YouTube Videos Ko Facebook Par Kaise Embed Kare
YouTube Videos Ko Facebook Par
Kaise Embed Kare
YouTube videos ko Facebook par
share kiya jata hai but agar koi un videos ko dekhna chahe to use share kiye
gye link par click karke YouTube par jakar hi dekhna padta hai.
But aaj ki post me me aapko jo
tarika btane jar aha hun use aap apne YouTube videos ko Facebook par hi embed
kar sakenge.yani Facebook par hi chala skenge.videos ko dekhne ke liye YouTube
par jane ki jarurat nhi padegi.
Increase Views On Your YouTube Videos
Ye post specially unke liye
kafi useful hai jin logo ke YouTube par channels bnaye hue hain.jyadatar
YouTubers ki ye shikayat rahti hai ki hamare videos par views nhi aate.agar vo
is tarike se apne videos ko Facebook par embed karte hain to unke videos par
kafi jyada views aane lagenge.mene ise practical kiya hai.
Iske alawa bhi agar aap apne
videos par jyada se jyada views lana chahte hain to aap Facebook ke sath sath
apne Blogs par bhi apne videos ko embed kiya Karen.embed karne se fayda ye hota
hai ki video wahin par play ho jati hai visitors ko use dekhne ke liye YouTube
par jana nhi padta.
Benefits of Embed YouTube Videos On Facebook
1.
Pahla fayda ye hai ki jyadatar Facebook users
Facebook par hi videos ko dekhna pasand karte hain agar aapka video Facebook
par hi play hoga to jyada log use dekhenge.
2.
Dusra fayda ye hai ki aapke YouTube videos ke
views increase honge.or ye video promotions ka ek best tarika hai.
3.
Tisra fayda ye hai ki agar logon ko aapki videos
pasand aati hai to log aapke YouTube channel ko subscribe karenge.yani aapke
channel ke subscribers increase honge.
4.
Chota fayda ye hai ki aap apne YouTube videos ko
Facebook ke kai groups me bhi embed kar sakte hain.or groups me jyada log hote
hain isse aapke videos ko kafi views milenge.
5.
Agar aap viral topics par videos banate hain to
Facebook par embed karne se aapke video ko viral hone ke kafi chance rahte
hain.
6.
YouTube videos ko Facebook par embed karne se
bhi aapke YouTube channels ki authority badhegi.
7.
Aapke embed kiye gye videos ko kafi log share
karenge vo isliye ki ye Facebook par bhi dekha ja sakta hai.ise dekhne ke liye
YouTube par jane ki jarurat nhi hai.
8.
Aapke videos ko rank karne me help milegi.yani
aapke videos YouTube par jaldi rank karenge.
Embed YouTube Videos On Facebook
Ab me aapko YouTube videos ko Facebook par embed karne ka
tarika batata hun.
Sabse pahle aap http://www.link2fb.com/
is website par jayen.Your link ki jagah par apne us video ke link ko paste Karen
jise aapko Facebook par embed karna hai.uske baad Title par click Karen.or kuch
der wait Karen.
Ab Play Video Inside Facebook (Only youtube) ko select kar len.Ab ye website aapke video link ko analytics karegi.tab tak aap wait Karen.uske baad jab aapka video link taiyar ho jayega to aapko get my link par click karna hai.
Ab ye website aapke video link ko short karne me 30 second
legi.after 30 second aapko apne video ka ek short link milega.isi ko aapne
Facebook par share karna hai.share karte hi aapka video Facebook par embed ho
jayega.jise aasani se Facebook par hi dekha ja sakega.
Agar ye process aapke samajh me na aaye to aap niche diye
gye video ko bhi dekh sakte hain.is video me practical is work ko karne ka
tarika bataya hai.
Ye post aapko kaisi lgi ,ise apne friends ke sath share
karna na bhulen.and mere sath social media par judne ke liye
Aamir ali
कोई टिप्पणी नहीं
Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.
Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.