Terminated account and YouTube Channel Suspended 10 Reason in Hindi Urdu
Terminated
account and YouTube Channel Suspended 10 Reason in Hindi Urdu
Aaj Kal
Har Jagah Chahe Face book Ho Ya Dusre Social Media Network Sabhi Jagah Tahi
Charcha Ho Rahi Hai Ki Aakhir Kyo You Tube Channels Ko Ak Hi Bar Me Kyo Suspend
Kar Diya Hai. Log Akk Dusre Se Puch Bhi Rahe Or Bta Bhi Rahe Hai Ki Hamara You
Tube Channel Ban Ho Gya Hai Kya Kre.
Aaj Ki
Post Me Emi Aapko Batata Hu Ki Aakhir Aesi Konsi Bat Ho Gayi Jo Ak Sath You
Tube Ne Itne Sare You Tube Channels Ko Ak Hi Bar Me Suspend Kar Diya Hai Jisnme
se Ak Mera Channel Bhi Hai. Jo Ki Info Tech Hindi Ke Name Se Tha Is Post Ko
Suru Se Aakhir Tak Padhe Aap Samaj Jaooge Ki You Tube Ko Ye Kadam Kyo Utana
Pada.
YouTube Ne Aakhir Kyo Itne Sare You Tube Channel Ko Suspended Kiya Hai.
You
Tube Ne Kuch Hi Sal Pehle Apna You Tube Partner Program Shuru Kiya Tha Jiske
Tahat Videos Upload Karne Walo Ko Video Se Hone Wali Earnings Ka Ak Hissa Diya
Jayega Is Program Ko Join Karne Ke Bad Aap Apna You Tube Channel Ko Google
AdSense Ke Sath Link Kar Sakta Hai Or AdSense Ke Ad Laga Sakta Hai.
Aapko
Video Per Lagaye Jane Wale Advertisements se Earnings Hogi Aapko Bhi Usme Se
Hissa Milega Kai Salo Tak You Tube Ne Har Manth Google AdSense Ke Jariye
Payments Bhi Kiya Hai. Kai You Tube Channel Month Ke Lakho Rupay Sirf You Tube
Se Hi Kma Rahe Hai. Pehle Isase Jyada Kama Rahe The.
You Tube New Algorithm You Tube Ka Naya Algorithm
This Month December
Lagte Hi You Tube Ne Ak New Algorithm Banaya Is System Ne Un Sabhi Channels Ko
Pakad Liya Jo Ki You Tube Police Or Commuity Guidelines Se hatkar Chal Rahe
The. You Tube Ne Ji Chijo Ka Mana Kiya Tha Unhe Hi Upload Kar Rahe The Is
System Ne Un Sabhi Channels Ko Ban Kar Diya.
Iske Alawa Bot Si
Chije Thi Is System Ne Pakada Jisme Se Copyright Videos, Spam Comments, Spam
Vidoes Etc. Bhi The Har Ak You Tube Channal Ki Kuch Na Kuch alag Reasons Rahe
Honge.
Info Tech Hindi You Tube Kyo Suspend Hua ?
Yaha Mei Batatu Cahlu
Ki Info Tech Hindi Ka You Tube Channel Bhi Suspend Hua Jahir Hai Ji Usme Mene
Bhi Kuch Galtiya Ki Hogi Jaha Tak Me Sanajta Hu Ki Mene Iski Community
Guideline Ko Sahi Se Follow Nahi Kiya You Tube Ne You Tube Videos Ko Download
Karne Ka Koi Official Feature Abhi Tak Nahi Diya Ham Logo Ne Bahut Se Videos
Banakar Upload Kar Diyr The Jisme You Tube Videos Ko Download Karne Ke Tricks Bhi
the.
Halaki Isme Ak Bhi
Videos CopyRight To Nahi Tha Sabhi Mere Apne Hi Banaye Hue The. Lekin Community
Guidline Ye Bhi Kehti Hai Ki Aap Is Tarah KE Tricks Nahi Bata Sakte Iske Alawa Software’s Wagera Ke Download Links Nahi De Sakta Or Bhi Bahut Hi Bate
Hai. Jinka Mana Kiya Gaya Tha Mene Bhi Sabhi Tarah Yahi Sochkar Upload Kiya Ki
Pehle Se Kai Log Kar Hi Rahe The Hum Karege To Kya Gunah Hoga Lekin sayad Mei
Galat Tha.
You Tube Suspend Hone Ke 10 Reasons You Tube Suspend Hone Ke 10 Wajah
Is New Algorithm Ne
All World Se Logo Se 60% Channels Ko Suspend Kar Diya Hai. Log Kafi Sadme Me Hai
Jahir Hai. Ki Jinke You Tube Channels Mahina Lakho Rupay Kama Kar Unhe De Rahe
The Unki YO Nind Haram Ho Gayi Hai. Lakho To Nahi Mujhe Bhi Hajaro Me To Mujhe
Bhi You Tube Se Mile Hai. Isliye Mera Intna Nuksan Nahi Hua Jitna Unko Huaa
Hai.
1 December e Hi
Isko Lekar Hadkamp Macha Huaa Hai Mujse Bhi Kai Logo Ne Iske Bare Me Sawal
Puche Hai Aakhir Kaha Galti Hueee Logo Ne To Ye Bhi Bataya Ki Unhone Koi Galti
Nahi Ki Leki Mujhe Nahi Lagta Ki Ve Be Kasur Hi You Tube Aapo Saja Dega Kahi NA
Kahi Galti Rahi Hogi Mene Kafi Research Karke Iske Kuch Reasons Pta Lagaya Hai
Jo Me Aapko Batata Hu.
1. Log Apne Videos Me
Dusre Videos Ke Tags Use Karte The Jise Kafi Jyada Spamming Hue Hai. Ek Video
jo Kisi Khas Tags Ki Wajah Se Rank Huaa Logo Ne Uske Tags Ko Use Karna Suru Kar Diya Taki Ranking Mile Iska
Asar Ulta Huaa Is Tarah Ke Milte Julte Tags Wale Sabhi Channels Suspend Huee.
2. Jyadatar Logo Ne
Apne You Tube Channels Ke Videos Me
Description Nahi Likha Sirf Tags Hi Lagaye The. Na Hi Koi Social Media Links
Diya Halaki Ye Jaruri Factor Me Se Videos Ke Niche Details Likhna Behad Jaruri
Hai. Aapka Videos Kis Bare Me Hai. Aese Channels Bhi Ban Huee.
3. Kai Log Apne
Channel Ke Liye Back Line Banane Me Or Uska Promotion Karne Me Itne Pagal Ho
Gaye Ki Unhone Hare k Dusre Channels Me Videos Ki Niche Comments Kar Karke Apne
Link Diye Or Channels Walo Ne Is Approve Bhi Kar Diya Is Wajah Se You tube Par
Sabse Jyada Spamming Huee. Aakhir Is Tarah Ke Sabhi Channels Ko Suspend Hona
Pada.
4. Copyright Karne Me
To Logo Ne You Tube Par World Record Bna Liya The. Kisi Ki Bhi Videos Ho Use
Edit Karke Upload Kane Lage or Use Monetize Karne Lage Or Usase Earning Karna
Suru Kar Diya Jabki wo Bhi Ye Janthe The Ki Ek Na Ek Din ye Copyright Videos
Jarur Padke Jayegi Fir Bhi Wo Is Kam Me Lage Rahe Aakhir Unke Channels Ko Bhi
Suspend Hona Pada.
5. Bahut Sare Logo Ne
Kapil Sharma Or WWE Wagwra Ke Or Jitne Popular Show The Un Sabi Ke Videos Ko
You Tube Se Hi Download Karke Unhe Edit Karke Upload Karna Suru Kar Diya Natija
Ye Nikla Wo Sabhi Channels Iski Chapet Me Aa Gye.
6. Kai Logo Ne Ak
Jese Name Ke Kafi Channels Bana Liye The Jese Ki Koi Channels Kisi Name Se Hit Huaa
Or Usi KE Name Se Ya Usase Milte Julte
Name Se Logo NE Apne Channels Bhi Banana Suru Kar Diya Info Tech Hindi Ke Name
Se You Tube Par 6 Ya 7 Channels Ban Chuke Hai. Jabki Mene Hi Brand Banaya Tha.
7. Har You Tube
Channel Ke Apne Name Se Tags Bhi Hota Hai Jisase Us Channel Ke Vodeos Ka Pata
Chalta Hai Logo Ne Apne Videos Me Bhi Unko Channel Ka Name Ke Tags Lagana Suru
Kar Diya Taki Unko Video Ke Sath Hi Inka Video Bhi Najar Aana Suru Ho Jaye
Lekin Ye Galti Bi System Ne Pakad Li Natija Ye Huaa Ki Galat Tags Use Karne
Wale Channel Suspend Huee.
8. Ek Normal User Ek
Din Me One ya Two Se Jyada Videos Upload Nahi Kar Pata Jiske Bare ME You Tube
Ko Jayada Andaja HAi. Lekin Kuch Logo Ne RDP Ki Madad Se Ek Ke Sath 100-100
Videos Upload Karna Suru Kar Diya Jo Ki Ek User Ke Behaviour Se Alag Tha. Logo Ne
Kamane Ke Chakar Me Is Tarah Ke Koi Kam Kiye Jo Ki Pakade Gye.
9. Isi Tarah Bahut se
Log Jinke You Tube Channels Suspend Hua Unhone You Tube Ki Policies Or
Community Guidelines Padkar Bhi Follow Nahi Kiya Isliye Unke Channels Bhi
Suspend Huee. BAlki Bahut Si To Aesi Bhi The Jinhone Inhe Pada Bhi Nahi Hoga.
10.You Tube Ke Is New Algorithm Se Kafi Sare Logo Ka Nuksan
To Huaa Lekin Iske Fayde Bhi Ane Wale Time Me Sabhi Ko Najar Aayenge. Jahir HAi
Ki Agar Spamming Nahi Hogi TO Jyada Videos Bhi Nahi Honge Isase Aapke Videos Jaldi
Rank Karna Suru Kar Denhe.
You
Tube New Algorithm 2017 Better For You
Meri Najar Me Ye System
You Tube Ko Majbut Karega Or Sahi Logo Ko Aage Lane Me Madad Dega. Wrong Information’s Ka Safaya Karega Or
Spammers Ko Bahar Karega Is System Se You Tube Kafi Saf Suthra Hoga or Is Tarah
Ke Videos Jo Ki Inki Policies Ke Khilaf The Unki Jagah Nay Nay Or Sahi Videos
Rank Karenge.
Pehle Ke Mukable Ab
Video Ko Rank Karna Jyada AasanHo Jayega Isi Tarah Pehle Se Jayada Aapke Videos
Par Views Aane Lagega Or Aapko Kam karne
Ka Ek Accha Moka Milega. Fori Tor Par Logo Ko Kafi Nuksan Huaa Hai Lekin Aakhir
Me Isase Un Logo Ko Fayda Hoga Jo Ki Wakai Imandari Se You Tube Par Work Kar
Rahe Hai.
Ye System Kafi Sare
Galat Loga Ko Rokega Unki Jagah Sahi Logo Se Puri Karega Khas Kar Jo Log You
Tube Par Spamming Kar Rahe The Unse Nijat Milegi Or Jinhone Fake Channels
Banaye Huee The System Unhe Bhi Rokega. Is Time You Tube Ki Acchi Kahsi Safai
Ho Chuki hai. Ab Sahi Log Apni Mehnat Se Pehle Accha Kam Kar Sakege or Pehle Si
Acchi Earnings Kar Sakege.
Ummid
Karta Hu ki Aapko Ye Jankari YouTube
Channel Suspended Aakhir Kyu Itne Sare Channels Suspend Hue Hain ? Pasand Ayegi .Yha Me
Rojana Kuch Na Kuch Naya Post Karta Hi Rehta Hu Meri Yahi Kosis Rehti Kai ki
Aapko 366 Days Me 365 New jankari Du.
Ye Post
Terminated account and YouTube Channel Suspended 10 Reason in Hindi Urdu aap Ko
Kesi Lagi Ise Apne Dosto Ke Sath Sheare Karna Na Bhule or Mere Sath Social Media
Par Judne Ke Liye
Aamir Ali
कोई टिप्पणी नहीं
Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.
Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.