Fiverr Se Online Paise Kaise Kamaye फाइवर से ऑनलाइन रूपए कैसे कमायें

earn Money easy with Fiverr in Hindi urdu
How to earn money easy with fiverr useful Tips in Hindi urdu
Read all about fiverr world’s largest marketplace digital service site. here you can work online and buy and sell services and make money online very easy and fast on fiverr.

Fiverr par online earning kaise kren ?
Dear readers ,aaj me aapko ek freelancing site fiverr ke bare me btaunga,or isse kaise online earnings ki ja sakti hai ,iske bare me full guide karunga.aap is post ko poora pdhen.iske baad aapko fiverr ke bare me kisi se kuch puchna nhi padega.iska complete working process or isme work karne ke kai tips aap is post me padhenge.

What is Fiverr and How to Make Money with fiverr in Urdu Hindi

Fiverr world’s largest marketplace digital service company hai.jahan par services buy and sell ki jati hai.yahan koi product vgaira nhi sell kiye jate.balki sirf apni services sell ki jati hai.ye company skilled professionals ko online job provide karti hai.jahan par vo apni skilled se works kren or online earning kren.fiverr par aapko har works ko online karne wale mil jayenge.logo designing se lekar website designing tak articles writing ,Seo,vgaira jaise lakhon Gig aapko mil jayenge.ye ek largest digital marketplace hai.jahan par koi bhi apni services ko bech sakta hai.yahan lakhon log online jobs karte hain.or kai full time online jobs works at home bhi karte hain.ye log ghar par rahte hue bhi online itni earnings kar lete hain ,ki inhe offline dusre works karne ki jarurat hi nhi padti.


Fiverr ek freelancing site hai ,jahan works karne wale online workers ko freelancers bhi kaha jata hai.ye freelancers online services providers hote hain.inhe apni services ka hi paisa milta hai.
Lakhon freelancers ne fiverr par apne Gigs (Profiles) bnaye hue hain.jo bhi services ye log provide kar sakte hain ,uske bare me details me inke Gigs me likha hua mil jata hai.or sath hi inki working price bhi likhi hoti hai.
Vaise fiverr ke rules ke mutabik yahan har ek basic services ki cost  5$ se jyada nhi hoti. Basic ke baad aap advance services ki jitni chahe rate rakhen is par koi pabandi nhi hai.

Whose take services from Fiverr ?

Aapke mind me ye question aata hai ki fiverr se services kaun log buy karte hain,to iska answer ye hai ,ki fiverr se har vo Clint services ko buy karta hai jise kam rate me good services chahiye hoti hai.
Ise aap is tarah samjhen ki yorupian country me vahan ke log agr koi bhi work karwate hain to vahan unhe vo costly padta hai.jabki vahi works agr ye online karwate hain to inhe sasta padta hai.jaise logo designing ko hi le lijiye ,ki agr ye apni country me karwate hain to inhe iske liye 20,25$ pay karne padte hain,jabki yahi work fiverr par 5$ me hi karwaya ja sakta hai.isliye ye log online services lena jyada like karte hain.

Fiverr par services sasti isliye padti hai ki yahan online works karne wale jyadatar Indian, Pakistani, and Bangladeshi, hote hain jo ki kam cost me bhi work kar dete hain.kyu ki inki currency ke hisab se inki earnings kafi good ho jati hai.inke alawa bhi bahut si country ke log fiverr par online works karte hain ,lekin unki working price kuch costly hoti hai.

How to we can online work on fiverr and earn money –start a freelancer works

Fiverr is a most world’s largest marketplace digital service website jahan par lakhon freelancers apna online carrier bna chuke hain.inme se kai log aise hain jo pahle jobs karte the or jobs ke sath sath freelancing works bhi karte the ,unke aise din bhi aaye ki unhe fiverr par itna online works milne lga ki aakhir unhone apni jobs ko bhi alwida kahkar full time freelancing me de diya ,or isme unhone itni earnings ki jitna vo kahin job karke 1 year me earn karte the.

ye site un logon ke liye jinke pass skilled hai kisi inam se kam nhi hai.bas unke andar talent hona chahiye ,or experience hona chahiye ki online customers ke sath kaise pesh aana hai ,unse kaise baat karni hai ,or unhe kaise is baat ka yakeen dilana hai ki aap unke work ko sabse best kar sakte hain.agr aapko ek do baar online work mila or agr aapne use batter kar ke dikha diya ,or clients ne aapko ache reviews de diye to samjhen ki aapki gadi chal pdi.aapko uske baad itna work online milega jitna aap soch bhi nhi sakte.kyu ki first immersions is a last impressions.isme aapko kai tarah ki jobs and online works milenge ,to jo bhi aap kar sakte hain ,uske hisab se aap apna gig create kar len.

Rules of online freelancing works on fiverr

Har ek company ke apne kuch rules hote hain jinhe follow karna hare k workers ke liye jaruri hota hai.agr aap fiverr par has a freelancer works karte hain to aapko inke rules ko follow karna padega.agr aap iske against karte hain to aapka account suspend kiya ja sakta hai.

Fiverr me freelancing works karne walon ko per order ka 80% hissa diya jata hai ,jabki fiverr khud 20% rakhta hai.

Fiverr par aap kisi bhi client’s ke sath isi site par chat par baat kar sakte hain.iske alawa dusra koi tarika nhi hona chahiye.yani aap apne mobile no.vgaira share nhi kar sakte,or na hi use apni i.d vgaira de sakte hain.yani koi bhi aisa kaam nhi kar sakte jise ki direct contact samjha jaye,agr aap aisa karte hain to aapka fiverr account suspend kar diya jata hai.

Fiverr par aap jitney chahe Gigs bna sakte hain,sbhi ki basic rate 5$ hi rakhni hogi.uske baad advance service rate aap jitni chahe rakh sakte hain.
Fiverr par work timing ki bdi ahmiyat hoti hai ,agr aapne koi project liya hai to use uske time me hi complete karna hoga.

Iske alawa aap Fiverr ki site par jakar iski private policies ko padh sakte hain.usme is site par work karne ke bare me sbhi kuch details me btaya gya hai.

How to start freelancer works on Fiverr ?

Agr aapke paas koi skilled hai or aap apni service ko online sell karna chahte hain,ya ghar baithe online jobs karna chahte hain ,to fiverr is the best for you.
Aap fiverr ki official website par jakar apna account create kar sakte hain.or apne gigs bna sakte hain.ye bahut hi aasan hai.isme aapko kisi tarah ki koi problems nhi hoti.
Gigs bnane ke baad aap apne gigs ko online social media par promote kren apne blog and website par ise promote kren,isse bhi aapko kafi jyada fayda hoga.or aapko online works milenge.

Best and Golden and useful Tips for Freelancing works on Fiverr (Get more orders)

Yahan me aapko kuch tips de rha hun ,jin par aml karke aap fiverr par jyada se jyada orders hasil kar sakte hain.

1.Fiverr par jab bhi aap apna account bnaye to usme profile picture original hi lgayen.taki client’s me aapki ek pahchan bne.or aapka apna ek brand create ho.

2.Fiverr par kbhi bhi apni email i.d or mobile numbers ko share na kren ,chahe kitna bhi koi client aapko recommend kre.isse aapki profiles ban ho sakti hai.

3.Golden tips ye hain ki hmeshan apne Gigs ki rate kam se kam rkhen.isse aapko order jyada milenge.kyun ki log satsi service ko lene hi fiverr par aate hain.or fiverr par competitions bhi kafi jyada hai.aise me aap kam rate ke jariye bhi apne competitors ko bit kar sakte hain.

4.jab bhi aapko fiverr par koi bhi order mile to use dil se poora kren.or client ko satisfy karne ki koshish kren.jitne jyada clients aapki services se satisfy honge utne jyada orders aapko milenge.naye clients hmesha reviews dekh kar hi orders karna pasand karte hain.

5.har project ko complete karne ke baad apne clients ko recommend kren ki vo aapke Gigs me apna reviews likhen.taki dusre clients unko padhen to un par ek accha impression pde.or aapko bhi fayda ho.ho ske to apne har clients se ratings bhi len. ratings aapke  freelancing carrier ke liye best hoti hai.








6.Apne clients se ache relations bnayen taki dubara jab bhi unhe kisi services ki jarurat pde to vo aapko hi den.kisi dusre freelancers ko na den.agr aapka old client jo aapse pahle services le chuka hai ,ab use kisi service ki jarurat hai or use koi dusra freelancer kam rate me karke dene ka dawa karta hai ,to aap bhi unki rate me hi uska project le len.isse vo client aapse hameshan juda rahega.or har baar aapko hi orders dega.

7.Fiverr par jo works aapko sahi or best karna aata hai usi me hath daalen,varna aapka freelancing carrier banne se pahle hi kharab ho jayega.jo works aapko karna nhi aata use aap hargiz na len.varna time or client dono ka loss hoga.aapse jyada aapke bare me koi bhi nhi janta ki aap kya works kar sakte hain or kya nhi kar sakte.jab tak aapko full confidence na ho kisi project ko na len.

8.First impression is last impressions ,fiverr par aap apne first project ko jitna best tarike se complete krenge ,una hi jaldi aapko dusre new projects milenge.

9.Fiverr par fake profiles na bnayen.jab aap fiverr par online freelancing job kar rhe hain to daily apni profile ko updates karte rhen ,or daily new projects check karte rhen.jo bhi project aap kar sakte hain uske niche comment karke us client ko apni taraf se best offer de den.

10.Fiverr par freelancing work karne ke liye 2 chizon ka hona bahut jaruri hai.ek aapki English best honi chahiye.taki aap clients se sahi tarike se baat kar sken.or dusra clients ko impress karne ka hunar.agr ye dono work aap kar sakte hain to aap fiverr par has a freelancer apna carrier bna sakte hain. client’s ko is baat ka yakeen dilana behad mushkil hota hai ki uske project ko aapse best koi nhi kar sakta.or agr aap use is baat par satisfy karne me kamiyab ho jate hain to uska project aapko hi milega.

11.Fiverr par freelancing carrier bnane ke liye sirf 2 hi auzar ki jaruat hoti hai ,ek clients ke positive reviews and dusra unki good ratings.har ek naya client in do chizon ko dekh kar hi apna project deta hai.or fiverr bhi best reviews and best ratings wale profiles Gigs ko support karta hai.unhe apne first page par show karta hai.taki hare k new clients ki nazar un par hi pde.

12. kisi bhi clients ke samne dusre kisi freelancers ki burai na kren.isse bed effects padta hai.or kisi se badtamizi or badakhlaki na kren.sbhi ke sath good relations bnane ki koshish kren ,chahe koi kitna bhi uksaye aap kisi ki bhi burai hargiz na kren.

13.Fiverr par freelancing karte hue hmeshan clients ke sath compromise karne ke liye tayar rhen.chahe to time ka masla ho ya fir rates ka.jo banda compromise karna jaanta hai use sabse jyada orders milte hain.


14.Fiverr par Gigs bnane ke baad ek dam se hi orders kbhi bhi nhi milte.aapko online rahna hoga ,or fiverr par active rahta hoga ,jaise hi koi project aata hai aap use check karke foran offer de den.aap jitni speed rkhenge utne hi jaldi aap new clients ke sath jud skenge.

15.Fiverr par fir bhi aapko orders nhi milte to aap sabr rkhen ,intjar kren,har business ko set hone me thoda time to lagta hi hai.or fiverr par jobs karna freelancing works karke apni services ko sell karna ye sab kuch free hai.isme aapko ek rupay ka bhi investment nhi karna padta.khud ko sabit karne me or manzilon tak pahunchne ke hmesha time to lagta hi hai.apne andar srb ki aadat bnayen.or mehnat karte rhen.aaj nhi to kal aapko orders jarur milenge.
I hope ki aapko fiverr par freelancing works karne ke bare me full guideline mil gyi hogi.agr fir bhi aap fiverr se related kuch questions karna chahen to aap comments karke puchh sakte hain. within 24 hours me aapko reply krunga.

How to earn money very fast without investments with Shorten url sites

How to Make money with Social media Marketing in Hindi Urdu

How to Earn Money fast from Facebook Best ways in Hindi Urdu

Best 10 ways to Earn Money Online in Hindi

Make money online free tutorial in Hindi Urdu


Agr aapko meri koshishen pasand aa rhi han to social media par mere sath jarur juden.mera facebook account bnd ho chukka hai.aap mere sath dusre platforms par jud sakte hain.


Aamir Ali

Info Tech Hindi         

कोई टिप्पणी नहीं

Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.

Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.