YouTube Channel Start Kren and Easily Online Paise Kmayen

YouTube Channel Easily Make Money Online
Start Your YouTube Channel and Easily Make Money Online  
YouTube is a Largest Videos Publishing website. YouTube Partner program any one can join and create a YouTube channel and Upload videos then monetize with Google AdSense and make money easily from YouTube without investments. Start your own channel and earn lot of money online on YouTube.

Dear readers YouTube the first and Largest Videos Publishing website in the world.Jahan koi bhi Apna khud ka ek Channel Create karke us par videos upload karke monthly good Earnings kar sakta hai.

YouTube videos par watching times,Views,and Clicks par payment karta hai.YouTube ab Google ki hi ek service hai.jise aap apne Gmail account se bhi use kar sakte hain.
Many peoples are make money with Bloging ,and Jo log Blog ya Website ke bare me jyada nhi jaante ,ya fir inke alawa dusre tarike se earnings karna chahte hain to YouTube unke liye best Option hai.Jahan par unhe sirf videos hi upload karne hain.

How to Make Money with YouTube Lifetimes?

YouTube ek aisa platform hai ,jahan aap ek baar mehnat karte hain ,to aapko life time uska fayda milta hai.yani ki jaise aapne ek video bnaya or use YouTube par upload karke monetize kar diya ,to jab tak duniya us video ko dekhti rahegi ,aapko uski earnings milti hi rahegi.

Duniyan me ham kisi jagah par Job karte hain to hme month complete hone ke baad ek hi baar salary milti hai.jabki ham poore month work karte hain.yani 30 days me daily maximum 8 hours.
YouTube ke liye aapko Ek video bnane me jyada se jyada 2 hours lag jayen.lekin aapke is 2 hours ki mehnat aapko life time fayda deti hai.
Is hisab se Job se Millions guna better hai YouTube par work karna.jahan aapko har ek video ki income life time tak milti rahti hai.yani ki YouTube ek Govt.Job ki tarah hai.agr aap is par seriously works karte hain ,to aapko ye jindgi bhar har month earnings deti hai.

How we can Make Money with YouTube and How Receive Payment?

YouTube par koi bhi banda work kar sakta hai.chahe vo educated ho ya non educated ,isse koi fark nhi padta.bas aapko real tarike se work karna aana chahiye.or is article se aapko kafi had tak andaza ho jayega ki ye koi itna mushkil work bhi nhi hai.Me khud Blogs and Website and also YouTube channel par works karta hun.YouTube par mere apne kai channels hain.jin par me kbhi kbhi videos upload kar deta hun,fir bhi vo channels earnings kar rhe hain.

YouTube ka ek Partner Program hai ,jise koi bhi join kar ke YouTube ka Partner ban sakta hai.vo is tarah ki aapko YouTube par ek professional Channel bnana hoga ,or use Google AdSense account ke sath Monitize karna hoga.ab aap videos upload karte rhen ,YouTube aapke videos par Ad’s lagata hai,unhi Ad’s se aapki earning hoti hai.jaise blog and websites par log Google AdSense ke Ad’s lgate hain or use unki earnings hoti hai.
YouTube par Channel create karne ke liye aapke pass ek Gmail ki I.D honi chahiye,jisse aapko Channel bnana hai.or aapke pass aise videos hone chahiye jo ki YouTube par pahle se maujud na ho.unhe aap Upload kren ,un videos ke per thousand views par aapko 1$ ki earning hoti hai.

Jaise ki aapka ek video per month 1 $ earning karta hai,or aapne apne channel par 100 videos ko upload kiya hua hai,to aapke 100 videos 1x100=100$ earning karte rhenge.or generally hare k video ko 30 days me 1000 views to dekh hi lete hain.
YouTube aapko per video per month income deta hai.jab tak vo video YouTube par rhega aapki earnings chalti hi rhegi.agr aapka video viral ho jata hai to ek hi video 100$ se bhi jyada earnings kar leta hai.video aisa hona chahiye jo ki viral hone ki salahiyat bhi rakhta ho.

Aapke YouTube Channel ke videos ki monthly earnings per month 15 tarikh ko aapke Google AdSense account me aa jati hai.or AdSense ke bare me aapko pta hi hai ki isme 100$ hone ke baad aap apne bank account me transfer kar sakte hain.

Who to Get Niche Ideas for YouTube Channel ?

Niche Ideas yani Topic selection,yani ham kis topic par YouTube par channel create kren.ye sabse ahm cheez hoti hai.iske liye aap ye dekhen ki aap kis country ke liye videos upload kar rhe hain.

Agr aapki targeting country India or Pakistan hai to aap in countries me sabse jyada kya dekha jata hai ,uske hisab se topic select kar sakte hain.iske liye aap Google Trend ki help le sakte hain.or Urdu Hindi me bhi videos upload kar sakte hain.lekin in countries or in language me work karne se aapko earnings ke liye wait karna padega.kyu ki in language ko jaanne wale unse kafi kam hain jo English language ko jaante hain.English ek international language hai.or English me channel create karne or usi me videos upload karne se aapko jaldi result mil jate hain.or earnings bhi jyada hoti hai.

When We Can Get Videos for YouTube for Online Earning

YouTube channel create karne se pahle aapko kuch cheezon ka khas khayal rakhna padega.jinme se pahla hai topic selection ,or dusra hai videos.
YouTube ke liye aise videos ka hona jo ki pahle se YouTube par maujud na ho.agr aap aise videos ko upload krenge jo ki pahle se hi maujud hain to aapka YouTube channel suspend ho jayega.kyu ki isme copyright issue kafi jyada aa jate hain.
Me aapko kuch tarike btata hun jinse aap apne channel ke liye videos hasil kar sakte hain.

1.Record Videos By You : Aap khud videos ko apne Smartphone ya Camera se record kren, or use edit karke upload kar den.aap koi bhi video record kar sakte hain.chahe vo food ka ho ya funny ho ,ya kisi program ka ho.

2.Record Your Tutorials : Jaise ki me khud ek tutorial maker hun.apne khud ke online tutorials ko apne computer par hi record karta hun.fir unhe edit karke apne Info Tech Hindi ke YouTube Channel par upload kar deta hun.isi tarah aap bhi aise tutorials bna kar upload kar sakte hain.jahir hai ki jise aap bna rhe hain vo YouTube par pahle se nhi ho sakte.

3.Record Your Blog Posts : kai bloggers aise bhi hain jo ki apne Blog ki posts ko Video ke roop me record karke upload karte hain.isse unke visitors ko samajhne me aasani bhi hoti hai or inki earnings bhi.aap bhi aisa kar sakte hain.aap apne Blog ya Website ki Posts ko video record karke upload kar den or un posts me apne video ka link bhi de den isse aapki posts padhne wale visitors aapke videos ko bhi dekhenge.

4.Create a Slideshow : apne YouTube Channel par video upload karne ke liye aap Microsoft Office power Point ,Photoshop,vgaira ke jariye Slideshow ka video bhi bna sakte hain.isme aap apni aawaz ya music vgaira bhi insert kar sakte hain.isme videos bnana behad aasan hai.

5.Creative Common Videos : YouTube par aapko bahut sare Videos aise bhi mil jayenge jinhe aap download karke dubara re upload kar sakte hain.aise videos ko creative common videos kaha jata hai.ye vo videos hote hain jinhe upload karne wale khud is baat ki ijazat dete hain ki aap inme editing karke dubara upload kar sakte hain.

Creative Common videos ke liye sabse pahle aap YouTube par kuch bhi likh kar search kren.ab aapko side bar me filters nazar aayega.
Isme aapko Features section me Creative Commons likha nazar aayega.aap isi par click kar den.ab aapke saamne jitney bhi videos open honge vo sab creative common ke honge yani aap unhe download karke dubara upload kar sakte hain.inme koi issue nhi hoga.

Creative Common Videos ko use karne se pahle aap unhe edit karna na bhulen.yani aap unhe naya bnakar upload kren ,vaise ke vaise hi upload na kren.varna ye bhi accept nhi honge.

Is section me aapko hare k topic par videos mil jayenge or hare k language me bhi mil jayenge.jinhe aap aasani se kaam me le sakte hain.inhe download karke dubara edit kren ya fir do teen videos ko ek kar bna len.or use upload kar den.ya kisi video ke tukde karke unhe ek ek karke upload kar den.is tarah aap apne channel ke liye videos ka intzam kar sakte hain.
Aap ek Gmail I.D se kai kai channels bhi create kar sakte hain or sabko monetize bhi kar sakte hain.or alg alg I.D se bhi alg alg channels bna sakte hain.isme koi issue nhi hai.

How to Create Your Own Professional YouTube Channel ?

Shop lgane se pahle uska rng rogan uski design ,uski sahi settings or best quality products vgaira ki jarurat padti hai.vaise hi YouTube channel ko bnane ke liye uska Professional Look ,SEO Settings,vgaira sabse jaruri hote hain.agr aapne koi normal sa channel create kar liya or usme videos upload karte hain to aapko better result nhi mil payenge.iski vajah yahi hai ki log channels ko bhi dekhte hain ki ye kitna professional hai.khas kar tutorials makers ko iska khayal rakhna chahiye.log is baat ko bhi notice karte hain ki seekhane wala khud kitna professional hai.agr uska channel hi normal sa hai ,to impression to yahin khatm ho jata hai.
Youtube par Channel create karna aasan hai ,lekin uski sahi settings karna utna hi mushkil hai.or sahi settings ke bina channel ka viral hona behad mushkil hai.or use earnings karna use bhi jyada mushkil hai.

YouTube Channel Professional SEO Settings 

YouTube Channel ki SEO Settings me aapko Dashboard ,Video manager, Live Streaming, Community, Channel, Analytics, Status Features, Monetization. Google AdSense Account ,Channel Verification, Upload Defaults, Featured content, Branding, Advanced, Channel Banner Art, or inke andar bhi kai settings karni padti hain.tab jakar aapka YouTube Channel ek Professional channel bnega.or aapko use fayda hoga.fir iske baad aapko apne AdSense account ke sath ise monetize karna hoga.fir aapke videos ki earnings seedhe aapke AdSense account me aayegi.
Agr aap khud ye apna channel create kar sakte hain to aapke liye YouTube Partner Program ek best option hai.or agr aap chahen to kisi specialist se help bhi le sakte hain.or apna channel with Seo settings banwa bhi sakte hain.

Info Tech Hindi YouTube Channel Services

Info tech ki taraf se bhi YouTube channels create karne or uski sbhi SEO settings karne ki service hai.jisme aap kam se kam investment me apna khud ka ek professional YouTube Channel banwa sakte hain.jisme vo sbhi settings karke di jayengi jo ki ek professional channels me hoti hain.

Hmare apne kai channels YouTube par perform kar rhe hain.jinme se ek Info tech ka Official professional channel bhi hai.jise aap yahan click karke dekh sakte hain.
Agr aap YouTube par work karne ko lekar serious hain,or apna khud ka channel start karna chahte hain ,to aap kisi bhi time hamse contact kar sakte hain.aapko 2 days me hi channel create karke de diya jayega.jisme All SEO settings ,with Verification ,and Monetize with AdSense honge.agr aapka Google AdSense ka account nhi bhi hai to aapko free me iske sath hi create karke diya jaega.or aapke channel ke sath attach karke diya jayega.
Info tech ki taraf se Professional YouTube Channel with complete SEO Settings ka service charge hai sirf or sirf 2,000 Indian Rupees. and delivery time hai 24 to 48 hours.or iske sath hi aapko ek limited time tak technical support bhi diya jayega.aaj Millions log YouTube Partner Program ke jariye Online earnings kar rhe hain.aap bhi in logon me se ek ho sakte hain.or YouTube se life times earnings kar sakte hain.
or Jo Business Hme Life times Income deta ho uske liye thoda bahut investments kuch bhi nhi hai. to der na kren or aaj hi apne haunslon ko parwaaz den.or kuch naya kren jise duniya yaad rkhe.

I Hope ki Aapko YouTube partner program ke jariye Start Your YouTube Channel and Easily Make Money Online ka complete process samajh me aa gya hoga.Jald hi me apne Info tech Hindi ke YouTube channel par YouTube Earning Course start karne wala hun.jisme aapko is filed ki sbhi jankariyan free milegi.or aap apne channels se online earnings karna bhi seekhenge.

Agr ye post pasand aayi to ise apne friends ke sath share karna na bhulena.or is website ko subscribe bhi kar len taki aapko har post email ke jariye milti rhe.

Watch Video 

How to start your own YouTube channel and make money Hindi Urdu 


Or agr aapko meri koshishe pasand aa rhi hain to mere sath social media par jarur juden.
Subscribe My Official YouTube Channel
Join On Google Plus
Follow On Twitter

Aamir Ali
Info Tech Hindi

कोई टिप्पणी नहीं

Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.

Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.