True Caller Android App Se Apne Number Kaise Hide/Delete Kren ?

Remove /Hide Your Name Number from True Caller
How to Remove /Hide Your Name and Mobile Number from True caller
True caller is a android app for trace name and mobile numbers and all details for caller. If you want to remove your name and mobile numbers and personnel details from true caller must read this article for help and safe your caller details.

True caller Se Apna name or number and Details ko kaise Hatayen ?

True Caller ek Android Mobile App hai ,jo ki aaj kal hare k ke mobile me hoti hai.ye app aapko call karne wale ka naam and mobile numbers and details ko show karti hai.isse users ko callers ke bare me pta lgana aasan ho jata hai.

True Caller Android App ko jab bhi koi apne smartphone me install karta hai ,to ye app uske mobile me maujud sbhi contacts numbers ko apni directory me save kar leti hai.or usi ki madad se ye ek dusre ko callers ki details ko show karti hai.
Meri nazar me is app ye personnel privacy ko khatra rahta hai.jaise ki aapke mobile me apni ma bahan bhabhi ya ghar ki kisi bhi females ke numbers save hain,to ye app un sbhi numbers ko copy karke apni directory me save kar leti hai.ab agr galti se in females me se kisi ne kahin kisi wrong number par call kar diya ,to true caller foran us female ka naam or number apne users ko bta deta hai.

Ab jis wrong numbers par galti se call kiya agr vo banda bura hai ,to details dekhne ke baad use apne mobile me bhi save kar lega.or fir us female ke liye problems create hoti rhengi.iska solution sirf yahi hai ki ya to aap is app ko use hi na kren ,or ya fir use kren to numbers koi ski directory se remove kar den.

How to Disable Auto-update Apps in Android Mobiles

How to make money with Shorete.st in Hindi

How to Remove Your Name and Mobile Numbers From True Caller App Directory?

Apne Name and Mobile Numbers ko true callers app ki directory se remove karne ke liye aap niche diye gye steps ko follow kren.

Steps ko follow kare.

# Sabase pahle Apne mobile me true caller app download kar ke open kare.

# Left side me upar ki taraf click karke ab Setting par click kare.

# Ab app ko About option nazar aayega usi par click kare.

# Ab appko Niche Deactivate account par click karna hai  or Yes ke option par click karna hai.Ab aapka true caller account delete ho jayega, ab aap ko mobile number and name ko true caller ki directory se unlisted karna hai.

# Truecaller se number unlisted karne ke liye aap iski official website ke is link  https://www.truecaller.com/unlist par jayen.

# yahan aapko inka Unlist Form milega.

# Ab PHONE NUMBER ki jagah par number enter kare jisko aap true caller se remove karna chahte hai.

# Ab aapko Please let us know your reasons for unlisting your number (mark all that apply) options me se 1 reasons select karna hai.

# Ab Verification me "I am not a robot" par click kare or image ko same mark lgakar varfy kare phir Unlist par click kar de.

Now Aapka Mobile Number within 24 hours True Callers ki Directory se remove kar diya jayega.uske baad chahe koi bhi true caller par aapka mobile number search kre use koi bhi information show nhi hogi.

Top 10 android apps for every smart bloggers for improve Blogging

How to Contact with Prime Minister of India Naraedra Modi-Get All Contact Info of PMO India

I hope ki aap is tarike se apne mobile numbers and details ko True Caller App se remove kar sakenge.agr ye post aapko pasand aayi to ise apne friends ke sath share karna na bhulen.

Or mere sath social media par jarur juden.

Aamir Ali

Info Tech Hindi      

कोई टिप्पणी नहीं

Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.

Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.