Online Business Idea-Professional Full Time Blogger Kaise Bnen ?
Online Business Idea-Professional Full Time Blogger Kaise
Bnen ?
Professional and full time blogging is a best and greatest
online business idea. Many bloggers are work online and make money fast and
easy with writing blog. You can also start your own blog and earn money online.
Online Business Idea-Professional Full Time Blogger Kaise Bnen ? |
Dear Readers aaj ham baat karenge professional blogging ke
bare me ye ek best and simple online business idea hai.jis par millions
bloggers daily online work karte hain.apne blogs ko updates karte hain or use
Google AdSense or dusre Ad networks ke sath monetize karke online earnings karte
hain.jinme se ek me bhi hun.aaj me aapko btaunga ki aap full time blogger kaise
ban sakte hain.
Internet par in the world bahut sare log aise hain jo ki
part time blogging kar rhe hain.kai apne shauk ko pura karne ke liye blog
likhte hain to kai online rupay kamane ke liye blogging karte hain.full time
blogger banne ke liye full time works karna padta hai.or ek proper planning se
chalna padta hai.jisme aap paisa bhi kmate hain or apna carrier bhi bnate hain.
Professional Bloggers Kise Kahte Hain ?
Professional bloggers un logon ko kaha jata hai jo full time
blogging hi karte hain or ise se unka kharch vgaira chalta hai.yani vo is work
me itna kma lete hain ki unki sbhi jaruraten bhi puri ho jati hain.
Me aise bloggers ko bhi jaanta hun jinhone blogging ke liye
apne office lgaye ,or teams bnayi or aaj vo puri teams ke sath blogging works
ko kar rhe hain.yani unhone apna online business idea blogging ko hi bnaya.or
isme apna or apni team ka bhi career bnaya.or aaj vo monthly 5 lakh se 10 lakh
tak kma rhe hain.
Online Business Idea-Professional
Full Time Blogging
Blogging ek best and great Online Business Idea hai.agr
aapko blog writing ka shauk hai or aap isi ko apna passion bnana chahte hain to
aapko iske liye koshish karni chahiye.or isi me apna career bnana chahiye.
Professional Blogging ka future bahut hi best hai.or isme
aap aazadi ke sath apna kaam kar sakte hain.jahan tak me samajhta hunk i full
time blogger banne ke liye pahle aapko blogspot par blog bnakar iske bare me complete
seekhna chahiye kyu ki kisi bhi work ko karne ke liye use proper seekhna jaruri
hota hai.
Jab aapko blog se related kafi kuch knowledge ho jaye fir
aapko kam se kame k saal part time blogging karni chahiye.jab aapko part time
blogging me result mil rhe hon fir aapko full time blogging ke bare me sochna
chahiye.
Online Business Idea- Full Time Blogging Kaise Start Karen ?
Blogging bhi ek online business hai jisme aapka kalam bikta
hai.yani jitna achha aap likhte hain utna hi achha aapko result milta hai.aap
sbhi jaante hain ki hare k business investment to maangta hi hai.isi tarah koi
bhi Professional blogging ke liye bhi aapko invest karna padega.lekin ye invest
itna jyada nhi hota.dusre business ke mukable me is business ka invest kuch bhi
nhi hai.
Domain Name Professional Blog Ke Liye
Professional Blogging start karne ke liye aapko sabse pahle
ek top level domain name kharidna padega.jo ki 99 rupees se lekar 600 rupees
tak aapko mil jayega.jaise dot in se lekar dot com dot net dot org vgaira.jaisa
aapko suitable lge aap buy kar sakte hain. Perfect Domain Name Choose karne ke
liye aap is post ko jarur padhen.
Domain Name aage chalkar aapki ek pahchan bnega isliye soch
samajh kar balki research karke sahi guide line lekar hi domain buy kren. domain
name aapko per years renew karna padega.yani har saal aapko domain ke liye fir
se pay karna padega.
Web Hosting Plan Professional Blog Ke Liye
Professional Blogging ke liye aapko Web Hosting plan ki bhi
jarurat padegi.Web Hosting use kahte hain jahan par aapki website ko host kiya
jata hai.iske liye kai companies hain jo ki web hosting provide karti hain.
Web Hosting aapko lagbhag 4k se 8k tak best companies se mil
jayengi. Hosting plan buy karne se pahle aap achhi tarah check kar le ki vo
company aapko is plan me kya kya services provide kar rhi hai.
Agr aap free hosting par blogging karna chahte hain to aap
Google ka Blogger Platform use kar sakte hain. but isme aap professional
blogging nhi kar payenge iski vajah hai ki jis tarah ham free hosting blogger
use kar rhe hain vaise hi duniya me an ginat log aise hain vo bhi is free service
ko use karte hain.
Isme bahut hi kam feature hote hain.isliye is par aapka full
control nhi hota.or is platform par aap jyada time tak blogging nhi kar pate
vajah ye hai ki isme aapko har feature limited hi milte hain.isliye full time
blogging ke liye hosting bahut jyada jaruri hai.
Full Time Blogging –Start Your Own Online Business
Blogging ek aisa work hai jisme aap hi workers hote hain or
aap hi malik hote hain or aap hi helper hote hain.yani aap ki apni mehnat jitni
jyada hogi aapko kamiyabi bhi utni hi jyada milegi.
Sabse pahle aap jaisa mene upar btaya vaise hi ek domain
name or web hosting lekar ek professional website bnayen.fir usme posts karna start
kar den. Filhal aap part time hi blogging Karen.or kam se kam 100 posts kar
den. Daily 1 ya 2 posts ka target lekar chalen.or sath hi apne posts ko social
media par share karte rhen.
Or apni site ko Google Bing Webmasters or dusre search engines par submit kar den.kam se kam 3
month dil lgakar mehnat kren or good and best posts karte rhen.jab aapki site
par 100 posts plus 2 month complete ho jayen tab aap Google AdSense ke Ad apni
blog par lgayen.
Full Time Blogger Mostly 4 Ways se Online Paise Kmate hain
Google AdSense: Jisme Sabse pahla
Google AdSense ,sbhi ne apni blogs par adsense ke ads lgaye hue hain isse unki
earnings hoti hai.balki sabse jyada earning hi isi se hoti hai.
Google AdSense world ki sabse bdi Online Advertisement
company hai jo ki High Traffic Blogs and Websites par apne clients ke Ad’s
Lgati hai or uske badle me Bloggers ko pay karti hai.yani aapki site par lge
hue har ads par daily jitney clicks honge uske hisab se aapko rupay milte hain.
Affiliate Marketing: yani
Online samaan sell karna.ya apne reference se products ko sell karna.ye work
bhi almost sbhi professional bloggers kar rhe hain.isse bhi Good Earnings ho
jati hai.
Iske liye aap kisi bhi online selling company ke affiliate
programs ko join karke apna account bna sakte hain.or uske products ko apni
blogs par sell kar sakte hain.ye kaam bahut hi aasan hai.or jin blogs par high
traffic hota hai unke liye ye ek vardan hai.yani unko sirf un products ke bare
me likhna hai or us products ka apna affiliate link dena hai ab us link par
click karke koi bhi un products ko kharidega to aapko bhi uska commission
milega.is bare me mene kai posts ki hui hain or kai videos bhi upload kiye hue
hain aap unhe padh ya dekh kar iske bare me jaankari le sakte hain.
YouTube Video Publishing:
YouTube ka Ek Partner Program hai jis par aap apna ek online Channel create
karke vahan apne videos ko upload karke unhe AdSense ke sath monetize kar sakte
hain.AdSense aapke videos par apne ads lgata hai or un ads par jitney clicks
hote hain uske hisab se aapko pay karta hai.
Info tech Hindi ka bhi YouTube par isi name se channel hai
jahan par aapko videos ke roop me sbhi posts mil jayenge.unhe dekh kar aap practical
seekh bhi sakte hain.
YouTube Channel se bhi acchi online earnings hoti hai.aap
apne blog ke sath sath apna channel bhi bna sakte hain or apni posts ko videos
ke roop me vahan upload kar sakte hain use aapki monthly earnings hoti rhegi.
YouTube bhi blogging ki tarah ek best platform hai jahan
aapko videos par AdSense ke or dusri ads companies ke ads lgakar uske jariye
online earnings ka mauka milta hai. Full time bloggers ko to YouTube par apna
channel bna hi lena chahiye ,taki vahan aap apne posts ke videos record karke
upload kar sken.isse aapki earrings jyada hogi.or aapko full time blogging me
support milega.
Ad’s Space: Agr aapki blog par
traffic kafi jyada hai to aapko kai dusre blogs or website wale apne Private Ad’s
lgakar online earnings ka mauka dete hain.yani aap apni site par dusre blogs or
website ke ads lgakar unse monthly payment le sakte hain.kai aise blogs hain
jinka daily traffic kafi jyada hai to vo dusre blogs or websites ke ads banners
bhi apni blogs par lgate hain jiska vo monthly charge lete hain.
Isse bhi aapko Good Earnings ke chance milte hain.lekin ye
work aap tabhi kar skenge jab aapki site ka traffic jyada ho.dusre blogs or
website wale apni site par traffic increase karne ke liye paid ads bhi lagwate
hain.isse unhe kafi fayda milta hai.unki sites ko bhi is tarah backlinks or traffic
milta hai.
Ye 4 ways aise hain jin par almost bloggers work karte
hain.iske alawa bhi bahut sare aise ways hain jin par bhi works kiya jata hai
uske bare me me aapko aainda posts me btaunga.
Full time blogging business ke liye jab tak aap ek Job jitna
online na kmane lag jayen tab tak na kren.jab aap job ko chhodkar bloggings se use
jyada online earnings karne lag jayen tab aap full time isi ko den.or team
bnakar work kren aapka works bhi jyada hoga or earnings bhi jyada hogi.
I Hope ki aaj ki post Online Business Idea-Professional Full
Time Blogger Kaise Bnen ? aapko jarur pasand aayegi.agr aapko kisi tarah ka koi
sawal puchhna hai to aap comments ke jariye puchh sakte hain.or kisi bhi tarah
ki help ki jarurat pde to aap direct mujhe call kar sakte hain.
Is post ko apne friends ke sath Share karna na bhulen.
Aamir Ali
Info tech Hindi
कोई टिप्पणी नहीं
Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.
Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.