True Caller Android App Ke Top 7 Hide Features in Hindi/Urdu

Top 7 Hide Features of True Caller Android App

True caller is a popular android app.all android users are using this useful app.in this post you can read and learn about best 7 hide features of true callers app.and you can use easy true caller app on your android phone.

Top 7 Hide Features of True Caller

True Caller Android App ke Top 7 Chupe Hue Features


Dear Friends,
Kya kabhi aap ko lagta hain ki ye pata chal jaye ki anjaan number se kon call kar raha hain .iske liye ek app hain True caller jise aap me se bahut se log use karte honge magar is app se call karne wale ka naam pata lagane ke alawa or bhi kai kaam kiye ja sakte hain.
Aaj ki post me aap True Caller Android App ke 7 Chupe hue features ke bare me padhenge.ye feathers bhi bahut hi kaam ke hain.inke bare me janne ke baad aap inhe use karna jarur pasand karenge.

Call block Karen (Block unknown calls )

Ye app kuch khass number se aane wale call block kar sakta hain . agar aapko lagta he ki koi aapko kesi khass number se paresaan kar raha he to uske number ke pahle kuch number ad kar ke block kar dijiye . iske baad us number se aane wale call aapko paresaan nahi karege.

Bina internet jane kon kar raha he call (Know About Unknown calls)

Ye jaruri nahi ki app ko har baar kaam karne ke liye internet jaruri  hain.ek baar number pahchan lene par ye bina internet par bhi agli baar caller ke bare me jankari de dega.

Khud ko spammers se bacahye (Safe Your Phone from Spammers)

True caller aapko spammers se bachata hain. Ye aap ko batata he ki kis number se call Aa rahi he use kisi ne spam mark kiya hain ya nahi is tarah se aap tay kar sakte hain ki call utani he ya nahi .

True caller ka  dialer –  true dialer

True caller se aap call block karne ke alawa bhi bhahut kuch kar sakte hain iska ek dialer app bhi hain. Jise aap apna default dialer bana sakte hain. True dailer naam ka ye app true caller ke sath sink ho jata hain is se aap ko alag se number vagerah search karne ya kisi ko block karne ki jarurat nahi padti

Search kar ke dhunde number (Find unknown calls Details)

True caller me ek search baar hain jo app kholne par dikhi deti hain isme loi bhi number type kar ke search kiya ja sakta hain . aap name ya address type karke bhi kisi ka number talash sakte hain.

Apni profile banaye (Create Your Profile )

True caller par aap apni profile bana sakte hain or use apne hisab se customize kar sakte hain is tarah se aap tay kar sakte hain ki any user ko aapke bare me kya jankari milegi  aap apna pura name or photo ad kar sakte hain facebook se bhi jaankari bhari ja sakti hain iske alawa aap apni website or email id bhi daal sakte hain . apne bare me choti si diskription bhi dali ja sakti hain . is tarah se aap apni pahchan chipa sakte hain. Iske liye aapko setting ke under privacy tab me jana hoga.

How to Disable Auto-update Apps in Android Mobiles in Hindi

How to Download and Install WhatsApp PC version 

How to Run Four What’sApp Accounts on One Android Phone

Truecaller app aapko aapka number data bas se hatane ka adhikar deta hain.iske liye aapko http://www.truecaller.com/unlist  par jana hoga iske baad country code ke sath apna mobile number type kare . yaha aapko vjah batani hogi ki aap is number ko kyon hatana chate he is ke baad captcha dalna hoga or unlist buton press karna hoga.


How to Check Your Own Mobile Number –If You Forget

How to Contact with Prime Minister of India Naraedra Modi

I Hope ki ye Post Top 7 Hide Features of True Caller Android App Aapko Jarur Pasand aayegi.Ise Apne Friends ke sath Share karna Na Bhulen.
Agr aapko meri koshishen pasand aa rhi hain to Social Media par mere sath jarur juden.


Aamir Ali
Info Tech Hindi


कोई टिप्पणी नहीं

Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.

Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.