Google AdSense Ad’s Blogger Blog Ke All Posts Me Kaise Lgayen ?

Adsense Code billow the post title
Google AdSense Ad’s Blogger Blog Ke All Posts Me Kaise Lgayen ? 
How to put AdSense Ad's Below Posts Title on Blogger Blog in Hindi Apne Blogger Blog ki All posts me Google AdSense ke Ad's kaise lgate hain Jab aap all posts me AdSense code ko inside blogger posts Add kar dete hain to isse aapki Google AdSense ki Earnings bhi Increase hogi.

How to Put AdSense Ad's Code Below Posts Title on Blogger Blog in Hindi


Mujhse kai logon ne iske bare me question kiya tha ki Blogger Blog me inside posts Google AdSense ke Ad’s kaise lgate hain ? or iske lgane se hmara fayda hai ya nuksan.Mere hisab se iske kuch fayde bhi hain or kuch nuksan bhi hain.fayde to theek hai lekin nuksan kya hain or inse kaise bacha ja sakta hai ye aap ko aaj ki post me btane ki koshish krunga.
Dear readers jyadatar naye bloggers ko Google AdSense se Earnings Hasil karne ki Bdi hi Jaldi rahti hai.or iske chalet vo kai aisi galtiyan bhi kar baithte hain jo ki Google AdSense Policy ke Against hain.Jinme se ek hai Invalid Clicks.

Google AdSense Ad’s Par Invalid Clicks Kya hain or Inse Apna account kaise safe rkhen ?


Apne Blogging carrier me mene sabse jyada Google AdSense account invalid clicks ki vajah se hi ban hote dekhe hain.iski vajah ek hi rahti hai ki log wrong jagah par bhi AdSense ke ads lga dete hain.

Jaise ki aapne apne ek hi post me 4,5 AdSense ke ad’s lga diye ,aba gr visitors un ads ko article samajh kar click karta hai to ye invalid clicks hota hai.yani galti se kiye jane wale clicks invalid clicks ki list me aate hain.
Isi tarah kai jarurat se jyada smart log AdSense ke ad’s ka link copy karke use blog ke kisi download link me daal dete hain ,taki jyada clicks mile ,par hota iska ulta hai ki jyada clicks to hote hi hain sath me AdSense account bhi ban kar diya jata hai.isliye Blog posts me agr aap AdSense ke Ad’s lgana chahte hain to right jagah par hi lgayen or right units and Ad’s type hi use kren.

AdSense Ad’s type and Units for All Blogger Blog Posts

Agr aap Apne Blogger Blog ke All posts me Google AdSense ke Ad’s lgana chahte hain to Sabse best Ad place hai title ke niche,chahe aap center me lgaye ya fir Sidebar me.Mere hisab se Ek hi Ad lgana better hai.or vo bhi Image Ad format ko hi use kren. Image Ad’s ke mukable me Text ads par invalid clicks ke chances jyada rahte hain.jabki Image Ad’s par Invalid clicks nhi ke barabar hi hote hain.

How to Increase Google AdSense CPC –AdSense Tips and Tricks

How to increase Google AdSense revenue easy smart ways in Hindi Urdu

Ad Size mere hisab se 300x250 better hai,is size ke ad’s ki performance bhi good rahti hai.or clicks bhi jyada hote hain.Aap agr chahen to responsive Ad’s format bhi lga sakte hain.isme Google apne hisab se size kam ya jyada karta rahta hai.Blog ke Side bar me jo log jyadatar Ad’s Lgate hain vo responsive ad’s format hi lgate hain.jabki mene 300x250 ka result jyada better dekha hai.

Apne Blogger Blog ki All Posts Me Google AdSense ke Ad’s Kaise Lgayen ?

1.Iske liye Sabse pahle Aap Blogger Blog par Log in kren. Or Template me jayen.
Template ka Backup le len taki Galti hone par dubara Theek kiya ja ske.

2.Ab Template me Edit HTML me Jayen or Ctrl + F key button daba kar <data:post.body/> code ko search karen.Ye Code Aapko 2 se 3 Jagah par Milega ,Aapko 2nd number wala hi use karna hai.

3.Ab Niche diya gya Code Copy kar len.

<b:if cond='data:blog.pageType == &quot;item&quot;'>
<div align="center">
Apna Google AdSense ads code yaha paste kare.
</div>
</b:if>

4. Ab is Code Ko <data:post.body/> 2nd number wale code ke upar paste kar den.

5.Ab Google AdSense account ko Open kren.yahan aapko Home button ke pass My Ad’s Button Nazar aayega us par click kren.

6.Yahan se Vo Ad’s Unit jo aapko apne All posts ke sath use karni hai uske Code ko Copy kar len.agr aapko 300x250 ad unit use karni hai to agr ye ads unit create ki hui hai to best hai ,varna New Ad Unit par click kren.

7.New Ad Unit me aapko Ad size me Showing me Recommended button par click karke Custom size chunna hai. custom size me 300x250 px daal den or new ad unit create kar len.

8.Ab us Ad’s Unit me Get Code par click kren.Ab aapko us Ad unit ke code nazar aayenge.unhe copy kar len.

9.Ab Yahan Click kren.yahan aapko Ads compressor milega.isme Drag a File or Paste Code likha nazar aayega.us par click kar den.or Jo Ad’s code aapne AdSense se copy kiye the unhe yahan par paste kar den.or Compress ke button par click kar den.or select all par click karke use copy kar len.

10.Ab Blogger me HTML me aapne jo mere diye hue code ko paste kiya tha usme jahan par Apna Google AdSense ads code yaha paste kare Likha hua nazar aa rha hai iski jagah par us compress code ko paste kar den.or template ko save kar den.
Bas itna hi karna hai,ye tarika Blog posts me title ke niche center me Ad lgane ka tha.agr aapko left or right side me apne Ad’s ko show karna hai to aap 
<div align="center"> is code me center ki jagah par left or right likh den.aapko Ad’s vahin par show honge.

1.Agar aap ads post ke ke bich me nahi dikhana chahate to. code me diye Center ki jagah right ya left karke ads ko right or left me kar sakte hain.

2.Agar aapke blog me post me ads show na ho to<data:post.body/> ke niche code ko paste karke try kare.


3.Agar aap post ke Last me ads Show karna chahate ho to post me btaye code ko<data:post.body/> ke niche paste kar sakte hain.

Blogger Blog ki All Posts me AdSense Ad's lgane ka fayda ye hota hai ki in par clicks increase hote hain ,or jab clicks badhete hain to aapki AdSense ki Earnings bhi badh jati hai.All posts me ads lgane ke baad aapko khud hi iska andaza ho jayega.

I Hope ki Apne Blogger Blog ki All Posts me Google AdSense ke Ad’s Lgane ka ye tarika pasand aaya hoga.or samajh bhi aaya hoga.Me koshish karunga ki jald hi iska video bnakar upload kar dun.taki aapke liye or bhi jyada easy ho jaye.

Agr ye post aapko pasand aayi to ise Apne friends ke sath Share karna na bhulen.or agr aap kuch bhi puchhna chahen to comments karke puchh sakte hain.me aapko jarur reply karunga.or kisi tarah ki bhi AdSense ya Blogger Help aapko chahiye tab bhi aap mujhe email kar sakte hain.

If You Like to Join me On Social Media

Aamir Ali

Info Tech Hindi 

कोई टिप्पणी नहीं

Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.

Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.