Facebook Profile Se Friends List Kaise Hide Kren ? Internet Tips
How to Hide Friends List from Facebook Profile in Hindi/Urdu |
In this post we will learn about how to hide friends list
from your Facebook profile. This is very simple and useful tips and tricks. and
also simple method. We will read and learn in Hindi/Urdu language.
Dear readers, Aaj ke time me Facebook to har koi use karta
hai.isliye kaha gya hai ki Facebook is a largest Social media website in the
world. Or ye baat bilkul sahi hai.ham me se bhi lagbhag sbhi Facebook to use
karte hi hain.
Facebook par apni privacy and apni personnel information ko
jitna ho ske hide hi rakhna chahiye.yani chupana chahiye.iske jahan kuch fayde
hain vahin bahut sare nuksan bhi uthane pad jate hain.
Facebook Par Apni Personnel Information ko Hide Rkhen
Kai baar log puri profile ko hi track kar lete hain.abhi 2
days pahle hi mere ek dost ke sath ajeeb maamla ho gya.kisi ne Facebook par
unki profile ko complete hack kar liya or unke naam se kai Groups vgaira me
Adult content share karne shuru kar diye.
Vo kafi pareshan ho gye.unhone mujhe call kiya or sara
maamla btaya.mene unse puchha ki aap apni ID ko use kar sakte hain ya nhi ? to
unhone btaya ki abhi tak to use kar sakta hun ,lekin hacker kbhi bhi password
change kar sakta hai.
Unki kismet achhi thi ki heck karne wala sirf posts par
posts kar rha tha lekin usne abhi tak password change nhi kiya tha.to mene unki
ID password ki help se unki profile ko completely Delete kar diya.or isse pahle
jaldi se unki new I.D bnakar unke sbhi friends ko request send kar di.is tarah
hamne itne fast karike se ye sab kiya ki ham unki old profile ko remove karne
me kamiyab ho gye.
Aaj 2 din ho chuke hain sbhi unse un posts ke bare me hi
puchh rhe hain jo unhone ki hi nhi thi.un posts ko koi or unke naam se kar rha
tha.time rahte ye sab kuch kar liya varna pta nhi kitna kuch nuksan uthana pad
sakta tha.
Mere aaj ki post karne ka maksad yahi hai ki aap Facebook
use kren lekin puri ahtiyat ke sath.kisi bhi anjan links par click na kren ,kai
log aisi Apps wali website par jate rahte hain jo unko unke bare me kai jhuth
baaten btati hain.jaise ki aapke bare me prime minister modi kya kahte hain
,aap kitne smart hain ,aapke kitne friends aapko pasand karte hain ,aapki Jodi kis
film star ke sath jmegi vgaira vgaira.
ye apps sites aapki personnel information
to track kar leti hain.aapki ID password details har cheez inke paas chali jati
hai.or is tarah aap ke naam se aapki hi profile se na jane kya kya kiya ja
sakta hai.
Yahan tak ki ek Punjabi bande ki profile ko heck karke use
Aatankvadi karar dene ki koshish bhi hui.uski kismet achhi thi ,ki usne heck
hote hi report kar di thi.varna uska pta nhi kya banta.
Kahne ka matlab itna hi hai ki Facebook aaj ke time me safe
nhi hai.or agr safe hai bhi to ham log aisi sites ko apni details de dete hain
,jo ki baad me hmari hi profiles ko heck kar leti hain.
Facebook Par Aapki Profile Heck karke Adult Content Share karne walo ko kya
milta hai ?
Ye sara game Advertisements ke jariye Earnings karne ke liye
hota hai.yahan tak ki kai log apne Ad’s ke URL ko copy karke or Facebook par
kisi ladki ki picture lga kar likhte hain Hi I am priya yahan click karke mere
whatsapp number dekhen. Or jaise hi aap click karte hain aap unke advertise par
redirect ho jate hain or kisi priya ke whatsapp number bhi nhi milte.
Jitne jyada log in Ad’s par click karte hain ,advertisers ko
uske hisab se Earnings hoti hai.jaise ham log Google AdSense ke ad’s apne blog
par lgakar uske jariye earning karte hain.vaise hi kai Advertisement programs
or bhi hain jo ki Adsense ki tarah pay karte hain.
Ab ye be emaan log un Ad’s ke links ko copy karke is tarah
logon se click karwate hain.or inki earnings hoti rahti hai.or log bewkuf bante
rahte hain.Facebook par aisi lakhon fake id bni hui hain jo ki females ke naam
se hain or unme sexy type ki pictures hoti hain.or khub Ad’s clicks ke jariye
earnings ka game chalet rahte hain.
Aaj ki post to mene Facebook Profile se Friends list ko Hide
karne ke bare me hi likhi hai.lekin ye kuch important baaten hain jinke bare me
aapko btana bhi jaruri lga.isliye isi post me pahle inke bare me btaya.
Facebook Profile se Apne Friends List ko Kaise Hide Kren ?
Sab se Pahle aap apne browser se www.facebook.com par jaye is ke baad apne email or password se
login ho jayen.
Ab Facebook ID ke home page par aapko menu ka option
nazer ayega aap ne menu par click karna hai.
Menu par click karte hi aap ke ID ka menu open ho kar
aap ke samne aajae ga wahan ap ne Friends par click karna hai.
Friends par click karne ke baad apne next page per public
par click Karen.
Ab next page par aap ne only me par click karna hai,or
save kar dena hai.
Congregation ab friends aap ka friends Facebook list hide ho
chuki hai dusro se chup gai hai ab aap ke friends ko koi bhi nahi dekh paye ga
chahe wo jitni bhi koshish kar le.
Aajke liye itna hi.aainda aapko Facebook ke bare me or bhi
bahut kuch posts karke btata rhunga.
Friends me Facebook use nhi karta.iski bahut saari wajah
hain jo me aapko kbhi fursat me btaunga.lekin itna bta deta hunki Facebook par
mere 4 profiles block kiye ja chuke hain.
Ab bhi kai log mujhse puchhte rahte hain ki sir aap apni
Facebook ID dijiye ham aapke sath judna chahte hain.meri purani i.d par bhi jo
log request send karte hain vo bhi na kiya kren.me unhe ab use nhi kar
sakta.aap log mere sath judna hi chahte hain to dusre social media par jud
sakte hain.
I Hope ki aapko aaj ki post pasand aayegi.agr aapko ye post
useful lge to ise share karna na bhulen.or agr aap kuch puchhna chahen ya aapko
help chahiye to aap comments kar sakte hain.ya mujhe direct email kar sakte
hain.
Aamir Ali
Info Tech Hindi
कोई टिप्पणी नहीं
Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.
Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.