New Own Business Kaise Start Kren Business Start up Tips



New Business Kaise Start Kren business start up Tips
How to start your own business start up Tips
Apna New Business Kaise Start Kren Business Start up Tips 

 Dear Readers, business management ki first post me aap sbhi ko welcome. aaj ki post me ham baat karenge ki apna Business kaise start kiya ja sakta hai.me aapko business ke start up ke bare me sirf guide kar sakta hun yani in tips ki help se aapko apne business ko start karne me help milegi.


New Business Kaise Start Kren Business Start up Tips

Kisi bhi Business ko start karne ke liye hme uski poori tayari karni padti hai.sabse pahle jis cheez ki jarurat padti hai vo hai Business Idea,yani business karne ke liye ek idea hona chahiye jis par aapko work karna hai.



Business Idea karne ke baad aapko unke liye ek project taiyar karna hota hai.mene khud kai business ideas par projects ko taiyaar kiya hai.usi ke hisab se aapko guide kar rha hun.

What business to start Business Project

Business project ko create karne ke liye sabse pahle aap ek dairy or pen lekar akele ke baithkar apne business idea ke bare me likhen.or in points par ek project taiyar kren.

1.Aapke Business me kitna investment ho sakta hai.

2.Aapke Business me kin kin materials ki aapko jarurat padegi ,or use kahan kahan se buy karna hai.

3.Business Materials ki price hole sell rates kya hain or unme aapka benefits kitna hoga.

4.Business ko start karne ke liye aapko place yani ek jagah ki jarurat pdegi ,unke liye kaun sa location best rahega.

5.Business ke liye aapko ek team ki jarurat padegi unki salary or works ke bare me idea kren ki kitne logon se aap kya kya works services lenge.

6.Invetments ke bare me bhi likhen agr aapke pass invest karne ke liye rupay hain to best hai varna kisi investor se apne idea ke bare me baat kren or use agree kren ki vo aapke idea par apne rupay lgaye.

Ye sab cheezen sabse basic hain is project ko taiyar karne ke baad aap kisi bhi company se contact karke apne business project ko unhe dikha sakte hain or unhe is par work karne ke liye yani investment karne ke liye agree kar sakte hain.

Starting a new business ke liye Investments kahan se Layen ?

Agr aapke pass ek better business idea hai or aapke pass us par work karne ka talent hai to aap apne business ka ek project taiyaar karke uske liye ek investor ko taiyar kar sakte hain.

Aap ye sochenge ki hmare business idea par kaun invest krega,to me aapko btana chahta hun ki jitni bhi big companies hain vo hmeshan new business ideas ko new talents ko support karti hain.
Aapke pass 3 tarike hote hain apne business ka start up karne ke liye ,pahla ya to aap apne rupay se apna business start kren.



Dusra agr aapke pass rupay nhi hain only business idea hai or aapko lagta hai ki aapke business idea me dam hai,to aap kisi ko business partner le sakte hain.vo is tarah ki investment unka hoga or mehnat aapki.
Kai log aise hain jinke pass jarurat se jyada rupay hain but unke pass aisa koi powerful business idea nhi hai jisme vo apne rupay invest kar sken.shayad vo aapko chance de den.


Aise log aapko apne shahar me bhi mil jayenge.aap himmat karke apni city ke jitney bhi business mans hain unki ek list taiyar kren or eke k karke unse mulakaat kren or unhe apne business idea ke bare me btayen.
Agr aap unko satisfy karne me kamiyab hue to aapke business investment ke raaste khul jayenge.

Aapki targeeb ke liye btata hun ki mene aisa kiya hai ,mene kai business peoples se milkar apne business plan ke project ko unke samne rakha ,or unhe satisfy karke investment ke liye taiyar bhi kiya.but is beech mera dubai ka visa aa gya or me dubai chala gya.



Aise aap bhi himmat karenge to aapko apne hi shahar me kai business peoples mil jayenge jo aapko jaante bhi nhi honge but agr aapke business plan me dam hoga or agr aap unhe apne business plan ko samjhane me kamiyab hue to vo jarur invest karne ke liye agree ho jayenge.

Business peoples ke alawa aisi bahut si companies hain jahan aap himmat karke jaakar apne business plan ko unke owner ko dikha sakte hain or unhe apne business me investments ke liye taiyar kar sakte hain.

Meri kismet is maamle me itni best hai ki mene jitney bhi business peoples se mulakaat ki un sbhi ko apne projects par satisfy karne me kamiyab hua.or mze ki baat ye hai ki me unse pahli baar hi mila tha.or unme se kai aise hain jo ki muslim nhi the fir bhi unhone mujhe support kiya.business peoples hmeshan new logon ki baat ko dhayn se sunte hain ,or use samajhte hain.or agr unhe pasand aaye to unhe chance bhi dete hain.


Har business person ye chahta hai ki vo new businesses ko start kre or jitni punzi uske pass hai usse kai guna jyada or kmaye ,unhe hmeshan aise logon ki talash rahti hai jinke pass new business plans hon ,or unme kuch kar guzarne ka jazba ho.bas himmat ki hi keemat hai.agr aapke pass kuch kar gujarne ka jazba hai or best business plans hain to aapko aise logon se contact karna chahiye.me aapko yakeen dilataa hun ki aapko nakami nhi milegi.anzaan log bhi aapko support krenge.

Bank Loan for Business start up setting up a business

Tisra tarika investment ka ye hai ki aap bank se loan lekar apne business ko start kar sakte hain.ye kaam thoda mushkil jarur hai but na mumkin nhi hai.

Abhi india me business ka scope pahle se kafi jyada hai iski ek vajah indian govt.bhi hai.Narendra Modi Sarkar new business start up ko full support karti hai.agr aap kisi politician ko jaante hain to aapka kaam kafi easy ho jayega.

Politician ki help se aap Bank se loan lekar apne business ko start kar sakte hain.kis business ko kitni subsidy mil rhi hai iske bare me bhi aap jaankari le sakte hain.Indian Govt khud ye chahti hai ki hmare desh me business ko badhawa mile.or jyada se jyada business ho taki govt ko bhi fayda ho.

Starting a new business with your Business Idea

In tino tarikon se aap apne business project ke liye investment ka intzam kar sakte hain.inme se sabse best hai ki aap apne khud ke rupay se apna home business start kren.

Kyu ki bank loan ki aapko per month Installment bharni pdegi.or agr aap kisi investor ko partner lete hain to business se hone wali all earnings do hisson me bant jayegi.sirf khud ka invest hi ek aisa rasta hai jisse aapko 100% fayda ya nuksan hota hai.

Business me loss and benefits ko lekar hi chalna padta hai.or aap ye maan kar chalen ki aap 1 year tak kuch bhi benefit nhi kma skenge.is one year aapko sirf mehnat karni pdegi.har business start up me set hote hote kam se kam 1 se 2 years to le hi leta hai.
Sirf basic income aapko after 6 month hi milni shuru ho jati hai.but ise benefits nhi kaha ja sakta.

What are Business benefits?

Mere hisab se business benefits sahi mayno me use kaha jata hai jab aap apni all investments ko nikaal chuke hon.or uske baad jo aapko benefits milte hain vo aapke business benefits kahlate hain.

Jab tak aap apne business se investment ko nhi nikaal lete tab tak aap fayde me nhi aayenge.jaise ki kai log Interest par rupay lekar business karte hain,to jab tak vo complete rupay chukka nhi dete tab tak vo khud ko benefit me nhi maante.



Mere hisab se Interest par rupay lekar business karna kafi jyada risk se bhara hua hai.isse behtar to kisi ko partner lekar business kar lena chahiye.kyu ki jo log Interest money se business karte hain mene dekha hai unki jindgi nikal jati hai but Interest money hi complete nhi ho pati.or rupay vaise ke vaise baki hi rah jate hain.

Last Words about Business start up

Business start up ke bare me aapne jo tips padhe hain I Hope ki aapko inse help milegi.or aapko apna own business start karne ka jazba milega.is post ke sath hi men eek new Colom shuru kiya hai jiska name hai business management.or ye iski first post thi.

Insha Allah aane wale times me aap business management ki kai useful posts ko bhi padhenge.business management ko lekar me videos record karna chahta tha taki me khud online aapko business guide de skun.but mera ye sapna adhura rah gya ,time ki kmi or bahut jyada work ki vajah se me online videos ke jariye aapko nhi samjha ska.
Filhal is subject par aap ek ke baad ek posts padhte rahenge.



I sure jis din bhi aap business management ki video class me mujhe dekhenge or sunenge to aapko isse kai guna jyada better trainings milegi.me koshish karunga ki business start up se lekar business ko success bnane tak ke all tips aapke liye likh kar posts kar skun.
Bas aap mere liye dua kren.or mere sath isi tarah bne rhen.or daily is site ko visit karte rhen.info tech par bhi daily posts karne ki koshish karta hun.

I Hope ki aapko New Business Kaise Start Kren business start up Tips aaj ki ye post jarur pasand aayegi.ise apne friends ke sath share karna na bhulen.
Mere sath social media par judne ke liye


Aamir Ali
Info Tech Hindi



कोई टिप्पणी नहीं

Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.

Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.