unhe kafi time tak online earning nhi ho pati.aise
me ye work yani apni services ko online provide karke aap apni earning start
kar sakte hain.
Online Service Kaise Provide Karen ?
Sabse pahle ye samajh lete hain ki online service hoti kya
hai.jaise ki aapke pass koi talent hai ya koi aisa work hai jise aap karna
jaante hain.or us work ko aap online clients ke liye karenge to aapki online
earning start ho jayegi.ye work aap chahen to part time me kar sakte hain or
chahen to full time isi ko apna business bhi bna sakte hain.
Offline world me jitney bhi works hote hain vahi kaam online
bhi kiye or karwaye jate hain.jaise ki teaching , to offline me ek teacher
school me jakar padhata tha ,yahi work vo online bhi kar sakta hai ,use online
bhi kai aise students mil jayenge jo unse online padhna chahenge.
Isi tarah Website Development, Spoken English, Teaching,
Android App Development, or aise sekdon kaam hain jo online bhi kiye ja sakte
hain.or unse online bhi rupay kmaye ja sakte hain.
Online Ham Kya Service Provide Kar Sakte hain ?
Agr aapne Photoshop ,CorelDraw ,Business Management
,Internet Marketing ,Digital Marketing ,App Development , Web Development , MS
Excel , or is tarah ke dusre computer courses kiye hue hain to isme bahut sare
works aise honge jinhe aap kar sakte hain.or aap unke orders le sakte hain.
Online apni services wahi provide kar sakta hai jiske pass
koi na koi Skilled yani hunar hai.jahir hai ki agr aapko koi kaam karna aata
hoga tabhi aap uske liye orders le sakenge.
Me sbhi Yuvaon ko ye recommend karunga ki aap apni education
complete karne ke sath sath koi na koi skilled bhi seekh len.sirf education
kafi nhi hoti.uske sath koi na koi kaam aisa hona chahiye jise aap better
tarike se karna bhi jaante hon ,taki nokri na milne ki surat me aap apne us
hunar se bhi paise kma sken.
Online Apni Services Kahan Par Provide ki ja Sakti Hain ?
Agr aapke pass education ke sath hi skilled bhi hai or aap
works karna jaante hain or un works ko offline karke bhi paise kmate hain ,to
aap online bhi usi work ko karke usse rupay kma sakte hain.
Online apni services provide karne ke bahut se tarike
hain.aap chahen to apni khud ki website bnakar bhi apni services ko provide
karke rupay kma sakte hain.or agr aap website nhi bnana chahte to aap kisi bhi
freelancing site par jakar apna account create karke vahan bhi apni services ko
provide kar sakte hain.
Freelancing Site Par Services Provide Kar Online Earning Kaise Kren ?
Freelancing ki bahut si aisi websites hain jahan koi bhi
apna account bnakar vahan apni service provide karke easy online earning kar
sakta hai.freelancing site par daily kai aise clients aate rahte hain jinhe
online service ki jarurat hoti hai.ye log vahan par apna project post karte
hain jisme complete details di hui hoti hai ki kya kya work karne hain or kis
tarah se or kitne time me karne hain or uske liye vo kitna pay kar sakte hain.
Inke project post karne ke baad freelancers yani online apni
services ko provide karne wale log us project par apna bid lgaate hain yani
uske niche comments karke offer karte hain ki ham is project ko itne time me is
tarah se itne rupay me kar sakte hain.ab client ko jiska bhi bid pasand aata
hai vo usse chat karke baat kar lete hain or is tarah dono me deal ho jati hai.
Client project ke rupay us freelancing site ko pay karta hai
or freelancing sites apna commissions rakh kar aapko pay kar deti hai.in sites
par sirf kaam ko salaam hai ,yani aap jitna achha work karenge aapko clients ki
taraf se utne hi best reviews milenge ,or un reviews ko padh kar dusre log bhi
aapse contact krenge or is tarah aapko kaam milta rahega.
Apni Website Ke Jariye Apni Services Ko Kaise Provide Kren ?
Pahla tarika to mene aapko btaya hai ki freelancing ke
jariye aap online apni service provide karke paise kma sakte hain.or dusra
tarika hai apni khud ki website bna kar apni service provide karna.
Ye kaam thoda mushkil jarur hai.lekin isme bhi aapko lgataar
work milta rahta hai.bahut sare hmare bloggers bhai aise hain jo ki kai years
se blogs likhte hain or iske sath hi apni services bhi provide karte hain.
Ye bhi ek best tarika hai.meri apni first online earning bhi
2 years pahle isi tarah hui thi.mene ek site ko design kiya tha jiske badle me
mujhe start me 3000 rupay mile the ye meri internet par pahli kmai thi ,jise
mene apni service ke jariye hasil kiya tha.
Aap bhi apni website ya blog bnakar is tarah apne readers ko
apni service provide kar sakte hain.apni online service se rupay kmane se pahle
aapko free me kuch months logon ki help karni padegi.mujhe blogging me 8 years
ho chuke hain start se lekar 5 year tak mene jitney logon ki bhi help ki unse
kbhi kuch nhi liya.sab free me help karta tha.
Un dino me dubai me job karta tha or vaise hi achhi earning
kar leta tha isliye kisi se kuch nhi leta.ab me ek professional service
provider hun ,apni mehnat or time ke bakayda rupay leta hun.in 5 years me jane
kitne hi log mujhe jaanne lge meri apni ek pahchan bni ,is safar ke baad jakar
mene apni services ko paid kiya.
Isi tarah aap start me sirf logon ki help kren or pahle apni
pahchan bnaye logon ka bharosa jeeten ,uske baad aapko kaam ki kbhi koi kmi nhi
hogi.
Apni website se aap apni service plus Ad’s vgiara lgakar
dono hi tarike se online paise kma sakte hain.
Promote Your Service and Make Money Online
Ek tarika ye bhi hai ki aap job hi services provide karte
hain uske aap banner ads vgaira famous blogs par lagwa sakte hain.ya apni
service ke about unse posts karwa sakte hain.
Ye tarika bhi best hai ,isme aapko bahut hi kam invest karna
padega ,lekin aap famous blogs me apna promotion karwa kar kafi jyada logon tak
apni service ko pahuncha sakte hain.
Agr aap kisi blog par apni service ka koi banner vgaira lagwate
hain to aapko monthly 2 se 5000 rupay tak pay karne hote hain ,or agr aap apni
service ke about koi paid posts karwate hain to aapko 1 se 4000 tak pay karne
hote hain.
Lekin isse aapko fayda ye hota hai ki un blogs ko daily
hzaron log padhte hain or itne hi log email ke jariye unki posts ko padhte hain
to aap sochen ki aapki service ke about jo post hai vo ek hi baar me kitne sare
logon tak pahunch sakti hai.
Agr aapko inme se kuch orders bhi mil jate hain to aap apna
investment nikaal sakte hain.ye tarika bhi best hai.internet par aisi bahut si
blogs aapko mil jayengi jo paid ye work karte hain.
Apne sath sath aap chahen to isi tarike se apni Blog or
website ka bhi paid promotion karwa sakte hain.usse bhi aapko bahut fayda
milega.
Service providers ke liye online orders milna hi sabse
mushkil kaam hota hai agr ek baar use orders milne shuru ho gye to milte hi
rahte hain.
I Hope ki aapko apni services provide karke online internet
se paise kmane ke bare me is post se kafi kuch andaza hua hoga.
Ye post Service Provide Karke Internet Se Paise Kaise Kmayen
? aapko kaisi lgi ,ise apne friends ke sath share karna na bhulen.
Mere sath Social Media par judne ke liye
Aamir Ali
Info Tech Hindi
कोई टिप्पणी नहीं
Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.
Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.