Facebook Se Paise Kamane Ke Tarike in Hindi Urdu फेसबुक से रूपए कमाने के तरीके

Facebook se fast online earnings kaise ki jati hai.is post me me aapko kuch Best and smart ways btaunga jinse aap Facebook se bhi monthly best earnings kar sakte hain.
Dear readers, kai logon ke mind me ye question aata hai ki kya ham Facebook use karte hue make money online possible hai ? to iska answer ye hai ki bilkul ye possible bhi hai or hazaron log isse online earnings kar bhi rahe hain.


Facebook to aajkal har koi use karta hai ,koi apna shauk poora karne ke liye to koi fun ke liye to koi enjoy ke liye to koi promotions ke liye ,to koi make money online ke liye.sab ka apna ek andaz hota hai.lekin inme sabse smart Facebook users vo hain jo isse fayda uthane me kamiyab ho jate hain.or baki log sirf apna time pass hi kar sakte hain.

Facebook world se bhi bda ek world hai ,jisme world se bhi jyada log paye jate hain.vo is tarah ki eke k bande ki kai kai profiles bni hui hoti hain.Facebook world me sabse jyada use kiya jane wala social media platform hai isme kisi ko koi shak nhi hai.ab whatsapp ne isko jarur chunoti di hui hai.

How to earn money from Facebook  

Yahan ham baat kar rhe hain ki Facebook use karte hue kis tarah se earnings ki ja sakti hain,or kaun kaun se log hain jo isse earnings kar rhe hain.is post ko aap poore dhayn se padhenge tabhi aap iska poora process samajh payenge.

Whose Peoples are make money online through Facebook?

Sabse pahle ye jaan lena jaruri hai ki vo kaun kaun se log hain jo ki Facebook se har maah lakhon karodon rupay online earnings kar rhe hain.
Friends ,aapne Facebook par news channels ko dekha hoga ,jo ki Facebook par pal pal ki news updates karte rahte hain. Ham jaise log ye sochte hain ki ye news channels wale hmara kitna khayal rakhte hain ,har pal ki news ko updates karke ham logon tak pahunchate rahte hain.hme bhi pal pal ki updates milti rahti hai ,or iske liye hme koi extra apps download karne ki bhi jarurat nhi padti.

Asl me vo hmara khayal nhi rakhte balki apna hi khayal rakhte hain.vo is tarah ki hare k news channels ki website par Google AdSense ke or dusre ads lgaye hue hote hain.or inhe rojana ke lakhon visitors ko apni website visit karwani hoti hai ,jab ye visitors unki sites ko visit karte hain to unke lgaye hue ads par khub clicks bhi milte hain,or impressions bhi,is tarah ye log rojana ke kai hazar dollars aise hi kma lete hain.

How to earn money fast from Facebook Best smart ways

Ab aap samajh gye honge ki kaun log kis tarah se online Facebook se earnings karte hain.isi tarah kai bloggers or webmasters bhi hain ,jo ki apni posts ko Facebook par bhi share karte rahte hain ,isse bhi unki blogs or website ka traffic increase hota hai.lekin vo kahin na kahin news channels se kafi piche rah jate hain ,iski vajah ye hai ki bloggers or webmasters rojana ki ek ya do ya teen posts hi likh pate hain ,or unhe share kar pate hain ,jabki news channels wale rojana ki 20,25 se jyada news likh kar apni websites par posts kar dete hain.or iske sath hi use pal pal Facebook or dusre social media platforms par bhi updates kar dete hain.jisse unhe aam logon ke mukable me jyada visitors mil jate hain.or is tarah inki earnings bhi hamse kai guna jyada ho jati hai.

Facebook ki official website ki taraf se to filhal affiliate programs ya make money online jaise koi facility to nhi di gyi hai.lekin fir bhi jo log earnings kar rhe hain simply vo Google AdSense ya fir dusri AdSense services ke jariye hi earnings kar rhe hain.

1.Aap bhi agr Facebook se online earnings karna chahte hain to sabse pahle aapke paas apni ek Blog ya Website honi chahiye.or uspar Google AdSense ya fir dusre AdSense ke ads bhi lgaye hue hone chahiye.

2.Ab aapko Facebook par apne Blogs ya website ke naam se ek page bnana hai ,or us par jyada se jyada Likes increase karne hain.aapke page ko jitney jyada logon ne like kiya hua hoga utna hi jyada aap earnings kar skenge.jaisa ki aapne dekha bhi hoga ki Facebook par news channels ke pages ko kitne jyada logon ne Likes kiya hua hota hai.

3.Aapki sbhi Facebook ki posts aapke facebook friends me se 14% logon tak hi pahunchti hai.ye Facebook ka hi ek rules hai.agr aap jyada logon tak apni posts ko pahunchana chahte hain to aapko Facebook ki paid service leni hogi.jaisa ki aapne posts ke niche dekha hoga ki likha hua hota hai Boots Post.

Boost post ke liye aapko online campaign create karna hota hai.pay karne ke baad aap is campaign ko jyada se jyada logon tak pahuncha sakte hain. jyadatar ye services business companies vgaira hi lete hain isse unka business grow hota hai.or unke product and services jyada logon tak pahunchte hain.ise Digital Marketing ya online marketing bhi kaha jata hai.

4.Jaisa ki mene aapko btaya ki Facebook par aapki posts aapke friends me se 14% logon tak hi pahunchti hai ,lekin agr aapne apna Facebook Page create kiya hai ,to jis kisi ne bhi us page ko like kiya hai ,vo aapke page me ki jane wali sbhi posts ko dekh sakta hai.yani page ke jariye aap apni sbhi posts ko apne sbhi friends tak pahuncha sakte hain.

5.Aapki posts jitney jyada logon tak pahunchegi ,aapki site par utne hi jyada visitors aapko facebook se bhi milte hain.ab jab aapki site par visitors aayenge to vo aapke AdSense ke ads bhi dekhenge ,or uske aapko rupay bhi milenge.isliye log apne page par like haasil karne ke liye online campaign me investment bhi karte hain.jaahir hai isse vo dubara isse jyada kma bhi lete hain.

6.Facebook Page ke sath hi aapko apne Blog and website ke naam se ek Group bhi create karna hai.or usme jyada se jyada logon ko add karna hai.aap page ke sath sath hi apne group me bhi posts karte rahiye ,aapko yahan se bhi kafi visitors mil jayenge.

7.Blog and Website and YouTube channels ye sabhi agr Google AdSense se monetize kiye hue hain ,to Google inme apne clients ke ads lgata hai.un ads par impressions or clicks ke hisab se pay karta hai.isliye agr aap blogger hain ya webmasters hain ya fir aapka apna YouTube par koi channel bnaya hua hai to aap uske naam se Facebook par Pages or groups jarur bnayen ,isse aapko 2 fayde honge ,ek to aapka apna ek brand bnega, popularity bhi milegi ,or dusra aapko visitors or videos par views or subscribers bhi jyada milenge.jab aisa hoga to jahir hai ki aapke Google AdSense ki earnings bhi increase hogi.

How to earn money fast and more with Facebook

Agr aap Facebook ke jariye fast and more money earn karna chahte hain ,to aapko bhi news channels ki tarah apne Page ko updates rakhna padega.
Iske liye me aapko recommend karunga ki aap Facebook par apne Page ke liye ek Online campaign chaleyen ,ya fir kisi bhi digital marketers se Ad campaign chalwayen.3 days bhi agr aapne Facebook par Ads campaign chala liya to bhi aapke page ko kafi jyada likes mil jayenge.or jab bhi or job hi posts aap apne page par karenge to vo un sbhi tak pahunchegi jinhone aapke page ko like kiya hua hai.
Sbhi News channels online Ads campaign chalakar hi very fast itne sare likes generate karte hain.varna inhe bhi hmari tarah kai saal lag jaate.kai works to shortcut karne ke liye thoda bahut investments bhi karna padta hai.tabhi jaakar aap online fast earn money kar payenge.





Finally btane ka maksad yahi tha ki Facebook ke jariye aap good earnings kar sakte hain ,bas aapko smart ways par work karna hai.

Management of make money online using Facebook

Write Articles: Har News channels par ek alg se articles writers journalists ka department bna hua hota hai ,jo ki pal pal ki news par articles likhte hain ,or inki website par posts karke use updates karte rahte hain.ye journalists daily ke kai kai articles likh dete hain.

Social Media management: News channels ka ek department social media ka bhi hota hai,jo ki har new news updates ko Facebook ,Twitter ,Google Plus, or sbhi social media platforms par usi time updates kar dete hain.jisse channels ko daily ke lakhon karodon visitors mil jate hain,jo ki inki website ko daily visit karte hain.or isse channels ki good earnings bhi hoti hai.

YouTube Management: News channels ka ek department YouTube ka bhi hota hai ,jahan par kai log works karte hain,koi bhi new news aate hi vo uske clips bnakar YouTube par apne channel par uploads karte rahte hain.or inke YouTube channels bhi Google AdSense ke sath monetize kiye hue hote hain.is tarah ye log YouTube se bhi daily ki kafi jyada earnings kar lete hain.jis tarah inhe social media se inki websites ko visitors milte hain bilkul usi tarah inke YouTube channels ko views bhi mil jate hain.or upload karte hi per hours kai kai log in videos ko dekh lete hain.
Agr aap bhi in ways par works karte hain to aap bhi per day ke hisab se good earnings kar sakenge.

How to increase more Likes on Facebook Fan Page ?

Jaisa ki mene aapko btaya ki facebook par apne blog and website ke naam ka ek fan page create karna na bhulen,sbhi log isi tarah karke isse fayda uthate hain.facebook par fan page bnane ke baad sawal aata hai ki ab is par jyada se jyada likes kis tarah generate kren.

Iska solution ye hai ki pahle to aap apne facebook fan page ko apne blog and website par jarur lgayen ,yahan se aapko free me kafi jyada likes mil jayenge.
Or dusra aap chahen to iske liye kuch rupay kharch kar sakte hain ,online campaign karke iske liye ek hi baar me lakhon likes generate kar sakte hain.iska tarika bhi me aapko aane wali posts me jaur btaunga.


Kisi bhi fake tarike se agr aap apne facebook ke fan page par likes generate kar lenge to isse aapko kuch bhi fayda nhi hoga.isliye real or proper tarike se work kren or real likes generate kren ,vahi aapki website ke liye traffic ka kaam karenge.or apne facebook fan page ko khub promote karte rahen ,apni posts me bhi iske bare me do alfaz likhte rhen ,taki aapke fan page ke likes badhen.aap jitney jyada likes generate karenge utna hi jyada traffic aap apni blog and website par bhej skenge.or apni hare k post ko bhi fan page par updates karte rhen.taki aapki latest posts ke bare me aapke fans and followers ko bhi updates milti rhe.
I Hope ki ye post aapke liye useful saabit hogi.or agr aapko ye post pasand aaye to ise apne friends ke sath share karna na bhulen,yaad rakhiye ilm baantne se badhta hai.shayad isse bhi kisi ka bhala ho jaye.

Jab me aapke liye itni mehnat se or itna time nikalkar articles likhta hun or videos record karta hun ,to aapka bhi ye farz banta hai ki aap bhi mujhe support kiya kren ,taki meri mehnat bhi wasool ho ske ,or logon ko bhi isse fayda mile.
Aap in posts ko share karke bhi mujhe support kar sakte hain.agr aap is subject se related kuch bhi question karna chahte hain to comment box me likh sakte hain.me aapko answer dunga.

Or agr aapko meri koshishen pasand aa rhi hain to social media par mere sath jarur juden.mere friends list me sirf aapki hi kami hai.



Aamir ALI
Info Tech Hindi



कोई टिप्पणी नहीं

Agr aapko ye post pasand aayi to apni keemti raay niche comments box me jarur likhen.

Comment Box me koi bhi Link share karna allow nhi hai.yahan koi bhi apne blog post ya ads vgaira ke link ya comments na kre.