Domain Name Kya Hota Hai or Domain Kyun Buy Karna Chahiye
Domain Name
Kya Hota Hai or Domain Kaise Buy Kren ?
What is Domain name and how to buy a domain
Dear
Readers , Aapne domain name ke bare me kai baar suna or padha hoga.aaj ki post
me ham domain name ke bare me mukammal padhenge ki ye domain name kya hai or
ise kyun buy karte hain isse kya fayda hota hai.vgaira.
Domain Name
yani ek specific name jo ham apne blog or website ke liye rakhta chahte
hain.use hme domain company se buy karna padta hai.domain name kai tarah ka
hota hai jaisa ki mene aapko pichhli post me bhi btaya tha.
Jab aap
blogger par ek blog create karte hain to uska name ek sub domain hota hai,jaise
ki aapka blog Google ki Blogger service par hai jo ki free blog or free sub
domain provide karta hai.jaise ki mera blog ho infotechhindi.blogspot.com yani
isme sirf infotechhindi mere blog ka name hai or or Blogspot.com ye blogger ki
service hai jahan mera blog free sub domain par bna hua hai.
Free Sub Domain Lekar Blog Bnane Ke Side
Effect
Start me
sbhi bloggers free sub domain lekar hi apna blog shuru karte hain.lekin use ek
business blog ke roop me dekhna or chalana future ke liye nuksandeh sabit hota
hai.
Agr aapne
blog sirf time pass ya apni write hobby ke liye bnaya hai to aapko domain lene
ki koi jarurat nhi hai.or agr aap apne blog ko lekar serious bhi hain or aage
chalkar usi blog par Ad’s vgaira ke jariye paise kmana chahte hain to me aapko
recommend karunga ki aap isse pahle apne blog ke liye apna ek domain name buy
kar len.
Sub domain
blogs ka pahla nuksan ye hai ki aap iski posts social media vgaira par share
karte hain to log ise itna serious nhi lete ,or agr kisi post ko padh bhi len
to us par yakeen nhi karenge vajah yahi ki ye sirf ek blog hai ,koi official
website nhi hai.lihaza iski information sahi bhi hai ya nhi iski koi guaranty
nhi hai.
Sub Domain
Blogs ka dusra bda nuksan ye bhi hai ki uski apni koi pahchan nhi ban pati.or
readers par bhi iska koi khas impression nhi padta.vajah yahi hai ki readers
bhi ye sochte hain ki jo banda 200 rupay ka domain nhi khareed sakta vo ek professional
blogger kaise ho sakta hai.domain itna mahnga nhi hota.ise koi bhi aasani se
khareed sakta hai.
Tisra bda
nuksan ye hota hai ki maan lijiye ki kbhi Google ne blogger service ko band
karne ka faisla kar liya to inki sari mehnat aise hi chali jayegi.or inka blog
jo ki sub domain or free hosting par bna hua hai vo delete ho jayega.
Domain Name Kya Hai or ise kaise Buy
karte hain ?
Domain name
blog ya website ki apni ek pahchan apna ek wajood hota hai.isi liye ise buy
karne ke liye log invest karte hain.jaise ki meri site ka domain name hai www.infotechhindi.net to ye is site ki
ek pahchan ban chukka hai.ise all world me kahin par bhi open kren to ye isi
name ke sath open hoga.jabki sub domain india me blogspot.in to pak me
blogspot.pk isi tarah world me ye alg alg name ke sath open hoga.
Domain Sell
karne wali internet par bahut si best companies hain.jahan se aap kisi bhi name
ka domain name buy kar sakte hain.yahan me aapko recommend karunga ki aap start
me Big Rock se domain buy Karen,is company ki team kafi supportable hai.
Agr kbhi
bhi aapko koi problems aaye to aap iske customer care me call karke baat kar
sakte hain.ye aapko phone par bhi guide karenge.iske sath hi aap inki website
par chat karke bhi help le sakte hain.mene apni all sites ke domain yahin se
buy kiye hain.
Har ek
company ki apni ek alg rates hoti hain.big rock ki bhi apni rates hain.
lekin
iski sabse bdi khas baat yahi hai ki iski team aapko support karti hai.mene kai
baar big rock ke customer care me call karke inki help ki hai.or har baar
inhone satisfy help ki bhi hai.
Domain name Kyun Buy karna Chahiye ?
Agr aap
blogger hain or apni blog ko nayi pahchan dena chahte hain.or blogging se rupay
bhi kmana chahte hain to aapko apne blog ke liye domain name jarur buy karna
chahiye.
Sub domain
ke mukable me domain name blogs ko Google AdSense ki cpc hi batter milti
hai.sath hi all world me aapka blog usi name ke sath open kiya jayega.or aapke
blog ki apni ek pahchan bnegi.
Domain name
buy karna koi mushkil work nhi hai.aap aasani se apne liye online domain name
booking kar sakte hain.or apne blog par ise lga sakte hain.start me agr aap web
hosting nhi bhi lena chahen tab bhi aap sirf domain par bhi guzara kar sakte
hain.yani sirf domain name lekar use apne blog par lga sakte hain.
Tips for Buy a Good Domain Name
Domain name
kharidne se pahle aap kuch baton ka specially khayal rkhen.
Aapke blog
ka jo subject yani topic hai usse related domain name hi choose kren.
jaise ki
mere blog ka topic technology hai to mera domain bhi isi se related hi hai.
Domain choose
karte time ye bhi khayal rakhen ki aise words wala domain le jin words ki
searches jyada ho.taki aapke domain name se bhi aapko fayda mile.jyada search
words me jaise ki Hindi India or bahut se aise words hain jinki search kafi
jyada hai.
Domain buy
karne se pahle me aapko raay dunga ki aap kisi technology specialist se bhi
raay le len taki aapko better rahnumai mil ske.or aap ek best domain name buy
kar sken.taki aapko uska bhi fayda mile.
Domain name Category in The World and
Price Yearly
Top level
domain
Dot Com (
for Commercial site ) 599 se 800 rupay 1
year
Dot Org (
for Organization site) 599 se 800 rupay per year
Dot Net (
for Networking site ) 299 se 500 rupay per year
Dot in
(country domain for India) 199 se 300 rupay per year
Jyadatar log
yahi domain buy karna pasand karte hain.me aapko recommend karunga ki agr aap
Indian blogger hain or Hindi me blog likhte hain to aap dot in hi buy kren.ek
to ye ki ye sasta hai.or dusra ki aapke targeting peoples bhi indian hi
hain.jahir hai ki Hindi language ko Indian hi padhenge.to aapko top level
domain lene ki koi jarurat hi nhi hai.
Agr aap top
level domain lena chahen to aapki marzi hai.domain koi bhi ho isse koi fark nhi
padta.haan agr aapka domain country domain hai to Google country search me
jaldi aayega.
Domain name
hmeshan 2 years ke liye hi len kyu ki jis domain ki age jitni jyada hogi utna
hi uska fayda aapko milega.varna aapko har saal use renew karwana pdega.or
domain age kam hone ke bhi kuch nuksan hote hain.
Domain se
aap apni blog ko ek nayi pahchan de sakte hain.or aainda post me me aapko web
hosting ke bare me bhi btaunga.web hosting ki bhi apni jarurat hoti hai.lekin
filhal aap sirf domain lekar bhi kaam chalana chahte hain tab bhi aap aisa kar
sakte hain.
Mera manna hai
ki agr aap blogging se acchi earnings kar rhe hain to hi aap web hosting buy
kren.filhal aap starting ke liye domain name lekar blogging shuru kar sakte
hain.or jab aap ache paise kma len fir aap hosting ke bare me sochen.
Masters
tech blog ke safar me mene sirf ek hi domain name info tech hindi ko apne paise
se kharida hai.iske baad bhi mene 3 domain name buy kiye hain vo sabhi isi
website se hone wali earnings se hi kharide hain.
Start me
mene sirf 299 rupay me one year ke liye domain lekar blogging ko naye sire se
start kiya tha or meri khush nasibi rahi ki mene kai 299 is ek saal me kma
liye.or apne investment se jyada paise isi blogging se kmaye.aaj me chahun to
web hosting lekar ek hosted website bna sakta hun.lekin filhal me dusre
projects me busy hun or jab bhi web hosting lunga tab apne sbhi blogs ko hosted
websites me convert kar dunga.
Blogging ek
business hai.isme start me aap thoda sa investments karke isse kafi ache rupay
kma sakte hain.or apne safar ko aage se aage le ja sakte hain.
Agr aap ek
new blogger hain or blog se rupay kmana chahte hain to me aapko raay dunga ki
aap blogging ke liye thoda bahut investment kren aap isse kafi jyada dubara kma
bhi lenge.
Business kbhi
bhi bina investments ken hi hota.hamne bhi blogging me investment kiya tha tab
jaakar aaj hmare blogs hme kma kar de rhe hain.
Khud mene
start me domain ke liye to 299 rupay kharch kiye lekin iske alawa mene 20,000
rupay or invest kiye the.kuch galat jagah par lgaye to kuch sahi jagah par
lgaye.start me mujhe 6 month tak wait karna pda blogging se bahut hi kam
earnings hoti thi.lekin lgataar mehnat kaam aayi.or mene apne investment ko
aakhir isi blogging se nikaal liya.or ek time aisa bhi aaya jab mene apne
invest se dugune yani dubble rupay wapas kmaye.
Blogging ek
success business hai jisme 100 me se 80% aapko kamiyabi milti hi hai.bas aapko
iske liye lagataar mehnat karni pdegi.blog sirf time hi maangta hai.or kuch
nhi.
Mera manna hai
ki Blogging me kiya gya investments kbhi bhi bekaar nhi jata.agr aapke pass
work karne ka junoon hai to aap apne invest se jyada wapas kma lenge.
Aapko is
post ke jariye yahi raay dunga ki agr aapne abhi tak apne blog ke liye domain
name buy nhi kiya hai to pahli fursat me hi buy kar len.me aapko yakeen dilaata
hun ki agr aap lgataar mehnat karenge to aap apne investments ko wapas kma
lenge.or aapke blog ki jo pahchan bnegi vo free hogi.
Agr aapko
domain setup karne me kisi tarah ki koi problems aaye to aap mujhe email kar
sakte hain.me aapke blogs par domain set karne me aapki help kar dunga.or agr
aapko domain buy karna or use blog par setup karna vgaira nhi aata tab bhi aap
mujhe email ya call kar sakte hain.jitna ho skega me aapki help karunga.
Big Rock Site Par abhi 15 August ke mauke par Domain Buy karne ke liye ek special offer aaya hai.jo ki 31 August tak hai.is offer me aapko dot com domain sirf 99 rupay me hi mil jayega.lekin ye limit time tak ke liye hai.
Promo Details:
Promo Code: AFFCOM99
Offer: .Com Domain for just Rs.99
End Date: 31st Aug
Only 99 Rupay me Dot Com Domain Name Buy Karne ke liye yahan click kren.
I Hope ki
aaj ki post Domain Name Kya Hota Hai or Domain Kaise Buy Kren ?
aapke liye
usefull sabit hogi.ise apne friends ke sath share karna na bhulen.
Mere sath
social media par judne ke liye
Aamir Ali
Info tech
Hindi
कोई टिप्पणी नहीं
Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.
Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.